❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: kaunse shaqs ko Allah Subahnahu Qayamat ke din badnami ke maqaam par khada karega
A: Logo ke Aibon ko dhundne wale
B: Jhooti kasam khane wale
C: Gumrah Aaleem
D: Logo ki beizzati karne wale
E: Logo ko dhoka dene wale
F: Amanat mein khayanat karne wale
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
Note: Agar apka jawab "G" hai toh sahi jawab likhiye
**************
Sahi Jawab - G✅
Jo shaqs kisi musalman ke badlay shohrat ki jagah khada huwa toh qayamat ke din wo badnami ke maqaam par khada hoga
Reference📚:
Nabi Sallallahu Alaihi WaSallam ne fatmaya jis shakhs ne kisi musalman ke badlay ek luqmah (haraam) khaya Allah Subhanahu taala usay jahannum se itna he khilayega, aur jis shakhs ns kisi musalman ke badlay ek kapda pehna Allah Subhanahu taala usse Jahannum mein itna he kapde pehnayega aur jo shakhs kisi musalman ke badlay shohrat ki jagah khada huwa Allah Subhanahu taala qayamat ke din usay badnami ke maqam par khada kardega.
------
نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جس شخص نےکسی مسلمان کےبدلےایک لقمہ(حرام)کھایا اللہ تعالیٰ اسے جہنم سے اتنا ہی کھلائے گا، اور جس شخص نے کسی مسلمان کے بدلےایک کپڑا پہنا اللہ تعالیٰ اسے جہنم میں اتنا ہی کپڑاپہنائے گا ،ا ور جو شخص کسی مسلمان کے بدلے شہرت کی جگہ کھڑا ہوا اللہ تعالیٰ قیامت کے دن اسے بدنامی کے مقام پر کھڑا کردے گا۔
------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 407
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
La Ilaha IllAllah
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada
❗Only-Quran-Hadith-Quiz - 950❗ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada Sawal...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Do Sawal hai! Ek baar Rasool-Allah Alaihi wasallam ne farmya ke qayamat ke din Allah Subhanahu ek Nabi se farmaye g...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Mareez ki ayadat kare toh uske liye dua kare ke Eh Allah tu apne bande ko shifa de ----- Abdullah bin Umar...
-
Bismillahirrahmannirrahim وَ ہُوَ مَعَکُمۡ اَیۡنَ مَا کُنۡتُمۡ ------ Aur jahan kahi tum ho Allah Subahnahu tumharay saat...
-
Bismillahirahmanirrahim Hadith: Kasrat se La hawla wa la Quwwata illa billah padhne ki fazilat ---- Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Allah Subhanahu ke raza ke liye gusse ka ghoont peena sabse fazilat wala hain ----- Rasool-Allah Sallalla...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ ❗Jawab ek se ziyada hain Sawal: Allah Subhanahu se dua mangte waqt kaun se kalimat kehne per Allah Subhanahu farma...
-
Bismilahirrahmanirrahim La ilaha illAllah kahne ki fazilat ---------------- Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne fa...
-
Bismillahirrahmannirrahim وَإِنَّ رَبَّكَ لَذُو مَغْفِرَةٍ لِّلنَّاسِ عَلَىٰ ظُلْمِهِمْ ----- Aur Aap ka RABB logon ko un ke zulm o zayadati...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Do Sawal hain❗ Sawal: Kaunse qaum ke liye Allah subhanahu ne ek muqammal surat nazil ki thi jismein srif unhe ka z...
No comments:
Post a Comment