Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Saturday 18 July 2020

Ghar se nikalte waqt ki dua aur uski ahmiyat




Bismillahirahmanirrahim

✦ Mafhum-e-Hadith: Ghar se nikalte waqt ki dua aur uski ahmiyat
-----------
✦ Anas bin malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab aadmi apne ghar se nikle aur ye dua padhe to usey (Allah ki taraf se) kaha jata hai ki tujhe hidayat di gayee, teri kifayat ki gayee aur teri hifazat ki gayee aur shaitan us se dur ho jata hai. aur dusra shaitan us se kahta hai ki us aadmi ke saath tera kya haal ho sakta hai jise hidayat di gayee ho, jiski kifayat ki gayee ho aur jiski hifazat ki gayee ho 

بِسْمِ اللَّهِ تَوَكَّلْتُ عَلَى اللَّهِ لاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ
Bismillahi tawakkaltu AlAllahi La hawla wa La quwwata illa billah 

✦ Allah ke naam ke saath (ghar se nikalta hu) aur Allah hi par maine bharosa kiya gunaho se bachne aur neki karne ki taqat sirf Allah hee ki taraf se hai)
Sunan Abu Dawud, jild 3, 1654-Sahih
------------
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جب آدمی اپنے گھر سے نکلے پھر کہے

«بسم الله توكلت على الله لا حول ولا قوة إلا بالله»

اللہ کے نام سے نکل رہا ہوں، میرا پورا پورا توکل اللہ ہی پر ہے، تمام طاقت و قوت اللہ ہی کی طرف سے ہے تو آپ نے فرمایا: اس وقت کہا جاتا ہے ( یعنی فرشتے کہتے ہیں ) : اب تجھے ہدایت دے دی گئی، تیری طرف سے کفایت کر دی گئی، اور تو بچا لیا گیا، ( یہ سن کر ) شیطان اس سے جدا ہو جاتا ہے، تو اس سے دوسرا شیطان کہتا ہے: تیرے ہاتھ سے آدمی کیسے نکل گیا کہ اسے ہدایت دے دی گئی، اس کی جانب سے کفایت کر دی گئی اور وہ ( تیری گرفت اور تیرے چنگل سے ) بچا لیا گیا۔
سنن ابی داؤد جلد ۳ ١٦٥٤ صحیح
-----------
✦  रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जब आदमी अपने घर से निकले और ये दुआ पढ़े तो उसे (अल्लाह की तरफ से) कहा जाता है की तुझे हिदायत दी गयी, तेरी किफायत की गयी और तेरी हिफ़ाज़त की गयी और शैतान उस से दूर हो जाता है, और दूसरा शैतान उस से कहता है की उस आदमी के साथ तेरा क्या हाल हो सकता है जिसे हिदायत दी गयी हो, जिसकी किफायत की गयी हो और जिसकी हिफ़ाज़त की गयी हो

بِسْمِ اللَّهِ تَوَكَّلْتُ عَلَى اللَّهِ لاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ
बिस्मिल्लाही तवक्कलतू अलअल्लाही ला हौवला वा ला क़ुव्वता इल्ला बिल्लाह 

✦ अल्लाह के नाम के साथ (घर से निकलता हूँ ) और अल्लाह ही पर मैने भरोसा किया गुनाहों से बचने और नेकी करने की ताक़त सिर्फ़ अल्लाह ही की तरफ से है
सुनन अबू दाऊद, जिल्द 3, 1654-सही
---------
✦ Narrated Anas ibn Malik Radi Allahu Anhu The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: When a man goes out of his house and says these words the following will be said to him (from Allah) at that time: "You are guided, defended and protected." The devils will go far from him and another devil will say: How can you deal with a man who has been guided, defended and protected?

بِسْمِ اللَّهِ تَوَكَّلْتُ عَلَى اللَّهِ لاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ
Bismillahi tawakkaltu AlAllahi La hawla wa La quwwata illa billah 
✦ In the name of Allah, I trust in Allah; there is no might and no power but in Allah
Sunan Abu Dawud, Book 42, 5076-Sahih

Juma ki raat surah Al-kahaf padhni ki fazilat



Bismillahirrahmannirrahim

Juma ki raat Surah Al-Kahaf padhne ki fazeelat
----
Abu Saeed Khudri RadiAllahu Anhu se rivayat hain ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jisne Juma ki raat Surah Kahaf padhi uske aur baitullah ke darmiyan Noor ki roshni ho jati hain
 (Note: Jumerat ko Magrib ke baad se Juma ki raat shuru ho jati hain)

Saheeh Al-Jaami, 6471, Sunan Al-Daarimi, 3407-Sahih
Al Baihiqi, Subbul Iman 2231-Hasan
----
ابوسعید خدری رضي اللہ تعالی عنہ بیان کرتے ہیں کہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا  جس نے جمعہ کی رات سورۃ الکھف پڑھی اس کے اور بیت اللہ کے درمیان نورکی روشنی ہوجاتی ہے
------
Narrated by Abu Saeed Al-Khudri RadiAllahu Anhu The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said whoever reads Surah Al Kahaf on the night of Friday, will have a light that will stretch between him and the Ancient House (The Kabah).

