Bismillahirrahmannirrahim
Hadith: Allah Subahnahu taala kisi bande ko is ki na pasandeeda azmaish mein mubtala karta hai toh Allah Subhanahu is aazmaish ko is ke liye kaffara aur pakeezgi ka zariya bana deta hai
-----
Abu Huraira Radi Allahu Anhu kehte hain ke mein Umm Abdulah Bint Abi Zabab ke pass unki beemari mein ayadat karne aaya, unhon ne kaha : Abu Huraira ! Mein Umm Salma Radi Allah anha ke paas unki bemari mein ayadat karne gayi, unhon ne mere haath mein zakham ya phora dekha, kehne lagen mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se suna, farma rahe thy Allah Subahnahu taala kisi bande ko is ki na pasandeeda azmaish mein mubtala karta hai to Allah Subhanahu is aazmayesh ko is ke liye kaffara aur pakeezgi ka zariya bana deta hai jab tak woh apni is azmaish mein Allah Subahnahu ke ilawa kisi aur ke paas nahi jata ya usay teek karne mein Allah ke ilawa kisi aur ko nahi pukarta.
----------
ابو ہریرہرضی اللہ عنہ كہتے ہیں كہ میں ام عبداللہ بنت ا بی ذباب كے پاس ان كی بیماری میں عیادت كرنے آیا، انہوں نے كہا: ابو ہریرہ! میں ام سلمہ رضی اللہ عنہا كے پاس ان كی بیماری میں عیادت كرنے گئی، انہوں نے میرے ہاتھ میں زخم یا پھوڑا دیکھا، كہنے لگیں: میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے سنا، فرما رہے تھے: اللہ تعالیٰ كسی بندے كو اس كی نا پسندیدہ آزمائش میں مبتلا كرتا ہے تو اللہ تعالیٰ اس آزمائش كو اس كے لئے كفارہ اور پاكیزگی كا ذریعہ بنا دیتا ہے۔ جب تك وہ اپنی اس آزمائش میں اللہ كے علاوہ كسی كے پاس نہیں جاتا یا اسے ٹھیك كرنے میں اللہ كے علاوہ كسی اور كو نہیں پكارتا۔
-------------
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3301-Sahih
No comments:
Post a Comment