Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Saturday 18 July 2020

Jis ne Ghar mein Farz namaz aada ki uss ne Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ki sunnat ko tark kiya




Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Jis ne Ghar mein Farz namaz aada ki uss ne Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ki sunnat ko tark kiya
-------
Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu se riwayat hai ki jo ye pasand kare ki Allah Subhanahu se Qayamat ke din Musalman hokar mulaqat kare to usko jaruri hai ki un namazo ki hifazat kare jahan azaan hoti hai wo isliye kyunki Allah Subhanahu ne tumhare Nabi Sallallahu Alaihi WaSallam ke liye hidayat ka raasta muqarrar kar diya hai aur ye namazein bhi ussi mein se hain. Agar tum (Farz) namazo ko ghar mein padhoge jaise falah banda ghar mein namaz padhta hai to beshak tumne apne Nabi Sallallahu Alaihi WaSallam ki sunnat chodh diya aur agar tumne Nabi Sallallahu Alaihi WaSallam ki sunnat chodh diya to tum gumrah ho jaoge Jab tum mein se koi wazu (taharat) kare aur achchi tarah wazu kare aur phir un masjido mein se kisi masjid ka irada kare to Allah Subhanahu uske har qadam ke badle ek neki likhta hai aur ek darja buland karta hai aur ek gunah mita deta hai Uske baad humne dekha ki koi bhi jamaat mein gair hazir nahi rahta tha siwaye aise munafiq ke jiska nifaq khula huwa ho, aur aadmi do shaksh ke kaandho par haath rakh kar chalaya jata tha aur saaf mein lakar khada kar diya jata tha 
-----
Abdullah (b. Mas'ud) reported: He who likes to meet Allah tomorrow as Muslim, he should persevere in observing these prayers, when a call is announced for them, for Allah has laid down for your Prophet the paths of right guidance, and these (prayers) are among the paths of right guidance. If you were to pray in your houses as this man why stays away (from the mosque) prays in his house, you would abandon the practice of your Prophet, and if you were to abandon the practice of your Prophet, you would go astray. No man purifies himself, doing it well, then makes for one of those mosques without Allah recording a blessing for him for every step he takes raising him a degree for it, and effacing a sin from him for it. I have seen the time when no one stayed away from it, except a hypocrite, who was well known for his hypocrisy, whereas a man would be brought swaying (due to weakness) between two men till he was set up in a row.
-----
 علی بن اقمر نے ابو احوص سے اور انھوں نے حضرت عبداللہ  ( بن مسعود  ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ ‌ ‌  )  سے روایت کی  ،  کہا  :  جو یہ چاہے کہ کل  ( قیامت کے دن  ) اللہ تعالیٰ سے مسلمان کی حیثیت سے ملے تو وہ جہاں سے ان  ( نمازوں  )  کے لیے بلایا جائے  ،  ان نمازوں کی حفاظت کرے  ( وہاں مساجد میں جا کر صحیح  طرح سے انھیں ادا کرے  ) کیونکہ اللہ تعالیٰ نے تمھائے نبی ﷺ کے لے ہدایت کے طریقے مقرر فرما دیے ہیں اور یہ  ( مساجد میں باجماعت نماز یں  ) بھی انھی طریقوں میں سے ہیں  ۔  کیونکہ اگر تم نمازیں اپنے گھروں میں پڑھو گے  ،  جیسے یہ جماعت سے پیچھے رہنے والا  ،  اپنے گھر میں پڑھتا ہےتو تم اپنے نبی کی راہ چھوڑ دو گے اور اگر تم اپنے نبی کی راہ کو چھوڑ دو گے تو گمراہ ہو جاؤ گے  ۔  کوئی آدمی جو پاکیز گی حاصل کرتا ہے  ( وضوکرتا ہے  ) اور اچھی طرح وضو کرتا ہے  ،  پھر ان مساجد میں سے کسی مسجد کا رخ کرتا ہے تو اللہ تعالیٰ اس کے ہر قدم کے بدلے  ،  جو وہ اٹھاتا ہے  ،  ایک نیکی  لکھتا ہے  ،  اور اس کے سبب اس کا ایک درجہ بلند فرماتا ہے اور اس کا ایک گناہ کم کر  دیتا ہے  ،  اور میں نے دیکھا کہ ہم میں سے کوئی  ( بھی  ) جماعت سے پیچھے  نہ رہتا تھا  ،  سوائے ایسے منافق  کے جس کا نفاق سب کو معلوم ہوتا  ( بلکہ بسا اوقات ایسا ہوتا کہ  ) ایک آدمی کو اس طرح لایا جاتا کہ اسے دو آ دمیوں کے درمیان سہارا دیا گیا ہوتا  ،  حتی کہ صف میں لاکھڑا کیا جاتا  ۔ 
-----------
Sahih Muslim Hadees # 1488-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...