Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday 7 October 2020

Wo kya cheez thi jisko karne ki jagah shaba Radi Allahu Anhuma ko jalkar rakh ho jana behtar lagta tha

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Wo kya cheez thi jisko karne ki jagah  shaba Radi Allahu Anhuma ko jalkar rakh ho jana behtar  lagta tha


A: Sood lena

B: kisi musalman ka mazak udana 

C: Waldein ki nafarmani karna

D: Kisi gair Mahram ke saath tanhayee mein baithna

E: Kisi maangne wale ko khali lautana

F: Kisi ka maal najayaz le lena

G: Maidan e jung se bhag jana

H: Inmein se koi nahi


I: Sahi Jawab ka intezaar

*********

Sahih Jawab -H✅ (Dil mein waswasa paida hona)


Allah Subhanahu ne Shaitan ke Makr ko waswasa bana diya jo Momeen ko nuqsaan nahi pahuchata hai


Reference📚:

------

Ek shakhs Rasool- Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke paas aaya, aur is ne arz kiya Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam! hum mein se kisi ke dil mein aisa waswasa paida hota hai, ke is ko bayan karne se raakh ho jana ya jal kar koyla ho jana behtar maloom hota hai Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah Akbar, Allah Akbar, shukar hai is Allah Subhanahu ka jis ne shaitan ke makr ko waswasa bana diya (aur waswasa Momeen ko nuqsaan nahi pohanchata)

----

Narrated Abdullah ibn Abbas: A man came to the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam and said: Messenger of Allah! one of us has thoughts of such nature that he would rather be reduced to charcoal than speak about them. He said: Allah is Most Great, Allah is Most Great, Allah is Most Great. Praise be to Allah Who has reduced the guile of the devil to evil prompting. Ibn Qudamah said  reduced his matter  instead of  reduced his guile . Ibn Qudamah said  reduced his matter  instead of  reduced his guile . 

-----

ایک شخص رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس آیا، اور اس نے عرض کیا: اللہ کے رسول! ہم میں سے کسی کے دل میں ایسا وسوسہ پیدا ہوتا ہے، کہ اس کو بیان کرنے سے راکھ ہو جانا یا جل کر کوئلہ ہو جانا بہتر معلوم ہوتا ہے، آپ نے فرمایا: اللہ اکبر، اللہ اکبر، شکر ہے اس اللہ کا جس نے شیطان کے مکر کو وسوسہ بنا دیا  ( اور وسوسہ مومن کو نقصان نہیں پہنچاتا )  ۔ ابن قدامہ نے اپنی روایت میں «رد كيده» کی جگہ «رد أمره» کہا ہے۔ 

-----

Sunnan e Abu Dawood#5112-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...