❗Only-Quran-Hadith-Quiz 780❗
Jawab ek se ziyada hain
Sawal: Jihad ya Allah ki raah mein pehra dene ke mutalliq kaun kaunsi baate sahi hain
A: Jihad ke liye ek din baithna kisi aur maqam per 1000 din baithane se Afzal hain
B: Uske liye pul sirat par Mukammal Noor hoga
C: Allah ke raah mein ek ghadi khade rehna lailatul qadr mein hajre aswad ke pass qiyam karne se behtar hain
D: Jihad mein ek din ka roza rakhna uske aur aag ke beech khandaq ban jayega
E: 2 saal se bhi ziyada ibadat karne se behtar hain
F: unki aankhen qayamat ke din dozak ki aag nahi dehkengi
G: bewa aur miskeen ki madad karna jihad karne ke manid hain
H: jo shaks pehra dete huwe faut hogaya uske liye qayamat tak iska ajar jari rahega
I: Sahi jawab ka intezaar
****
Sahi Jawab - ACDEFGH✅
Hadith: Jihad ya Allah ki raah mein pehra dene ki fazilat
Reference📚:
-------
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke wo pehra de rahe thy, log ghabra gaye aur saahil ki taraf chale, phir kaha gaya ke: koi masla nahi, log wapas aagaye. Abu Huraira RadiAllahu Anhu khade rahe ek aadmi un ke paas se guzra to kehne laga : Abu Huraira RadiAllahu Anhu kyun khade hain? unhon ne kaha : Mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se suna farma rahe thy :Allah ke raste mein ek ghadi khade rehna Lailatul Qadr mein Hajre Aswad ke pass Qiyam se behtar hain.
Al-Silsila-tus-Sahiha#2155
**
Rasool-Allah Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Behsak Allah Subhanahu ki raah mein ek din ke liye pehra dena Ek hazar dino ( yani 2 saal se bhi zyada) ki ibadat se behtar hain..
Musnad Ahmed - 4802-Sahih
**
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya bewa aurton aur miskeeno ke liye mehnat aur koshish karne wala Allah ki raah mein Jihad karne wale ke manid hain, aur iss shakhs ke manid hain jo raat bhar qayam kare, aur din ko roza rakhta ho
Sunnan e ibn e Maja#2140- Sahih
**
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Teen Aadmi aise hain, jinki Aankhine Qayamat ke din dozakh ki aag ko nahi dkehegi (yani unko aag nahi chu sakegi ) wo aankh jo Allah ke darr se roye, wo aankh jisne Allah ke raaste mein pehra diya, aur wo aankh jisne Allah ki Haram kardah Cheezo ko nahi dekha
As-Silsila As-Sahiha 1477
**
Usman bin Afwan Radi Allahu Anhu se riwayat hai Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah ke raste mein ek din sarhad par tayyar ho kar baithna ( neki ke liye) dusre maqamat mein hazar din baithne se afzal hai
Sunan Nisai – 3171-Sahih
**
Rasool-Allah Sal-Allahu Alahai Wasallam ne farmaya Jo Shaks Allah subhanahu ki raah mein (yani jihad mein ek din )roza rakhega to Allah Subhanahu Uske aur Aag ke darmiyan issi tarha Ek khandaq bana dega Jaise zameen aur asman ke darmiyan hain
Jam e Tirmazi Hadees # 1624-Sahih
***
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya zindagi ke chaar amal Maut ke baad bhi jari rehte hain woh shakhs jis ki Naik Aulaad hain aur woh is ke liye dua karti hain, unki duayen is tak pouncha di jati hain woh shakhs jis ne sadqa jariya kiya, iske liye is ke baqi rehne tak ajar chalta rahega. woh shakhs jis ne ilm shikhaya jis par is ke marne ke baad bhi Amal kiya jata raha, iske liye bhi itna he ajar hoga jitna ajar amal karne wale ke liye hain is ke ajar mein se kuch bhi kum nahi hoga, aur woh shakhs jo pehra dete huwe faut hogaya qayamat tak is ka ajar jari rahega
Al-Silsila-tus-Sahiha#3234-Sahih