Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
Wednesday, 7 October 2020
La ilaha illAllah Muhammedur Rasool-Allah
Khalis Emaan ki nishani..
Jo is dua ko subah sham padhega to Allah subhanahu Qayamat ke din usko jarur khush farma denge
RabbiAllah
Alhamdulillahi Kathira kahne ka sawab
Aur Fuzool karchi se Maal na urrao
Museebat , pareshani aur aazmayeesh ke waqt padhne ki Dua
Allah kisi shakhs ko iss ki taqat se zyada takleef nahi deta
Umm Al Quran kisse kaha gaya hain
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Umm Al Quran kisse kaha gaya hain
A: Ayat Al Kursi
B: Surah Falaq
C: Surah Ikhlas
D: Surah Yaseen
E: Surah Hadid
F: Surah Baqara ki akhri do aayat
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
*********
Sahih Jawab - G (Surah Al-Fatiha)✅
Surah Al-Fatiha Umm al Quran aur Umm Al-Kitab hain
Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya « Alhumdullillahi Rabbil Aalameen» Umm al Quran aur umm Al-Kitab hai aur Sabah AlMatani hai.
-------
Abu Hurairah reported the Messenger of Allah (ﷺ) as saying: All praise be to Allah, the Lord of the Universe" (1) is the epitome or basis of the Qur'an, the epitome or basis of the Book, and the seven oft-repeated verses.
--------
ابوہریرہ رضی اللہ عنہ کہتے ہیں کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا : «الحمد لله رب العالمين» ام القرآن اور ام الکتاب ہے اور سبع مثانی ۱؎ ہے ۔
--------
Sunan Abi Dawud 1457-Sahih
Allah Subhanahu ko inmein se kis ki Namaz sabse ziyada mehboob hain
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Allah Subhanahu ko inmein se kis ki Namaz sabse ziyada mehboob hain
A: joh pabandi se Namaz padhte hai
B: Sahaba RadiAllahu Anhuma ki Namaz
C: Tahhajjud ki Namaz padne wale
D: Musa Alaihi Sallam ki Namaz
E: Chast ki Namaz aada karne wale
F: Dawud Alaihi Sallam ki Namaz
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
****
Sahi Jawab - F✅
Allah Subhanahu ko sabse ziyada Mehboob Dawud Alaihi Sallam ke roze aur unki Namaz hain
Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah Azzwajal ko sabse pyara roza Dawud Alaihi Salam ka roza hai. woh ek din roza rakhte thy aur ek din chodte thy. aur Allah Subhanahu taala ko sabse ziyada mehboob Namaz Dawud Alaihi Salam ki Namaz hai woh nisf raat sote thy, tihai raat Namaz padhte thy aur phir raat ka chhata hissa sote thy
----
It was narrated from 'Amr bin Aws that he heard Abdullah bin Amr bin Al-'As say:
The Messenger of Allah (ﷺ) said: 'The most beloved of fasting to Allah is the fasting of Dawud, peace be upon him. He used to fast one day and not the next. And the most beloved of prayer to Allah (SWT) is the prayer of Dawud. He used to sleep half the night, spend one-third of the night in prayer and sleep for one-sixth of it.'
----
حضرت عبداللہ بن عمرو بن عاص رضی اللہ عنہما سے مروی ہے ، رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا :’’ اللہ عزوجل کو سب سے پیارہ روزہ داود علیہ السلام کا روزہ ہے ۔ وہ ایک دن روزہ رکھتے تھے اور ایک دن چھوڑتے تھے ۔ اور اللہ تعالیٰ کو سب سے زیادہ محبوب نماز داود علیہ السلام کی نماز ہے ۔ وہ نصف رات سوتے تھے ، تہائی رات نماز پڑھتے تھے اور پھر رات کا چھٹا حصہ سوتے تھے ۔‘‘
----
Sunnan e Nisai#1631-Sahih
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne kis ke liye farmya ke yh har musalmaan par haq hain
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne kis ke liye farmya ke yh har musalmaan par haq hain
A: Nikah karna
B: Walime ki dawat qubul karna
C: Witr ki namaz adda karna
D: Hajj aur Umrah karna
E: Apni Aulad ka aqeeqa karna
F:Dadhi rakhna
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
********
Sahih Jawab - C✅
Witr ki Namaz adda karna har Musalmaan ka haq hain
Reference📚:
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Witr har musalman par haq hai jo paanch padna chahe paanch padhe jo teen padhna chahe teen padhe aur jo Ek padhna chahe Ek padhe
------
Narrated AbuAyyub al-Ansari: The Prophet (ﷺ) said: The witr is a duty for every Muslim so if anyone wishes to observe it with five rak'ahs, he may do so; if anyone wishes to observe it with three, he may do so, and if anyone wishes to observe it with one, he may do so.
