Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 21 April 2020

Kaun log kamiyab hogaye

❗Only-Quran-Hadith-Quran❗

Jawab ek se ziyada hai

Sawal: Kaun log kamiyab hogaye

A: jis ko islam ki hidayat mili
B: jo apne gharwalo ka haq adda kare
C: jo iman laye
D: jo waledain ki farmabadari kare
E: jo salam mein pehal karte hai
F: jo hauz e kauther tak pahoch jaye
G: jo jahanum ki aag ke bach kar jannat mein dhakil kar diya gaya
H: jo Sila Rehami kare


I: Sahi Jawab ka Intezaar

****************

Sahi Jawab - ACFG✅

wo log joh kamiyab hogaye

Reference📚:
--------
Fadala bin Abaid RadiAllahu Anhu se rivayat hai ke unhone Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko farmate huwe suna ki jiss shaqs ko Islam ki hidayat de di gayi wo kamiyab hogaya is ke wasail guzare jitne thy aur iss par usne qannat ki
------
فضالہ بن عبید سے مرفوعا مروی ہے كہ انہوں نے رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌کو فرماتے ہوئے سنا: جس شخص كواسلام كی ہدایت دے دی گئی وہ كامیاب ہوگیا۔اس کے وسائل گذارے جتنے تھے اور اس پر اس نے قناعت كی
------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 958
***********
Abu Saeed RadiAllahu Anhu se rivayat hai ke Allah Subahanhu Taala ne Jannat ko banaya, ek eent sonay ki ek chandi ki  is ka gaara Kastoori ka, phir Jannat se kaha baat karo Jannat ne kaha yaqeenan Imaan walay kamiyab hogaye Farishton ne kaha tumahray liye khushkhabri ho, badshahon ke theharnay ki jagah.
-------
ابو سعید رضی اللہ عنہ  سےموقوفا و مرفوعا مروی ہے كہ: اللہ تعالیٰ نے جنت كو بنایا، ایك اینٹ سونے كی ایك چاندی كی، اس كا گارا كستوری كا ، پھر جنت سے كہا: بات كرو جنت نے کہا: یقینا ایمان والے كامیاب ہوگئےفرشتوں نے كہا: تمہارے لئے خوشخبری ہو، بادشاہوں کے ٹھہرنے کی جگہ۔ 
-------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1480
***********
Abdullah bin Abbas RadiAllahu Anhu se rivayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alahi wasallam ne farmaya mein tumhe peechay se pakad kar aag se rok raha hon aur keh raha hon jahannum se bachcho, hudood se bachcho, jab mein faut hojaoga toh hauz par tumhara intezaar karooga,  jo hauz tak pahooch gaya woh kamiyab ho gaya. Ek qoum aayegi to inhen baen taraf se pakad liya jaye ga mein kahonga : Eh Mere RABB meri ummat. mujh se kaha jayega Aap ko nahi maloom ke unhon ne aap ke baad kitne naye kam ( Biddaat ) ijaad kye aur apni ediyo ke bal deen se phir gaye
--------
  عبداللہ بن عباس رضی اللہ عنہما سے مروی ہے كہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: میں تمہیں پیچھے سے پكڑ كر آگ سے روك رہا ہوں اور كہہ رہا ہوں: جہنم سے بچو،حدود سے بچو،   جب میں فوت ہوجاؤں گا تو حوض پر تمہارا انتظار كروں گا، جو حوض تك پہنچ گیا وہ كامیاب ہو گیا۔ ایك قوم آئے گی تو انہیں بائیں طرف سے پكڑ لیا جائے گا۔ میں كہوں گا: اے میرے رب   میری امت۔ مجھ سے كہا جائے گا: آپ كو نہیں معلوم كہ انہوں نے آپ كے بعد كتنے نئے كام (بدعات) ایجاد كئے اور اپنی ایڑیوں كے بل دین سے پھر گئے
----‐--
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1617
**********
Abu Hurairra RadiAllahu Anhu se rivayat hai ke Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Jannat mein Ek chaabuk rakhe ki jagah duniya aur jo kuch is mein hai, is sab se behtar hai. aur yeh aayat padhi : Surah Ale Imran (03:185) Jo shakhs aag se bacha kar Jannat mein daakhil kar diya gaya woh kamiyab ho gaya, aur duniya ki zindagi toh dhoke ka samaan hai
-------
ابو ہریرہ‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جنت میں ایك چابک  ركھےك كی جگہ دنیا اور جو كچھ اس  میں ہے، اس سب سے بہتر ہے۔ اور یہ آیت پڑھی: 3   آل عمران.185”جو شخص آگ سے بچا كر جنت میں داخل كر دیا گیا وہ كامیاب ہو گیا، اور دنیا كی زندگی تو دھوكے كا سامان ہے“
-------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1510

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...