Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 21 April 2020

Kaunse shaks ke liye farmaya gaya hai ke Allah ki taraf se wo nuqsaan, hasrat aur nedamat mein se hain

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hai!

Sawal: Kaunse shaks ke liye farmaya gaya hai ke Allah ki taraf se wo nuqsaan, hasrat aur nedamat mein se hain

A: Budhape mein apne maa baap ki khidmat na kare
B: jo kisi jagah baithe aur Allah ka zikr na kare
C: Jo jhoothi kasam kha kar apna maal beche
D: Jo Musalmano ki Jammat se door hojaye
E: jo bistar par sone jaaye aur Allah ka zikr na kare
F: Jo Quran ko khubsurti se na padhe
G: Jo Logo ko achchi baat ka hukm na kare

H: Sahi Jawab ka Intezaar

**************

Sahi Jawab - BE✅

Reference📚;
-------
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se rivayat hai ke jo shakhs kisi jagah baitha aur Allah ka zikar nahi kiya toh is par Allah ki taraf se nuqsaan, hasrat aur nedamat hai aur jo shakhs bistar par layta aur Allah ka zikar nahi kiya to iss par Allah ki taraf se nuqsaan, hasrat aur nedamat hain
-------
ابو ہریرہ‌رضی اللہ عنہ  سے مرفوعا مروی ہے کہ: جو شخص کسی جگہ بیٹھا اور اللہ کا ذکر نہیں کیا تو اس پر اللہ کی طرف سے نقصان، حسرت اور ندامت ہے اور جو شخص بستر پر لیٹا اور اللہ کا ذکر نہیں کیا تو اس پر اللہ کی طرف سے نقصان، حسرت اور ندامت ہے
------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2980

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...