Saheeh Al-Jaami, 6471, Sunan Al-Daarimi, 3407-Sahih
Al Baihiqi, Subbul Iman 2231-Hasan

Allahumma Salli Ala Muhammed





Bismillahirahmanirrahim

اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّد

✦ Allahumma Salli Ala Muhammed
----
✦ Eh Allah Rahmat nazil farma Muhammed Sal-Allahu Alaihi Wasallam par 
--------
اے الله رحمت نازل فرما محمد صلی علیہ وسلم پر 
-------
✦ एह अल्लाह रहमत नाज़िल फरमा मुहम्मद सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम  पर
-----
✦ Oh Allah send blessings on Prophet Muhammed Sal-Allahu Alaihi Wasallam

SubhanAllahi wa biHamdihi, Subhan-Allahil-azeem






Bismillahirrahmanirrahim

سُبْحَانَ اللّهِ وَ بِحَمْدِهِ ، سُبْحَانَ اللّهِ الْعَظِيمِ

✦SubhanAllahi wa biHamdihi, Subhan-Allahil-azeem
------
✦Allah ki zaat paak hai aur usee ki hamd hai
✦Allah ki zaat paak hai aur wo bada azmat wala hai
-------
الله کی ذات پاک ہے اور اسی کی حمد ہے
الله کی ذات پاک ہے اور وہ بڑا عظمت والا ہے
-------
✦Glory be to Allah , and Praise
✦Glory be to Allah and Supreme

La ilaha illAllah Muhammedur Rasool-Allah





Bismillahirrahmannirrahim

لآ اِلَهَ اِلّا اللّهُ مُحَمَّدٌ رَسُوُل اللّهِ

La ilaha illAllah Muhammedur Rasool-Allah
----
Allah ke Siwa koi Ibadat ke layaq nahi aur Muhammed Sallallahu Alaihi wasallam Allah ke Rasool hain
-----
الله کے سوا کوئی عبادت کے لائق نہیں اور محمد صلی اللہ علیہ وسلم الله کے رسول ہیں
-----
There is No God but Allah and Muhammed Sallallahu Alaihi wasallam is the 
Messenger of Allah

Allah Subahnahu taala kisi bande ko is ki na pasandeeda azmaish mein mubtala karta hai toh Allah Subhanahu is aazmaish ko is ke liye kaffara aur pakeezgi ka zariya bana deta hai





Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Allah Subahnahu taala kisi bande ko is ki na pasandeeda azmaish mein mubtala karta hai toh Allah Subhanahu is aazmaish ko is ke liye kaffara aur pakeezgi ka zariya bana deta hai
-----
Abu Huraira Radi Allahu Anhu kehte hain ke mein Umm Abdulah Bint Abi Zabab ke pass unki beemari mein ayadat karne aaya, unhon ne kaha : Abu Huraira ! Mein Umm Salma Radi Allah anha ke paas unki bemari mein ayadat karne gayi, unhon ne mere haath mein zakham ya phora dekha, kehne lagen mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se suna, farma rahe thy Allah Subahnahu taala kisi bande ko is ki na pasandeeda azmaish mein mubtala karta hai to Allah Subhanahu is aazmayesh ko is ke liye kaffara aur pakeezgi ka zariya bana deta hai jab tak woh apni is azmaish mein Allah Subahnahu ke ilawa kisi aur ke paas nahi jata ya usay teek karne mein Allah ke ilawa kisi aur ko nahi pukarta.
----------
ابو ہریرہرضی اللہ عنہ كہتے ہیں كہ میں ام عبداللہ بنت ا بی ذباب كے پاس ان كی بیماری میں عیادت كرنے آیا، انہوں نے كہا: ابو ہریرہ! میں ام سلمہ رضی اللہ عنہا كے پاس ان كی بیماری میں عیادت كرنے گئی، انہوں نے میرے ہاتھ میں زخم یا پھوڑا دیکھا، كہنے لگیں: میں نے رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم سے سنا، فرما رہے تھے: اللہ تعالیٰ كسی بندے كو اس كی نا پسندیدہ آزمائش میں مبتلا كرتا ہے تو اللہ تعالیٰ اس آزمائش كو اس كے لئے كفارہ اور پاكیزگی كا ذریعہ بنا دیتا ہے۔ جب تك وہ اپنی اس آزمائش میں اللہ كے علاوہ كسی كے پاس نہیں جاتا یا اسے ٹھیك كرنے میں اللہ كے علاوہ كسی اور كو نہیں پكارتا۔
-------------
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3301-Sahih

