Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday 24 June 2020

Tauheed ka elaan karne wali surah kaunsi hai



❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Tauheed ka elaan karne wali surah kaunsi hai

A: Surah Ikhlas
B: Surah An Nas
C: Surah Fatiha
D: Surah Kafiroon
E: Surah Al Mulk
F: Surah Nasr
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezaar

❗Note agar jawab G hai toh sahi jawab likhiye


******************

Sahih Jawab - D✅

Surah Al-Kafirun padha karo kuyke wo Tauheed ka Elan hain

Reference📚:
-------
Farwa bin Nofal apne waalid se riwayet karte hain ke unhon ne arz kiya, Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam! mujhe koi aisi cheez sikhayin ke jab mein bistar par letu to usay padh liya karoon? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Surah Al-Kafirun padh liya karo kyunke woh shirk se baraar (Aur Tauheed ka Elaan) hai
------
Bismillahirrahmanirrahim

قُلْ يَا أَيُّهَا الْكَافِرُونَ  لَا أَعْبُدُ مَا تَعْبُدُونَ وَلَا أَنتُمْ عَابِدُونَ مَا أَعْبُدُ وَلَا أَنَا عَابِدٌ مَّا عَبَدتُّمْ وَلَا أَنتُمْ عَابِدُونَ مَا أَعْبُدُ لَكُمْ دِينُكُمْ وَلِيَ دِينِ
--------
Kah do  Eh Kafiroh Jin (butoh) ki tum ibadat Karte ho unki mein ibadat Nahi karta ,Aur jis Allah ki main Ibadat karta hu uski tum ibadat Nahi Karte, Aur Jin ki tum ibadat Karte ho unki Main ibadat Karne wala Nahi Hu, Aur na tum uski bandagi Karne wale  ho jiski Mai bandagi karta Hu ,Tum apne Deen par mein Apne Deen par
------
Say O disbelievers, I worship not that which you worship, Nor will you worship that which I worship 
And I shall not worship that which you are worshiping, Nor will you worship that which I worship 
To you be your religion and to me my religion
Surah Kafirun (109)
-------
فروہ بن نوفل ؒ اپنے والد سے روایت کرتے ہیں کہ انہوں نے عرض کیا ، اللہ کے رسول ! مجھے کوئی ایسی چیز سکھائیں کہ جب میں بستر پر لیٹوں تو اسے پڑھ لیا کروں ؟ آپ صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا :’’ سورۃ الکافرون پڑھا کرو کیونکہ وہ شرک سے براءت (اور توحید کا اعلان) ہے ۔‘‘      ، رواہ الترمذی و ابوداؤد و الدارمی ۔ 
------
Sahih Hadees
Mishkat ul Masabeeh#2161

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...