Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday, 29 August 2021

Mahfhum mukammal kariye….wo kaunsa amal hain jiske karne wale shakhs ke liye Allah Subhanahu Khushi ke raste ko asaan kar deta hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 773❗

❗Jawab ek se ziyada hain

Sawal: Mahfhum mukammal kariye….wo kaunsa amal hain jiske karne wale shakhs ke liye Allah Subhanahu Khushi ke raste ko asaan kar deta hain

A: Logon ko maaf karna
B: La ilaha illAllah ka iqrar karna
C: Namaz mein Lamba Qiyam karna
D: Allah Subhanahu ke darr se ek aassu bahana
E: Logon ke liye assani karna
F: Allah ki raha mein karch karna
G: Allah Subhanahu ka khauf
H: Sahih Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - BFG✅

Hadith: wo amal jo khushi ki raah asaan kar deti hain

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Allah Subhanahu ka ye farman sunaya faramaya Jo shaks Allah Subhanahu ke raste mein kharch kare Allah Subhanahu se dare aur Kalma tawheed (yani Laa illaha illAllaha) ki tasdik kare to hum uske liye asani aur khushi ki raah asaan kar denge aur Jo shaks bukhl kare duniya ki shehwat (yani duniya ki khuwaish) mein padh kar Jannat ki naimaton se be parwayee karen aur Kalma e tawheed ko jhutlaye to hum uske liye sakhti aur badbakhti ki raah asan kar denge
------
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے اللہ تعالیٰ کا یہ فرمان سنایا: جو شخص اللہ کے راستے میں خرچ کرے، اللہ سے ڈرے، اور کلمہ توحید کی تصدیق کرے تو ہم اس کے لیے آسانی اور خوشی کی راہ آسان کر دیں گے، اور جو شخص بخل کرے، دنیوی شہوات میں پڑ کر جنت کی نعمتوں سے بے پروائی برتے اور کلمہ توحید کو جھٹلائے تو ہم اس کے لیے سختی اور بدبختی کی راہ آسان کر دیں گے ۱؎۔
------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam recited: “So he who gives (in charity) and fears (Allah), and in all sincerity testifies to the best, we will indeed make smooth for him the path to bliss. But he who is a greedy miser and thinks himself self-sufficient, and gives the lie to the best, We will indeed make smooth for him the path of misery. ” 
Sunan Abu Dawud-Hadees#4694-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...