Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 21 April 2020

Deen kab tak ghalib rahega

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Deen kab tak ghalib rahega

A: jab tak log tauba karte rahenge
B: jab tak dajjal ka nuzul na hojaye
C; jab tak qalma sahadat  ki gawahi dete rahenge
D: jab tak Qayamat na aajaye
E: jab tak sila rehmi qayam rahenge
F: jab tak logo ke dil mein Eman baki rahega
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezaar


"Note: Agar apka jawab "G"hai toh sahi jawab likhiye"❗


*****************

Sahi Jawab - G✅

Allah Subhanahu jab tak chahega Deen tab tak Ghalib rahega

Reference📚:
--------
Aisha RadiAllahu Anhu se rivayat hai ke raat aur din is waqt taq khatam nahi honge jab taq laat aur uzzi ki ibadat na ki jaaney lagey, Aisha0 RadiAllahu Anhu ne kaha : Eh Allah ke Rasool! Mera khayaal tha ke jab Allah ta'ala ne yeh aayat nazil ki(Surah At Tawbah: 33) 
Woh zaat jis ne apne Rasool ko hidaayat aur deen haq de kar bheja taake usse tamam Adyan par ghalib kar de agarchay mushrikon ko yeh baat na pasand he kyun na ho“. to yeh maamla mukammal hogaya. Aap Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya jab taq Allah Subhanahu chahega yeh deen Ghalib rahega
------
عائشہ رضی اللہ عنہا سے مرفوعا مروی ہے کہ:رات اور دن اس وقت تک ختم نہیں ہوں گے جب تک لات اور عزی کی عبادت نہ کی جانے لگے، عائشہ رضی اللہ عنہا نے کہا: اے اللہ کے رسول! میرا خیال تھا کہ جب اللہ تعالیٰ نے یہ آیت نازل کی: (التوبۃ:۳۳)  ،”وہ ذات جس نے اپنے رسول کو ہدایت اور دین حق دے کر بھیجا تاکہ اسے تمام ادیان پر غالب کر دے اگرچہ مشرکوں کو یہ بات نا پسند ہی کیوں نہ ہو“۔ تو یہ معاملہ مکمل ہوگیا۔آپ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: جب تک اللہ چاہے گا یہ دین غالب رہے گا۔
------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2726

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...