Al-Hamdu Lillah Ala Kulli Haal, Ya Hayyu Ya Qayyum, Bi-Raḥmatika Astagith




Bismillahirrahmanirrahim 

اَلْحَمْدُ لِلهِ عَلَى كُلِّ حَالٍ
----
✦ Al-Hamdu Lillah Ala Kulli Haal
----
Har haal mein Allah subhanahu ka shukr hai
----
ہر حال میں اللہ کا شکر ہے
----
हर हाल में अल्लाह सुबहानहु  का शुक्र है 
----
Praise be to Allaah in all circumstances
----
Al-Silsila As Sahiha, 2887-Sahih
*******
يَا حَىُّ يَا قَيُّومُ بِرَحْمَتِكَ أَسْتَغِيثُ

Ya Hayyu Ya Qayyum, Bi-Raḥmatika Astagith
-----
✦Eh Zinda , Hamesha  Qayam rahne  wale tere rahmat ke waseele se faryad karta hu
Jamia Tirmazi Jild 2,  1451 Hasan
----
 ”اے زندہ اور ہمیشہ رہنے والے! تیری رحمت کے وسیلے سے تیری مدد چاہتا ہوں۔
------
✦एह ज़िंदा हमेशा क़ायम रहने वाले तेरे रहमत के वसीले से फ़रियाद करता हूँ 
-------
✦Oh Alive and everlasting one , I seek relief by your mercy.
Jamia Tirmazi book 45 3524 - Hasan

Jis ne Ghar mein Farz namaz aada ki uss ne Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ki sunnat ko tark kiya




Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Jis ne Ghar mein Farz namaz aada ki uss ne Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ki sunnat ko tark kiya
-------
Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu se riwayat hai ki jo ye pasand kare ki Allah Subhanahu se Qayamat ke din Musalman hokar mulaqat kare to usko jaruri hai ki un namazo ki hifazat kare jahan azaan hoti hai wo isliye kyunki Allah Subhanahu ne tumhare Nabi Sallallahu Alaihi WaSallam ke liye hidayat ka raasta muqarrar kar diya hai aur ye namazein bhi ussi mein se hain. Agar tum (Farz) namazo ko ghar mein padhoge jaise falah banda ghar mein namaz padhta hai to beshak tumne apne Nabi Sallallahu Alaihi WaSallam ki sunnat chodh diya aur agar tumne Nabi Sallallahu Alaihi WaSallam ki sunnat chodh diya to tum gumrah ho jaoge Jab tum mein se koi wazu (taharat) kare aur achchi tarah wazu kare aur phir un masjido mein se kisi masjid ka irada kare to Allah Subhanahu uske har qadam ke badle ek neki likhta hai aur ek darja buland karta hai aur ek gunah mita deta hai Uske baad humne dekha ki koi bhi jamaat mein gair hazir nahi rahta tha siwaye aise munafiq ke jiska nifaq khula huwa ho, aur aadmi do shaksh ke kaandho par haath rakh kar chalaya jata tha aur saaf mein lakar khada kar diya jata tha 
-----
Abdullah (b. Mas'ud) reported: He who likes to meet Allah tomorrow as Muslim, he should persevere in observing these prayers, when a call is announced for them, for Allah has laid down for your Prophet the paths of right guidance, and these (prayers) are among the paths of right guidance. If you were to pray in your houses as this man why stays away (from the mosque) prays in his house, you would abandon the practice of your Prophet, and if you were to abandon the practice of your Prophet, you would go astray. No man purifies himself, doing it well, then makes for one of those mosques without Allah recording a blessing for him for every step he takes raising him a degree for it, and effacing a sin from him for it. I have seen the time when no one stayed away from it, except a hypocrite, who was well known for his hypocrisy, whereas a man would be brought swaying (due to weakness) between two men till he was set up in a row.
-----
 علی بن اقمر نے ابو احوص سے اور انھوں نے حضرت عبداللہ  ( بن مسعود  ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ ‌ ‌  )  سے روایت کی  ،  کہا  :  جو یہ چاہے کہ کل  ( قیامت کے دن  ) اللہ تعالیٰ سے مسلمان کی حیثیت سے ملے تو وہ جہاں سے ان  ( نمازوں  )  کے لیے بلایا جائے  ،  ان نمازوں کی حفاظت کرے  ( وہاں مساجد میں جا کر صحیح  طرح سے انھیں ادا کرے  ) کیونکہ اللہ تعالیٰ نے تمھائے نبی ﷺ کے لے ہدایت کے طریقے مقرر فرما دیے ہیں اور یہ  ( مساجد میں باجماعت نماز یں  ) بھی انھی طریقوں میں سے ہیں  ۔  کیونکہ اگر تم نمازیں اپنے گھروں میں پڑھو گے  ،  جیسے یہ جماعت سے پیچھے رہنے والا  ،  اپنے گھر میں پڑھتا ہےتو تم اپنے نبی کی راہ چھوڑ دو گے اور اگر تم اپنے نبی کی راہ کو چھوڑ دو گے تو گمراہ ہو جاؤ گے  ۔  کوئی آدمی جو پاکیز گی حاصل کرتا ہے  ( وضوکرتا ہے  ) اور اچھی طرح وضو کرتا ہے  ،  پھر ان مساجد میں سے کسی مسجد کا رخ کرتا ہے تو اللہ تعالیٰ اس کے ہر قدم کے بدلے  ،  جو وہ اٹھاتا ہے  ،  ایک نیکی  لکھتا ہے  ،  اور اس کے سبب اس کا ایک درجہ بلند فرماتا ہے اور اس کا ایک گناہ کم کر  دیتا ہے  ،  اور میں نے دیکھا کہ ہم میں سے کوئی  ( بھی  ) جماعت سے پیچھے  نہ رہتا تھا  ،  سوائے ایسے منافق  کے جس کا نفاق سب کو معلوم ہوتا  ( بلکہ بسا اوقات ایسا ہوتا کہ  ) ایک آدمی کو اس طرح لایا جاتا کہ اسے دو آ دمیوں کے درمیان سہارا دیا گیا ہوتا  ،  حتی کہ صف میں لاکھڑا کیا جاتا  ۔ 
-----------
Sahih Muslim Hadees # 1488-Sahih

