Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Saturday 27 June 2020

Beshak, Allah Subhanahu har waqt tumhe dhek raha hai.






Bismillahirrahmannirrahim

إِنَّ اللَّهَ كَانَ عَلَيْكُمْ رَقِيبًا
----
Beshak, Allah Subhanahu har waqt tumhe dhek raha hai. 
-----
بیشک اللہ ہر وقت تمہیں دیکھ رہا ہے
----
Indeed Allah is always seeing you.
-----
Surah An Nisa: (04:01)

Momeen ke liye Wo kya hai jis ka hissa usse duniya mein mil jaata hai aur akhirat mein wo mehfooz hojata hai

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Momeen ke liye Wo kya hai jis ka hissa usse duniya mein mil jaata hai aur akhirat mein wo mehfooz hojata hai

A: Rizaq ki tangi se
B: Maut se
C: Aulad ki azmayeesh se
D: Bukhaar se
E: Zulm se
F: Maal ki kami se
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

❗Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye

*************

Sahi Jawab - D✅

Momeen ko jitna bukhaar hota hai wo aag mein se iska hissa hai jis ke zariye wo akhirat mein mehfooz hojata hai

Reference📚:
------
Abu Amama RadiAllahu Anho se riwayat hai ke  bukhaar Jahannum ki Bhatti hai is mein se momin ko jitna bukhaar hota hai woh Aag mein se is ka hissa hai (jo usay duniya mein mil jata hai aur akhirat mein woh mehfooz hojata hai )
----
عَنْ أَبِي أُمَامَةَ مرفوعا: الْحُمَّى كِيرٌ مِّنْ جَهَنَّمَ فَمَا أَصَابَ الْمُؤْمِنَ مِنْهَا كَانَ حَظَّهُ مِنَ النَّارِ.
----
ابو امامہ رضی اللہ عنہ  سے مرفوعا مروی ہے كہ:بخار جہنم كی بھٹی ہے اس میں سے مومن كو جتنا بخار ہوتا ہے وہ آگ میں سے اس كا حصہ ہے(جو اسے دنیا میں مل جاتا ہے اور آخرت میں وہ محفوظ ہوجاتا ہے)۔ 
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#3274-Sahih

Ek baar Rasool-Allah Alaihi wasallam ne farmya ke qayamat ke din Allah Subhanahu ek Nabi se farmaye ge ke apne ummat ke aksar afraad ko Jahannum mein dhakil farma doh yh sun kar tamam Sahaba karaam rone lage



❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do Sawal hai!

Ek baar Rasool-Allah Alaihi wasallam ne farmya ke qayamat ke din Allah Subhanahu ek Nabi se farmaye ge ke apne ummat ke aksar afraad ko Jahannum mein dhakil farma doh yh sun kar tamam Sahaba karaam rone lage

Sawal 1:  Wo kaunse Nabi Alaihi Sallam ki qaum hai

A: Isa Alaihi Sallam
B: Musa Alaihi Sallam
C: Noah Alaihi Sallam
D: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam
E: Sulaiman Alaihi Sallam
F: Ibrahim Alaihi Sallam
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Sawal 2: Uss qaum ke kitne afraad ko Jahannum mein dalne ka hukum diya jayega

✒️Apna jawab khud likhiye

H: Sahi Jawab ka Intezaar


***************

Sahi Jawab: G✅ (Adam Alaihi Sallam) / 1000 mein se 999 afraad ko Jahannum mein dhakil karne aur Ek ko Jannat mein dhakil karne ka hukum

Reference📚:
------
Syedna Abu Darda RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Qayamat ke din Allah Subhanahu taala Adam Alaihi sallam se farmaiye ga tum utho aur apni Aulaad ke har (1000) hazaar afraad mein se (999) navso ninanway Aadmi Jahannum ke liye aur Ek Jannat ke liye allag kardo yeh sun kar tamam Sahaba karaam ajmaeen RadiAllahu Anhu Rone lag gaye  Iss ke baad Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne unse farmaya apne sir upar uttaya, is zaat ki qasam jis ke haath mein Meri yh jaan hai! Doosri ummaton ke muqablay mein meri ummat ki misaal aissi hai jaise siyah bail ki jild par ek safaid baal ho yeh sun kar sahaba ka gham kuch halka huwa
------
سیدنا ابو درداء  ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  سے روایت ہے کہ نبی کریم  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا: قیامت کے دن اللہ تعالیٰ آدم علیہ السلام  سے فرمائے گا: تم اٹھو اور اپنی اولاد کے ہر ہزار افراد میں سے نو سو ننانوے آدمی جہنم کے لیے اور ایک جنت کے لیے الگ کردو۔  یہ سن کر تمام صحابہ کرام رضی اللہ عنہم اجمعین رونے لگ گئے، اس کے بعدرسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے ان سے فرمایا: اپنے سر اوپر اٹھاؤ، اس ذات کی قسم جس کے ہاتھ میں میر ی جان ہے! دوسری امتوں کے مقابلے میں میری امت کی مثال ایسے ہے، جیسے سیاہ بیل کی جلد پر ایک سفید بال ہو۔  یہ سن کر صحابہ کا غم کچھ ہلکا ہوا۔ 
-----
Sahih Hadees
Musnad Ahmed#12492

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...