Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday 7 October 2020

Kaunse amal ke liye farmaya gaya ke wo kehna per bhi insaan ko sadqa dena chahaiye

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Kaunse amal ke liye farmaya gaya ke wo kehna per bhi insaan ko sadqa dena chahaiye


A: kisi ko baddua dene per

B: kisi ko gali galoj karne per

C: Jhooth bolne per

D: Burai karne per

E: Tane dene per

F: Zulm karne per

G: inmein se koi nahi


H: Sahi Jawab ka intezaar

**********

Sahi Jawab - G✅


Jo shakhs apne saathi se ye kahe ki aao Juaa khele to usko sadqa dena chahiye


Reference📚:

----

Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se riwayat hai ki Rasool-Allah SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jo Shakhs apne saathi se ye kahe ki aao Juaa khele to usko sadqa dena chahiye


Sahih Bukhari, Vol 6, 4860

-----

Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said

whoever says to his companion. Come along, let us gamble must give alms (as an expiation).

-----

Sahih Bukhari, Vol. 6, Book 60, Hadith 383

------

❗Tashreeh : Yani sirf juaa khelne ke liye bulane  par itna gunah hai ki usko sadqa dena padhega to phir juaa khelne walo ka gunah kitna bada hoga

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...