Kya logon ne yh samajh rakha hai ke woh bas itna kehne par chodh diye jayenge ke "Hum Imaan laaye" aur un ko aazmaaya nahi jayega.






Bismillahirrahamnnirrahim

أَحَسِبَ النَّاسُ أَن يُتْرَكُوا أَن يَقُولُوا آمَنَّا وَهُمْ لَا يُفْتَنُونَ
-----
Kya logon ne yh samajh rakha hai ke woh bas itna kehne par chodh diye jayenge ke "Hum Imaan laaye" aur un ko aazmaaya nahi jayega.
-----
کیا لوگوں نے یہ سمجھ رکھا ہے کہ وہ بس اتنا کہنے پر چھوڑ دیے جائیں گے کہ "ہم ایمان لائے " اور ان کو آزمایا نہ جائے گا؟
-----
Do the people think that they will be left to say, "We believe" and they will not be tried?
---
Surah Al Ankabut: (29:02)

Beshak Insan apne RABB ka bada nashukrah hai.





Bismillahirrahmannirrahin

إِنَّ الْإِنسَانَ لِرَبِّهِ لَكَنُودٌ
-----
Beshak Insan apne RABB ka bada nashukrah hai.
-----
بے شک انسان اپنے رب کا بڑا ناشکرا ہے
-----
Indeed Man is very ungrateful towards his Lord. 
-----
Surah Aadiyaat: (100:06)

Woh kahega ke kaash! Mein ne apni (iss) Zindagi ke liye kuch aage bheja hota





Bismillahirrahmannirrahim

يَقُولُ يَا لَيْتَنِي قَدَّمْتُ لِحَيَاتِ
-----
Woh kahega ke kaash! Mein ne apni (iss) Zindagi ke liye kuch aage bheja hota
----
وہ کہے گا کہ کاش! میں نے اپنی (اس) زندگی کیلئے کچھ آگے بھیجا ہوتا
----
He will say, "Oh, I wish I had sent ahead [some good] for my life."
-----
Surah Al Fajr: (89:24)

Adam / Hawa Alaihi Salam ki dua jiske zariye unki tauba Qubul ki gayee thi






Bismillahirrahmanirraheem

✦ Adam / Hawa Alaihi Salam ki dua jiske zariye unki tauba Qubul ki gayee thi
-----------
( Humko bhi is dua ke jariye Allah subhanahu se tauba maangni chahiye)
--------
رَبَّنَا ظَلَمْنَا أَنفُسَنَا وَإِن لَّمْ تَغْفِرْ لَنَا وَتَرْحَمْنَا لَنَكُونَنَّ مِنَ الْخَاسِرِينَ
-------
✦ Rabbana Zalamna Anfusana Wa in lam taghfirlana Watarahamna Lanakoonanna Minal Khasireen              
--------
✦ Al Quran : Eh hamare RABB humne apni jaano par zulm kiya hai aur agar tu humko nahi bakhshega aur hum par raham nahi farmayega to hum jarur tabah ho jayenge
-------
اے ہمارے ربّ ہم نے اپنی جانوں پر ظلم کیا اور اگر تو ہمیں نہیں بخشے گا اور ہم پر رحم نہیں کرے گا تو ہم تباہ ہو جائیں گے
-------
✦ अल कुरान - एह हमारे रब्ब हमने अपनी जानो पर ज़ुल्म किया है और अगर तू हमको नहीं बख्शेगा और हम पर रहम नहीं करेगा तो हम जरुर तबाह हो जायेंगे 
---

Bismillahirrahmanirrahim

✦ Dua of Adam / Hawa Alaihi Salam By which their forgiveness was accepted
----------
( We should also use this dua to ask forgiveness from Allah)
-------------

