Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 21 April 2020

Momeen jab Jannat mein jayega toh uske amal ke wajah se usse kaun kaunse inaamat diye jayege

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hain!


Sawal: Momeen jab Jannat mein jayega toh uske amal ke wajah se usse kaun kaunse inaamat diye jayege

A: Hamesha zinda rahenge
B: kabhi budha nahi honge
C: Hamesha sehat mand rahenge
D: Hamesha khush rahega
E: Hamesha jawan rahenge
F: kabhi maut nahi ayegi
G; Jannat ke waris bana diye jayenge 
H: kabhi takleef nahi dekhenge
I: kabhi beemar nahi honge

J: Sahi Jawab ka intezaar

*****************

Sahi Jawab - ABCDEFGHI✅

Reference📚:
--------
Hazrat Abu Saeed Khudri RadiAllahu Anhu  aur Abu Huraira Radi Allahu Anhu se riwayat hai Rasool-Allah Sallallahu  Alaihi Wasallam ne farmaye Ek Eean karne wala Elan karega yaqeenan tumare liye yh Inaam bhi hain ke tum Hamesha sehat mand rahoge kabhi beemar nahi honge hamesha zinda rahoge kabhi Maut nahi aayegi hamesha Jawan rahoge kabhi Budhe nahi honge hamesha Khush rahoge kabhi Takleef nahi dekhoge Yehi Allah Subhanahu ka farman hain aur Inhe Nida de kar kaha jaega yehi tumhari Jannat hain jo tumare Amal ke wajhe se jo tum karte rahe waris bana diye gayee
-----
حضرت ابو سعید خدری اور حضرت ابو ہریرہ رضی اللہ تعالیٰ عنہما سےروایت کی ، انھوں نے نبی صلی اللہ علیہ وسلم سے روایت کی کہ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا : ایک اعلان کرنے والااعلان کرے گا ۔ یقیناًتمھارے لیے یہ ( انعام بھی ) ہے کہ تم ہمیشہ صحت مند رہو گے ۔ کبھی بیمار نہ پڑوگے ، اور یہ بھی تمھارے لیے ہے کہ زندہ رہوگے ۔ کبھی موت کا شکار نہیں ہو گے ۔ اور یہ بھی تمھارے لیے ہے کہ جوان رہو گے ۔ کبھی بوڑھے نہ ہوگے ۔ اور یہ بھی تمھارے لیے ہے کہ ہمیشہ ناز و نعم میں رہوگے ۔ کبھی زحمت نہ دیکھو گے ۔ یہی اللہ عزوجل کا فرمان ( واضح کرتا ) ہے : اور انھیں ندادے کرکہاجائے گاکہ یہی تمھاری جنت ہے جس کے تم ان اعمال کی وجہ سے سے جو تم کرتے رہے وارث بنا دیے گئے ہو ۔ 
------
Sahih Hadees
Sahih Muslim Hadees # 7157

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...