Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Saturday 18 July 2020

Momeeno ke liye sabse badi khushnoodi ka sabab kya hain

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Momeeno ke liye sabse badi khushnoodi ka sabab kya hain

A: Allah Subhanahu ka zikr
B: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki pairwi karna
C: Bhudhape mein Waledain ki kidmat 
D: Halal Rizaq
E: Ilm hasil karna 
F: Dhul Hajj ke mahine mein Umrah karna
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi jawab ka intezaar

❗Note agar aapka jawab G hai toh sahi jawab likiye

******************

Sahi Jawab - G✅

Momeeno ke liye sabse badi khushnoodi ka sabab Allah ki razamandi hain

Reference📚:
------
Bismillahirrahmannirrahim

وَعَدَ اللّٰہُ الۡمُؤۡمِنِیۡنَ وَ الۡمُؤۡمِنٰتِ جَنّٰتٍ تَجۡرِیۡ مِنۡ تَحۡتِہَا الۡاَنۡہٰرُ خٰلِدِیۡنَ فِیۡہَا وَ مَسٰکِنَ طَیِّبَۃً فِیۡ جَنّٰتِ عَدۡنٍ ؕ وَ رِضۡوَانٌ مِّنَ اللّٰہِ اَکۡبَرُ ؕ ذٰلِکَ ہُوَ  الۡفَوۡزُ  الۡعَظِیۡمُ ﴿٪۷۲﴾
-----
Allah ne momin mardon aur momin aurton se wada kiya hai un baagaat ka jin ke neechay nehre behti hongi, jin mein woh hamesha rahenge, aur un pakeeza makanaat ka jo sada bahhar baagaat mein honge aur Allah ki taraf se khushnodi ( razamandi) to sabse badhi cheez hai ( jo jannat walon ko naseeb hogi ) yahi to zabardast kamyabi hai
-----
Allah has promised the Muslim men and Muslim women, Gardens beneath which rivers flow – they will abide in it forever – and pure dwellings in Gardens of everlasting stay; *and the greatest (reward) is Allah’s pleasure; this is the supreme success. *
------
اللہ نے مومن مردوں اور مومن عورتوں سے وعدہ کیا ہے ان باغات کا جن کے نیچے نہریں بہتی ہوں گی ، جن میں وہ ہمیشہ رہیں گے ، اور ان پاکیزہ مکانات کا جو سدا بہار باغات میں ہوں گے ۔ اور اللہ کی طرف سے خوشنودی (رضامندی) تو سب سے بڑی چیز ہے ( جو جنت والوں کو نصیب ہوگی ) یہی تو زبردست کامیابی ہے ۔
----
Surah At Tawba: (09:72)

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...