رَبَّنَا ظَلَمْنَا أَنفُسَنَا وَإِن لَّمْ تَغْفِرْ لَنَا وَتَرْحَمْنَا لَنَكُونَنَّ مِنَ الْخَاسِرِينَ
-------------
✦ Rabbana Zalamna Anfusana Wa in lam taghfirlana Watarahamna Lanakoonanna Minal Khasireen                  
-------------
✦ Our Lord, we have wronged ourselves, and if You do not forgive us and have not mercy upon us, we will surely be among the losers.
✦ Al Quran , Surah Aaraf (7), Aayat 23

Sakhti Aur Pareshani ke waqt ki dua






Bismillahirrahmannirrahim

Sakhti aur pareshani ke waqt padhne ki dua

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko jab koi kaam sakht takleef o pareshani mein daal deta to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ye dua padhte: 

يَا حَىُّ يَا قَيُّومُ بِرَحْمَتِكَ أَسْتَغِيثُ 
Ya Hayyu Ya Qayyum, Bi-Raḥmatika Astagith
Eh Zinda Hamesha Rehne wale teri rehmat ke waseele se teri madad chahta hu

Jam e Tirmazi#3524-Sahih 
---------- 
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم کو جب کوئی کام سخت تکلیف و پریشانی میں ڈال دیتا تو آپ یہ دعا پڑھتے: «يا حي يا قيوم برحمتك أستغيث» ”اے زندہ اور ہمیشہ رہنے والے! تیری رحمت کے وسیلے سے تیری مدد چاہتا ہوں“۔ 
---------------
Bismillahirrahmanirrahim

Dua when in distress
---------------
Anas bin Malik RadiAllahu Anhu said  Whenever a matter would distress him, the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam would say: 

يَا حَىُّ يَا قَيُّومُ بِرَحْمَتِكَ أَسْتَغِيثُ
Ya Hayyu Ya Qayyum, Bi-Raḥmatika Astagith
‘Oh Alive and everlasting one! In Your Mercy do I seek relief
Jam e Tirmazi#3524-Sahih 


 

 

Hasbi Allah








Bismillahirrahmanirrahim

حسبي الله
----
Hasbi Allah
----
Allah is enough for me
---
Allah mere liye kaafi hai
--- 

Mujh par durud bhejna tumhare liye pakizgi ka sabab hai






Bismillahirrahmanirrahim

✦ Hadith : Mujh par durud bhejna tumhare liye pakizgi ka sabab hai
--------------------------
✦Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya mujh par durud bheja karo kyunki mujh par durud bhejna tumhare liye pakizgi ka sabab hai Allah subhanahu ne meri Qabr ke paas ek farishta muqarrar kiya hai jab mera koi ummati mujh par durud bhejta hai to wo farishta mujhse kahta hai ki Eh Muhammed  Sal-Allahu Alaihi Wasallam Falah bin Falah ne aap par durud bheja hai 
Al Silsila As Sahiha, 2863, 2778
-----
✦ Allahumma salli ala Muhammad wa ala aali Muhammad
---------------
   رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: مجھ پر درود بھیجو کیوں کہ تمہارا مجھ پر درود بھیجنا تمہارے لئے پاکیزگی کا سبب  ہے  اللہ تعالیٰ نے میری قبر کے پاس ایک فرشتہ کھڑا کر دیا ہے، جب میری امت کا کوئی شخص مجھ پر درود پڑھتا ہے تو وہ فرشتہ مجھ سے کہتا ہے :اے محمد صلی اللہ علیہ وسلم !فلاں بن فلاں نے اس وقت آپ صلی اللہ علیہ وسلم پردرود پڑھا ہے۔
السلسلہ صحیحہ   ٢٨٦٣ ٢٧٧٨
 -------
✦ रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया  मुझ पर  दुरुद भेजा करो क्यूंकि मुझ पर दुरुद भेजना तुम्हारे लिए पाकीजगी का सबब है , अल्लाह सुबहानहु ने मेरी कब्र के पास एक फ़रिश्ता मुक़र्रर किया है जब मेरा कोई उम्मती मुझ पर दुरुद भेजता है तो वो फ़रिश्ता मुझसे कहता है की एह मुहम्मद सलअल्लाहू अलैही वसल्लम फलाह बिन फलाह ने आप पर दुरुद भेजा है  
अल सिलसिला अस सहीहा 2863, 2778
--
✦ अल्लाहुम्मा सल्ली अला मुहम्मद वा अला आली मुहम्मद
-----------

Bismillahirrahmanirraheem

✦Hadith : Sending blessing on me will be the cause of purity for you
---------------
✦ RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam  said: send blessings on me because sending blessing on me will be the cause of purity for you.Allah subhanahu has 
appointed an angel near my grave , and whoever send blessings on me , that angel say Oh Muhammed Sallallahu Alaihi wasallam , the son of so and so has been send 
blessings for you.
Al Silsilla As sahiha, 2863, 2778
-
✦ Allahumma salli ala Muhammad wa ala aali Muhammad

