Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 21 April 2020

Mahfum e hadith ke mutabiq Faristah insan ke liye kab ek burai likh deta hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Mahfum e hadith ke mutabiq Faristah insan ke liye kab ek burai likh deta hain?

A: Jab wo namaz nahi padta
B:  Jab wo gunah ya khata kar ne par tauba nahi karta
C: Jab wo ristedaar se qata taluq kar leta hai  
D: sood ka maal jab tak uske pass rehta hai
E: Jab farz roze nahi rakhta
F:  Jab zakat adda nahi karta
G:  Inmein se koi nahi 

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Agar jawab G hai toh apna sahi jawab likhiye

***************

Sahi Jawab - B✅

Reference📚:
----
Abu Imama RadiAllahu Anhu se riwayat hai je baye baazu wala Farishta chay ghariyaan musalman khatakaar ya Gunah gaar bande se qalam utahe rakhta hain, agar wo sharmsaar hojaye aur tauba karle to qalam rakh deta hai  warna ek burai likh deta hain
----
ابو امامہ  رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے کہ: بائیں بازو والا فرشتہ چھ گھڑیاں مسلمان خطاکار یا گناہ گار بندے سے قلم اٹھائے رکھتا ہے، اگر وہ شر مسار ہو جائے، اور توبہ کرلے تو قلم رکھ دیتا ہے، وگرنہ ایک برائی لکھ دیتا ہے
------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3121

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...