--------
ابوایوب انصاری رضی اللہ عنہ کہتے ہیں کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا : ” وتر ہر مسلمان پر حق ہے جو پانچ پڑھنا چاہے پانچ پڑھے ، جو تین پڑھنا چاہے تین پڑھے اور جو ایک پڑھنا چاہے ایک پڑھے “ ۔
------------
Sunan Abi Dawud 1422-Sahih
Ek aisi neiyamat hai joh RABB kisi se lele aur wo usper sabar kare toh Allah Subhanahu usko ajar aur sawab mein Jannat denge
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Ek aisi neiyamat hai joh RABB kisi se lele aur wo usper sabar kare toh Allah Subhanahu usko ajar aur sawab mein Jannat denge
A: Sehat
B: Aulad ka faut hona
C: Rizaq ka tang hojana
D: Kanta chubna
E: Ankho ki binayee ka chale jana
F: Ranj o Gham
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
********
Sahi Jawab - E✅
Ankho ki binayee chale jane per sawab ki niyat se sabr karne wale ke liye Jannat
Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya tumahre RABB taala ne farmaya jab mein kisi ki do aankhon ki binayee salab kar leta hu aur woh sawab ki niyat se sabr karta hai to is ka ajar sawab Jannat hoga
-----
۔ سیدنا انس رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: تمہارے ربّ تعالیٰ نے فرمایا: جب میں کسی کی دو آنکھوں کی بینائی سلب کر لیتا ہوں اور وہ ثواب کی نیت سے صبر کرتا ہے تو اس کا اجرو ثواب جنت ہو گا۔
-----
Musnad Ahmed#9382-Sahih
Mujhse Dua karo mein tumhari dua qubool karoonga yh quran ki kaunse Surah mein hai aur ayat no kya hain
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Mujhse Dua karo mein tumhari dua qubool karoonga yh quran ki kaunse Surah mein hai aur ayat no kya hain
A: Surah Al Baqrah
B: Surah Az-Zumar
C: Surah Fatir
D: Surah Ghafir
E: Surah Hadid
F: Surah Aal e imran
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi jawab ka intezar hai
********
Sahi Jawab - D✅
Dua Ibadat hain isliye RABB ke khoob duaien maaga karo
Reference📚:
------
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Dua Ibadat hain, tumhara RABB farmata hain
قَالَ رَبُّكُمُ ادْعُونِي أَسْتَجِبْ لَكُمْ
mujhse Dua karo, Mein tumhari Dua qubool karoonga“ (Surah Ghafir: 60)
-----
Narrated An-Nu'man ibn Bashir: The Prophet (ﷺ) said: Supplication (du'a') is itself the worship.
(He then recited:) "And your Lord said: Call on Me, I will answer you" (xI.60).
------
نعمان بن بشیر رضی اللہ عنہما کہتے ہیں کہ نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا : ” دعا عبادت ہے ۱؎ ، تمہارا رب فرماتا ہے : مجھ سے دعا کرو ، میں تمہاری دعا قبول کروں گا “ ( سورۃ غافر : ۶۰ ) ۔
-------
Sunan Abi Dawud 1479 / Surah Ghafir: (40:60)
Wo kya cheez thi jisko karne ki jagah shaba Radi Allahu Anhuma ko jalkar rakh ho jana behtar lagta tha
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Wo kya cheez thi jisko karne ki jagah shaba Radi Allahu Anhuma ko jalkar rakh ho jana behtar lagta tha
A: Sood lena
B: kisi musalman ka mazak udana
C: Waldein ki nafarmani karna
D: Kisi gair Mahram ke saath tanhayee mein baithna
E: Kisi maangne wale ko khali lautana
F: Kisi ka maal najayaz le lena
G: Maidan e jung se bhag jana
H: Inmein se koi nahi
I: Sahi Jawab ka intezaar
*********
Sahih Jawab -H✅ (Dil mein waswasa paida hona)
Allah Subhanahu ne Shaitan ke Makr ko waswasa bana diya jo Momeen ko nuqsaan nahi pahuchata hai
Reference📚:
------
Ek shakhs Rasool- Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke paas aaya, aur is ne arz kiya Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam! hum mein se kisi ke dil mein aisa waswasa paida hota hai, ke is ko bayan karne se raakh ho jana ya jal kar koyla ho jana behtar maloom hota hai Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah Akbar, Allah Akbar, shukar hai is Allah Subhanahu ka jis ne shaitan ke makr ko waswasa bana diya (aur waswasa Momeen ko nuqsaan nahi pohanchata)
----
Narrated Abdullah ibn Abbas: A man came to the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam and said: Messenger of Allah! one of us has thoughts of such nature that he would rather be reduced to charcoal than speak about them. He said: Allah is Most Great, Allah is Most Great, Allah is Most Great. Praise be to Allah Who has reduced the guile of the devil to evil prompting. Ibn Qudamah said reduced his matter instead of reduced his guile . Ibn Qudamah said reduced his matter instead of reduced his guile .
