Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 3 October 2022

Ek shakhs 70 saal tak burey aamal karta rehta hai lekin ek aisa amal karta hai ke uska khatma khair par hota hai aur wo jannat mein jata hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 933❗

Ek shakhs 70 saal tak burey aamal karta rehta hai lekin ek aisa amal karta hai ke uska khatma khair par hota hai aur wo jannat mein jata hain

Sawal: wo kaunsa amal ke sabab Jannat mein dhakil hoga

A: Ristedaron se husn e suluk ki wajah se
B: Padosi ka haq adda karne ki wajah se
C: Waseeyat main insaf karne ki wajah se
D: Hajj karne ki wajah se
E: Yateem ki parwarish karne ki wajah se
F: Musalman ka qarz maaf kar dene ki wajah se
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likhe)
H: Sahih Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - C✅

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith :Waseeyat mein insafi karne wale ka khatama bil-khair hota hain aur wo Jannat mein jata hain

Reference📚:
----
Abu Huraira Radi Allahu Anhu se riwayat hain ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaye Admee 70 Saal tak Neik Aaamal karta rahta hain phir waseeyat ke waqt apni waseeyat mein na-insafi kar deta hain jiski wajah se uska khatma burey Aamal per ho jata hain aur wo jahannum mein chala jata hai isee tarha aadmee 70 saal tak burey aamal karta rehta hain lekin apni waseeyat main insaf kar deta hain to uska khatma bil-khair hota hai aur wo Jannat mein jata hain
----
رسول اللہ ﷺ نے فرمایا:  آدمی ستر سال تک نیک اعمال  کرتا رہتا ہے، پھر وصیت کے وقت اپنی وصیت میں نہ انصافی کرتا ہے، تو اس کا خاتمہ برے عمل پر ہوتا ہے اور جہنم میں جاتا ہے  اسی طرح آدمی ستر سال تک برے اعمال  کرتا رہتا ہے لیکن اپنی وصیت میں انصاف کرتا ہے، اس کا خاتمہ بالخیر ہوتا ہے، اور جنت میں جاتا ہے ۔ 
----
It was narrated from Abu Hurairah that the Messenger of Allah Salllallahu Alaihi wasallam said A man may do the deeds of the people of goodness for seventy years, then when he makes his will, he is unjust in his will, so he ends (his life) with evil deeds and enters Hell. And a man may do the people of evil for seventy years, then he is just in his will, so he ends (his life) with good deeds and enters Paradise.
Sunan Ibn Majah# 2704-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...