Sayyad-Al-Astigfar






Bismillahirahmanirrahim 

Sayyad-Al-Astigfar (Allah se maghfirat maangne ka sabse achcha tariqa ) ye hai, jisne is dua ke alfaaz par yaqeen rakhte huye din mein inko padh liya aur usi din shaam hone se pahle uski maut ho gayee to wo jannati hai
-------------------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Sayyad-Al-Astigfar (Allah se maghfirat maangne ka sabse achcha tariqa ) ye hai, jisne is dua ke alfaaz par yaqeen rakhte huye din mein inko padh liya aur usi din shaam hone se pahle uski maut ho gayee to wo jannati hai, aur jisne is Dua ke alfaaz par yakeen rakhte huye Raat mein inko parh liya aur phir uska subah hone se pahle uski maut ho gayee to wo jannati hai.

اللَّهُمَّ أَنْتَ رَبِّي، لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ، خَلَقْتَنِي وَأَنَا عَبْدُكَ، وَأَنَا عَلَى عَهْدِكَ وَوَعْدِكَ مَا اسْتَطَعْتُ، أَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ مَا صَنَعْتُ، أَبُوءُ لَكَ بِنِعْمَتِكَ عَلَىَّ وَأَبُوءُ لَكَ بِذَنْبِي، فَاغْفِرْ لِي، فَإِنَّهُ لاَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلاَّ أَنْتَ
--------
✦ Allahumma anta Rabbi la ilaha illa anta, Khalaqtani wa ana abduka, wa ana 'ala ahdika wa wa'dika mastata'tu, Awuzu bika min sharri ma sana'tu, abu'u Laka bini'matika 'alaiya,  wa Abu'u Laka bizambi fagfirli fa innahu la Yagfiru-az-zunuba illa anta.
----------------------------
✦ Tarjuma : Eh Allah tu hi mera RAB hai, tere siwa koi mabud nahi, tune hi mujhe paida kiya hai aur main tera hi Banda hu, main apni taqat ke mutabiq tujhse kiye huye Ahad aur wade par qayam hun, main tujhse us cheez ki burayee se panah maangta hu jisko maine kiya ,main tere samne teri naimaton ka iqrar karta hu jo tune mujhe ata farmayee, Aur main apne gunahon ka bhi iqrar karta hun, tu mujhe maaf kar de , beshak tere siwa gunahon ko koi maaf karne wala nahi
✦ Sahih Bukhari, Vol 7, 6306
--------------------
شداد بن اوس رضی اللہ عنہ نے بیان کیا اور ان سے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے کہ سیدالاستغفار ۔ ( مغفرت مانگنے کے سب کلمات کا سردار ) یہ ہے یوں کہے ،

اللَّهُمَّ أَنْتَ رَبِّي، لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ، خَلَقْتَنِي وَأَنَا عَبْدُكَ، وَأَنَا عَلَى عَهْدِكَ وَوَعْدِكَ مَا اسْتَطَعْتُ، أَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ مَا صَنَعْتُ، أَبُوءُ لَكَ بِنِعْمَتِكَ عَلَىَّ وَأَبُوءُ لَكَ بِذَنْبِي، فَاغْفِرْ لِي، فَإِنَّهُ لاَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلاَّ أَنْتَ

 ‏ اے اللہ ! تو میرا رب ہے ، تیرے سوا کوئی معبود نہیں ۔ تو نے ہی مجھے پیدا کیا اور میں تیرا ہی بندہ ہوں میں اپنی طاقت کے مطابق تجھ سے کئے ہوئے عہد اور وعدہ پرقائم ہوں ۔ ان بری حرکتوں کے عذاب سے جو میں نے کی ہیں تیری پناہ مانگتا ہوں مجھ پر نعمتیں تیری ہیں اس کااقرار کرتا ہوں ۔ میری مغفرت کر دے کہ تیرے سوا اور کوئی بھی گناہ نہیں معاف کرتا 
 آنحضرت صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ جس نے اس دعا کے الفاظ پر یقین رکھتے ہوئے دل سے ان کو کہہ لیا اور اسی دن اس کا انتقال ہو گیا شام ہونے سے پہلے تو وہ جنتی ہے اور جس نے اس دعا کے الفاظ پر یقین رکھتے ہوئے رات میں ان کو پڑھ لیا اور پھر اس کاصبح ہونے سے پہلے انتقال ہو گیا تو وہ جنتی ہے
صحیح بخاری ٦٣٠٦
----------
✦ रसूल अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया सय्यद-अल-अस्तिगफार: अल्लाह से मगफिरत मांगने का सबसे अच्छा तरीक़ा ) ये है जिसने इस दुआ के अल्फाज़ पर यकीन रखते हुए दिन में इसको पढ़ लिया और उसी दिन शाम होने से पहले उसकी मौत हो गयी तो वो जन्नती है और जिसने इस दुआ के अल्फाज़ पर यकीन रखते हुए रात में इसको पढ़ लिया और फिर सुबह होने से पहले उसकी मौत हो गयी तो वो जन्नती है

