Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday, 12 February 2020

Namaz mein Durud e Ibrahim ke baad padhne ki dua




Bismilahirrahmanirrahim


Namaz mein Durud e Ibrahim ke baad padhne ki dua
--------

اللَّهُمَّ إِنِّي ظَلَمْتُ نَفْسِي ظُلْمًا كَثِيرًا، وَلاَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلاَّ أَنْتَ،فَاغْفِرْ لِي مَغْفِرَةً مِنْ عِنْدِكَ، وَارْحَمْنِي، إِنَّكَ أَنْتَ الْغَفُورُ الرَّحِيمُ

Allahumma inni zalamtu nafsi zulman kasiran wala yagfiruz-zunuba illa anta, Fagfirli magfiratan min indika wa-arhamni, innaka Antal Gafur-ArRahim.

Eh Allah maine Apni jaan par bahut zulm kiya hai aur gunahaon ko tere siwa koi maaf nahi kar sakta, meri magfirt farma, aisee magfirat jo tere pass se ho aur mujh par raham kar beshak tu bada magfirt karne wala aur Raham karne wala hai
-------
Sahih Bukhari, Jild 7, 6326

Aur jo takleef tujhe puhanche is par sabr kar







Bismillahirrahmannirrahim

 وَاصْبِرْ عَلَىٰ مَا أَصَابَكَ
----
Aur jo takleef tujhe puhanche is par sabr kar
----
 اور جو تکلیف تجھے پہنچے اس پر صبر کر
----
और जो तकलीफ़ तुझे पुहँचे इस पर सब्र कर
----
And be patient upon the calamity that befalls you
-----
Surah Luqman: (31:17)

As Salamu Alekum and Walekum As Salam,






السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكَاتُهُ

Aap par Salamati ho aur Allah ki taraf se Rehmatein aur uski Barkatein aap par Nazil ho

kaunse shaks ke liye kaha jata hai ke yh kabayir ke darwaze per agaya hain?

❗Only-Quran-Hadih-Quiz❗

Sawal: kaunse shaks ke liye kaha jata hai ke yh kabayir ke darwaze per agaya hain?

A: chote gunaho ko haqeer samjhne wala
B: dusro ke waledain ko gali dene wala
C: apne bhai par lanat karne wala
D: Naumeed hone wala 
E: padosi ko takleef dena
F: musalman se ladna
G: Inmein se koi nahi 

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Note agar jawab G hai toh apna jawab likhiye!

************

Sahi Jawab - C✅

Reference📚:
--------
Salma bin Ukwah RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke unhone kaha ke jab hum kisi shakhs ko dekhte ke yeh apne bhai par laanat kar raha hai to hum is ke baray mein sochte ke yeh kabayir k darwaze per agaya hai
---------
سلمہ بن اکوع‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے انہوں نے کہا کہ: جب ہم کسی شخص کو دیکھتے کہ یہ اپنے بھائی  پرلعنت کر رہا ہے تو ہم اس کے بارے میں سوچتے کہ یہ کبائر کے دروازے پر آگیا ہے
---------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 148

100 baar SubhanAllah kehne ki fazilat




Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: 100 baar SubhanAllah kehne ki fazilat
------
Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya kya tum rozana 1000 hazaar neki karne se aajiz aa gaye ho? unhon ne kaha bhala kaun itni nekiyon ki taaqat rakhta hain? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: 100 baar SubhanAllah kahe diya karo, is ke liye 1000 hazaar nekiyan likh di jayengi aur 1000 hazaar buraiyan mita di jayengi
Musnad Ahmed#5459-Sahih
------

رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  کیا تم روزانہ ایک ہزار نیکی کرنے سے عاجز آ گئے ہو؟  انھوں نے کہا: بھلا کون اتنی نیکیوں کی طاقت رکھتا ہے؟ آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  سو (۱۰۰) بار سُبْحَانَ اللّٰہِ کہہ دیا کرے، اس کے لیے ایک ہزار نیکیاں لکھ دی جائیں گی اور ایک ہزار برائیاں مٹا دی جائیں گی۔ 
------
Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: The virtue of saying 100 times SubhanAllah
----
Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam said said: Are you unable to do a 1000 good deeds every day? He said: Who has the power to do so many good deeds? The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: He should say SubhanAllah 100times, for him a 1000 good deeds will be written down and a 1000 evils will be erased.
Musnad Ahmed#5459-Sahih


Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...