-----
ایک شخص رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس آیا، اور اس نے عرض کیا: اللہ کے رسول! ہم میں سے کسی کے دل میں ایسا وسوسہ پیدا ہوتا ہے، کہ اس کو بیان کرنے سے راکھ ہو جانا یا جل کر کوئلہ ہو جانا بہتر معلوم ہوتا ہے، آپ نے فرمایا: اللہ اکبر، اللہ اکبر، شکر ہے اس اللہ کا جس نے شیطان کے مکر کو وسوسہ بنا دیا ( اور وسوسہ مومن کو نقصان نہیں پہنچاتا ) ۔ ابن قدامہ نے اپنی روایت میں «رد كيده» کی جگہ «رد أمره» کہا ہے۔
-----
Sunnan e Abu Dawood#5112-Sahih
wo kaun log honge jinhe yun pukara jayega ke Jannat ka yeh darwaza behtar hai idhar aajao
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: wo kaun log honge jinhe yun pukara jayega ke Jannat ka yeh darwaza behtar hai idhar aajao
A: Allah ki raah mein hijrat karne wale
B: Allah ke raah mein karch karne wale
C: Allah ki raah mein pehra dene wale
D: Sadqa khairat karne wale
E: Sila Rehmi karne wale
F: Maaf karne wale
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
*********
Sahi Jawab - G✅ (Allah ki raah mein kisi cheez ko jodhe se karch karne wale)
Jo log Allah ke raah mein kisi cheez ko jodhe se karch karte hain unhe Jannat ke har darwaze se pukara jayega
Reference📚:
-----
Syedna Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo aadmi kisi cheez ka jodha Allah Subhanahu taala ki raah mein kharch karega, usse Jannat ke darbaan yun aawaz denge Eh Musalman! yeh darwaaza behtar hai, idhar aajao
-----
Abu Huraira that the Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) said: Whoever spends a pair of things in the way of Allah, the gatekeepers of Paradise will call him: O Muslims! This door is better, come here.
-----
۔ سیدنا ابوہریرہ رضی اللہ عنہ سے یہ بھی روایت ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: جو آدمی کسی چیز کا جوڑا اللہ تعالیٰ کی راہ میں خرچ کرے گا، اسے جنت کے دربان یوں آواز دیں گے: اے مسلمان! یہ دروازہ بہتر ہے، ادھر آ جاؤ۔
------
Musnad Ahmed#3600-Sahih
Kaunse amal ke liye farmaya gaya ke wo kehna per bhi insaan ko sadqa dena chahaiye
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Kaunse amal ke liye farmaya gaya ke wo kehna per bhi insaan ko sadqa dena chahaiye
A: kisi ko baddua dene per
B: kisi ko gali galoj karne per
C: Jhooth bolne per
D: Burai karne per
E: Tane dene per
F: Zulm karne per
G: inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
**********
Sahi Jawab - G✅
Jo shakhs apne saathi se ye kahe ki aao Juaa khele to usko sadqa dena chahiye
Reference📚:
----
Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se riwayat hai ki Rasool-Allah SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jo Shakhs apne saathi se ye kahe ki aao Juaa khele to usko sadqa dena chahiye
Sahih Bukhari, Vol 6, 4860
-----
Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam said
whoever says to his companion. Come along, let us gamble must give alms (as an expiation).
-----
Sahih Bukhari, Vol. 6, Book 60, Hadith 383
------
❗Tashreeh : Yani sirf juaa khelne ke liye bulane par itna gunah hai ki usko sadqa dena padhega to phir juaa khelne walo ka gunah kitna bada hoga
Rishtedaaro par sadqa karne se do (2) sawab hasil hote hain, Ek sadqe ka aur dusra Sila rehmi ka
As Salamu Alekum and Walekum As Salam,
Kasrat se La hawla wa la Quwwata illa billah padhne ki fazilat
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam kasrat se yh dua padha karte
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Inmein se kaunse amal ke bare mein farmaya gaya hain ke ye Momeen ka behtareen amal hain A: Namaz B: Sila R...
-
Bismillahirrahmanirrahim Jannat kahti hai ki YA ALLAH isko jannat mein dakhil farma ----------------- Rasool-Al...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Namaz Mein khade hone se pehle padne ke azkar aur uska ajar ----- Umm Raafia RadiAllahu Anhu se riwayat ha...
-
Bismillahirrhamanirrahim Aasan hisab ki dua ----- اَللّٰهُمَّ حَاسِبْنِىْ حِسَا بًا يَّسِيْرًا Allahumma Haasibni Hisaban Yasira --------- ...