اللَّهُمَّ أَنْتَ رَبِّي، لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ، خَلَقْتَنِي وَأَنَا عَبْدُكَ، وَأَنَا عَلَى عَهْدِكَ وَوَعْدِكَ مَا اسْتَطَعْتُ، أَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ مَا صَنَعْتُ، أَبُوءُ لَكَ بِنِعْمَتِكَ عَلَىَّ وَأَبُوءُ لَكَ بِذَنْبِي، فَاغْفِرْ لِي، فَإِنَّهُ لاَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلاَّ أَنْتَ
✦ तर्जुमा : एह अल्लाह तू मेरा रब है तेरे सिवा कोई माबूद नहीं , तूने ही मुझे पैदा किया है और मैं तेरी ही बंदा हूँ , मैं अपने ताक़त के मुताबिक़ तुझसे किये हुए अहद और वादे पर क़ायम हूँ ,मैं तुझसे उस चीज़ की शर (बुराई) से पनाह मांगता हूँ जिसका मैंने इरतकाब किया ,मैं तेरे सामने तेरी नेमतों का इकरार करता हूँ जो मुझे अता की हैं और मैं अपने गुनाहों का इकरार करता हूँ ,तू मुझे माफ़ कर दे , बेशक तेरे सिवा गुनाहों को कोई माफ़ करने वाला नहीं है 
 सही बुखारी, जिल्द 7 हदीस 6306

*************

Bismillahirahmanirrahim

✦ Hadith : The most superior way of asking for forgiveness from Allah is Sayydal Astagfar
--------------------
The Prophet (ﷺ) said If somebody recites Sayydal Astigfar during the day with firm faith in it and dies on the same day before the evening, he will be from the people of Paradise and if somebody recites it at night with firm faith in it and dies before the morning he will be from the people of Paradise. The Prophet (ﷺ) said "The most superior way of asking forgiveness from Allah is

اللَّهُمَّ أَنْتَ رَبِّي، لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ، خَلَقْتَنِي وَأَنَا عَبْدُكَ، وَأَنَا عَلَى عَهْدِكَ وَوَعْدِكَ مَا اسْتَطَعْتُ، أَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ مَا صَنَعْتُ، أَبُوءُ لَكَ بِنِعْمَتِكَ عَلَىَّ وَأَبُوءُ لَكَ بِذَنْبِي، فَاغْفِرْ لِي، فَإِنَّهُ لاَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلاَّ أَنْتَ
✦ Allahumma anta Rabbi la ilaha illa ant, Khalaqtani wa ana abduk, wa ana 'ala ahdika wa wa'dika mastata't,Awuzu bika min sharri ma sana't, abu'u Laka bini'matika 'alay, wa Abu'u Laka bizambi fagfirli fa innahu la Yagfiru-az-zunuba illa anta.
---------------------
Translation: O Allah, You are my Lord, none has the right to be
worshiped except You, You created me and I am Your servant and I Obey to Your covenant and promise as best as I can,
I take refuge in You from the evil of which I committed.
I acknowledge Your favor upon me and I acknowledge my sin,
so forgive me, indeed none can forgive sins except You.
 Sahih Bukhari, Book 75, Hadith 318

Duniya wale kisko apna hasab banate hain

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Mahfhum mukammal kare!

Sawal: Duniya wale kisko apna hasab banate hain ?

A: Lambi umar ki chahat 
B: Aulad
C: Rizaq
D: Duniya ki fikar
E: Maal
F: Bukhli karna
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

❗Note agar apka jawab G hai toh sahi Jawab likhiye

*************

Sahi Jawab - E✅

Maal ko ikhtiyaar karna Ahle duniya ka hasab hain

Reference📚:
-----
Syedna Buraida RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ‌ne farmaya beshak Ahal duniya jis hasab ko ikhtiyar karte hain, woh maal hain
------
سیدنا بریدہ ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: بیشک اہل دنیا جس حسب کو اختیار کرتے ہیں، وہ مال ہے۔
-----
Musnad Ahmed#10065-Sahih

Jab Azan di jaati hai ya namaz ke liye pukara jata hai toh kya hota hai

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hain❗

Sawal: Jab Azan di jaati hai ya namaz ke liye pukara jata hai toh kya hota hai

A: Shaitan badi tezi ke saath peeth pher kar bhaag jata hai
B: Shaitaan Insan ke dil mein waswase daalta hai
C: Aasman ke darwaze khole diye jaate hai
D:  Farishte Allah Subhanahu ki hamd bayan karte hai
E: Jannat ke darwaze khol diye jata hai
F: Dua kabul ki jaati hai
G: Dozak ke darwaze band kar diye jate hai

