❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Jawab ek se ziyada hain
Sawal: Momeen ka wo kaun kaunsa amal hai jiske karne wale ko maut ke baad bhi uske liye sadqa e jariya ya Eesal-e-sawab ka zariya ban jata hain?
A: wo ilm jis se log fahida utaye
B: neik aulad ka jo uske liye dua kare
C: Aulad ka apne waledain ke liye sadqa karna
D: koi darakhta lagana aur fir logo ka yh janwar ka usse fahida uthana
E: Waledain ke liye uske faut hone ke baad hajj karna
F: Raah-e-khuda mein tainati ki halat mein faut hona
G: Aulad ka apne walidain ke liye astagfar karna
H: padosi se husn suluk karna
I: Sahi Jawab ka Intezaar
*******************
Sahi Jawab - ABCDEFG✅
Reference📚:
------
Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Jab koi insan mar jata hai to uska amal moquf ho jata hai (ruk jata hai) magar ten cheezon ka sawab jari rahta hai ek sadqa e jariya ka, dusra wo ilm jis se log fayda uthaye, teesra neik bachche ka jo uske liye dua kare
Sahih Muslim, Vol 4, 4223
-------
Sad bin 'Ubada Radhi allahu anhu ki Maa ka jab inteqal hua to wo unki khidmat mein mojud nahi they unhoney aakar Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se farmaya, ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam meri walida ka jab inteqal hua to main unki khidmat mein hazir nahi tha, agar main koi cheez sadqa karu to us sey unhey fayda pahunch sakta hai Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Haan, unhoney kaha main Aapko gawah banata hun mera Makhraf naam ka baag unki taraf se sadqa hai.
Sahih Bukhari, Vol 4, 2756
---------
Anas Bin Malik Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya agar koi musalman koi darakht lagata hai aur is darakht se koi insaan ya janwar khata hai to lagane wale ke liye wo sadqa hota hai(yani jab tak koi isme se khayega sadqe ka sawab milta rahega)
Sahih Bukhari, Vol 7, 6012
----------
Ayesha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki ek shaksh aaya aur usney Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se pucha ki meri Maa achanak mar gayee aur waseeyat na kar saki, agar wo bolti to jarur sadqa deti, ab agar main Uski taraf se sadqa du to kya usey Sawab hai ? Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya HAAN
Sahih Muslim, Vol 3, 2326
----------
Ibn Abbbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki ek aurat ne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se apni walid ke bare mein pucha jiska inteqal bagair hajj kiye ho gaya to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum unki taraf se hajj karo
Sunan Nasaii, Vol 2, #545 -Sahih
-----------
Ibn Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki ek shaksh ne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se farmaya ki mere walid ki wafat ho gayi aur wo hajj nahi kar sakey , kya main unki janib se hajj kar sakta hu, Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya agar tumhare walid sahib par karz hota to kya tum unki taraf se wo karz ada kartey ? usney kaha ji haan to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya phir Allah subhanahu ka karz ada karney ka haq zyada hai
Sunan Nasaii, Vol 2, 550 -Sahih
-------------
Umma Aayesha Radhi allahu anhu se rivayat hai ki ek shakhsh ne Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam se pucha ki Meri Maa ka achanak inteqal ho gaya aur mera khayal hai ki agar unhein baat karney ka moka milta to wo kuch na kuch khairat karti ,agar main unki taraf se kuch khairat karu to kya unhein iska sawab milega ? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya , Haan milega
Sahih Bukhari , Vol 2, 1388
------------
Abu Hurairah Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jo raah-e-khuda mein tainati ki halat mein is duniya se gaya to jo bhi ( achcha) amal wo karta tha ALLAH subhanahu uska ajar jaari farma dega aur Allah iska rizq bhi (Qabr mein) jari farma dega Aur wo Qabr ki aazmayeesh se mehfooz rahega aur ALLAh usey qayamat ke roz har tarah ke khauff aur ghabrahat se mutmaeen uthayega
Sunan ibn Majah, Vol 2, 924-Sahih
----------
Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jannat mein mard ka darja buland kar diya jata hai to wo arz karta hai ye kaise hua irshad hota hai ki tumhare Aulad ke tumhare haq mein astigfar ke sabab.
Sunan Ibn majah, Jild 3, 541-Hasan
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Inmein se kaunse amal ke bare mein farmaya gaya hain ke ye Momeen ka behtareen amal hain A: Namaz B: Sila R...
-
Bismillahirrahmanirrahim Jannat kahti hai ki YA ALLAH isko jannat mein dakhil farma ----------------- Rasool-Al...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Namaz Mein khade hone se pehle padne ke azkar aur uska ajar ----- Umm Raafia RadiAllahu Anhu se riwayat ha...
-
Bismillahirrhamanirrahim Aasan hisab ki dua ----- اَللّٰهُمَّ حَاسِبْنِىْ حِسَا بًا يَّسِيْرًا Allahumma Haasibni Hisaban Yasira --------- ...
No comments:
Post a Comment