Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday, 3 October 2022

Jo shakhs raat ko tahajjud padne ke liye bedaar nahi hosake to wo kaunsa amal karen

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 931❗

Sawal: Jo shakhs raat ko tahajjud padne ke liye bedaar nahi hosake to wo kaunsa amal karen 

A: kasrat se Allah ka zikr karen
B: din mein 12 rakat sunnat padhe
C: kasrat se nawafil aada karen
D: SubhanAllah Alhumdulilah La ilaha illAllah 100 martaba padhe
E: witr ke baad 2 rakat adda karen
F: Isha ki namaz jamaat se adda karen
G: inmein se koi nahi (to apna jawab likhiye)

H: Sahih jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - E✅

Hadith: Jo witr ke baad 2 rakat aada karle to wo uske liye tahajjud ki terhan hogi agar wo raat ko  bedaar nahi ho paaya to

Reference📚:
-----
Hazrat Thawban RadiAllahu Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se riwayat karte hain Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ye bedari (yani raat ko utth kar tahajjud padhna) Ek mushkil aur garaan (takleef de) kaam hain, jab tum mein se koi shakhs witr padh le to wo do rakaat aada kare, agar wo raat ke waqt bedaar hojaye (to phir wo namaz tahajjud padhe) warna wo do rakaate is ke liye kaafi hongi
----
حضرت ثوبان ؓ نبی ﷺ سے روایت کرتے ہیں ۔ آپ ﷺ نے فرمایا :’’ یہ بیداری ایک مشکل اور گراں کام ہے ، جب تم میں سے کوئی شخص وتر پڑھ لے تو وہ دو رکعت ادا کرے ، اگر وہ رات کے وقت بیدار ہو جائے (تو پھر وہ نماز تہجد پڑھے) ورنہ وہ دو رکعتیں اس کے لیے کافی ہوں گی
----
Hazrat Thawban RadiAllahu Anhu reports that Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: "Verily awaking is difficult and burdensome”. Therefore when you pray witr offer two additional rak’ats thereafter. If he then manages to awaken (for Tahajjud, so be it) if not, these (two rak’ats) will be for him (like tahajjud)
----
Mishkat ul Masabeeh#1286-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...