H: Sahi jawab ka intezaar

******************

Sahi Jawab - ACF✅

Azan ya Namaz ke liye pukare jaane per Shaitaan tezi ke saath bhaag jata hai aur Aasman ke darwaze khole diye jaate hai aur dua kabul ki jaati hai
-----
Reference📚:
-----
Anas Bin Malik RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya  jab Namaz ke liye pukara jata hai to Aasman ke darwaze khol diye jate hain, aur dua Qubool ki jati hai
-----
انس‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جب نمازكے لئے پكارا جاتا ہے تو آسمان كے دروازے كھول دیئے جاتے  ہیں، اور دعا قبول كی جاتی ہے
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#531-Sahih
-----
Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Jab namaz ke liye azan di jati hai to Shaitan hawa kharij karta huwa badi tezi ke saath peeth pher kar bhagta hai taki Azan ki aawaz na sun  sakey aur jab azan khatam ho jati hai to phir wapas aa jata hai lekin jaisey hi  takbeer shuru hoti hai to phir peeth pher kar bhagta hai jab takbeer bhi khatam ho jati hai shaitan dobara aa jata hai aur namazi ke dil mein waswasey dalta hai kahta hai ki falah baat yaad kar.falah baat yaad kar. un baaton ko shaitan yaad dilata hai jiska usey (namazi ko) khayal bhi na tha aur phir us shaksh ko ye bhi yaad nahi rahta ki kitni Rakatein parhi hain
-----
نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا جب نماز کے کے لیے اذان دی جاتی ہے تو شیطان پادتا ہوا بڑی تیزی کے ساتھ پیٹھ موڑ کر بھاگتا ہے۔ تاکہ اذان کی آواز نہ سن سکے اور جب اذان ختم ہو جاتی ہے تو پھر واپس آ جاتا ہے۔ لیکن جوں ہی تکبیر شروع ہوئی وہ پھر پیٹھ موڑ کر بھاگتا ہے۔ جب تکبیر بھی ختم ہو جاتی ہے تو شیطان دوبارہ آ جاتا ہے اور نمازی کے دل میں وسوسے ڈالتا ہے۔ کہتا ہے کہ فلاں بات یاد کر فلاں بات یاد کر۔ ان باتوں کی شیطان یاد دہانی کراتا ہے جن کا اسے خیال بھی نہ تھا اور اس طرح اس شخص کو یہ بھی یاد نہیں رہتا کہ اس نے کتنی رکعتیں پڑھی ہیں۔
-----
Sahih Bukhari # 608-Sahih

Momeeno ke liye sabse badi khushnoodi ka sabab kya hain

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Momeeno ke liye sabse badi khushnoodi ka sabab kya hain

A: Allah Subhanahu ka zikr
B: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki pairwi karna
C: Bhudhape mein Waledain ki kidmat 
D: Halal Rizaq
E: Ilm hasil karna 
F: Dhul Hajj ke mahine mein Umrah karna
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi jawab ka intezaar

❗Note agar aapka jawab G hai toh sahi jawab likiye

******************

Sahi Jawab - G✅

Momeeno ke liye sabse badi khushnoodi ka sabab Allah ki razamandi hain

Reference📚:
------
Bismillahirrahmannirrahim

وَعَدَ اللّٰہُ الۡمُؤۡمِنِیۡنَ وَ الۡمُؤۡمِنٰتِ جَنّٰتٍ تَجۡرِیۡ مِنۡ تَحۡتِہَا الۡاَنۡہٰرُ خٰلِدِیۡنَ فِیۡہَا وَ مَسٰکِنَ طَیِّبَۃً فِیۡ جَنّٰتِ عَدۡنٍ ؕ وَ رِضۡوَانٌ مِّنَ اللّٰہِ اَکۡبَرُ ؕ ذٰلِکَ ہُوَ  الۡفَوۡزُ  الۡعَظِیۡمُ ﴿٪۷۲﴾
-----
Allah ne momin mardon aur momin aurton se wada kiya hai un baagaat ka jin ke neechay nehre behti hongi, jin mein woh hamesha rahenge, aur un pakeeza makanaat ka jo sada bahhar baagaat mein honge aur Allah ki taraf se khushnodi ( razamandi) to sabse badhi cheez hai ( jo jannat walon ko naseeb hogi ) yahi to zabardast kamyabi hai
-----
Allah has promised the Muslim men and Muslim women, Gardens beneath which rivers flow – they will abide in it forever – and pure dwellings in Gardens of everlasting stay; *and the greatest (reward) is Allah’s pleasure; this is the supreme success. *
------
اللہ نے مومن مردوں اور مومن عورتوں سے وعدہ کیا ہے ان باغات کا جن کے نیچے نہریں بہتی ہوں گی ، جن میں وہ ہمیشہ رہیں گے ، اور ان پاکیزہ مکانات کا جو سدا بہار باغات میں ہوں گے ۔ اور اللہ کی طرف سے خوشنودی (رضامندی) تو سب سے بڑی چیز ہے ( جو جنت والوں کو نصیب ہوگی ) یہی تو زبردست کامیابی ہے ۔
----
Surah At Tawba: (09:72)

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...