Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Saturday 27 June 2020

Ek baar Rasool-Allah Alaihi wasallam ne farmya ke qayamat ke din Allah Subhanahu ek Nabi se farmaye ge ke apne ummat ke aksar afraad ko Jahannum mein dhakil farma doh yh sun kar tamam Sahaba karaam rone lage



❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do Sawal hai!

Ek baar Rasool-Allah Alaihi wasallam ne farmya ke qayamat ke din Allah Subhanahu ek Nabi se farmaye ge ke apne ummat ke aksar afraad ko Jahannum mein dhakil farma doh yh sun kar tamam Sahaba karaam rone lage

Sawal 1:  Wo kaunse Nabi Alaihi Sallam ki qaum hai

A: Isa Alaihi Sallam
B: Musa Alaihi Sallam
C: Noah Alaihi Sallam
D: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam
E: Sulaiman Alaihi Sallam
F: Ibrahim Alaihi Sallam
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Sawal 2: Uss qaum ke kitne afraad ko Jahannum mein dalne ka hukum diya jayega

✒️Apna jawab khud likhiye

H: Sahi Jawab ka Intezaar


***************

Sahi Jawab: G✅ (Adam Alaihi Sallam) / 1000 mein se 999 afraad ko Jahannum mein dhakil karne aur Ek ko Jannat mein dhakil karne ka hukum

Reference📚:
------
Syedna Abu Darda RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Qayamat ke din Allah Subhanahu taala Adam Alaihi sallam se farmaiye ga tum utho aur apni Aulaad ke har (1000) hazaar afraad mein se (999) navso ninanway Aadmi Jahannum ke liye aur Ek Jannat ke liye allag kardo yeh sun kar tamam Sahaba karaam ajmaeen RadiAllahu Anhu Rone lag gaye  Iss ke baad Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne unse farmaya apne sir upar uttaya, is zaat ki qasam jis ke haath mein Meri yh jaan hai! Doosri ummaton ke muqablay mein meri ummat ki misaal aissi hai jaise siyah bail ki jild par ek safaid baal ho yeh sun kar sahaba ka gham kuch halka huwa
------
سیدنا ابو درداء  ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  سے روایت ہے کہ نبی کریم  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا: قیامت کے دن اللہ تعالیٰ آدم علیہ السلام  سے فرمائے گا: تم اٹھو اور اپنی اولاد کے ہر ہزار افراد میں سے نو سو ننانوے آدمی جہنم کے لیے اور ایک جنت کے لیے الگ کردو۔  یہ سن کر تمام صحابہ کرام رضی اللہ عنہم اجمعین رونے لگ گئے، اس کے بعدرسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے ان سے فرمایا: اپنے سر اوپر اٹھاؤ، اس ذات کی قسم جس کے ہاتھ میں میر ی جان ہے! دوسری امتوں کے مقابلے میں میری امت کی مثال ایسے ہے، جیسے سیاہ بیل کی جلد پر ایک سفید بال ہو۔  یہ سن کر صحابہ کا غم کچھ ہلکا ہوا۔ 
-----
Sahih Hadees
Musnad Ahmed#12492

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...