Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday 7 October 2020

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam kasrat se yh dua padha karte



Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam kasrat se yh dua padha karte
------
Syedna Anas bin Malik RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam kasrat se yeh dua kiya karte they 

یَا مُقَلِّبَ الْقُلُوْبِ! ثَبِّتْ قَلْبِیْ عَلٰی دِیْنِکَ
(Eh dilon ko ulat pulat kar dene walay! Mere dil ko apne deen par jamaye rakhna)

Aap Sallallahu Alaihi wasallam ke sahaba aur ahal o Ayal ne kaha : Eh Allah ke Rasool! kya aap ko hamaray bare mein koi darr hai, jabkay hum Aap par aur Aap ki layi ho Shariat par Emaan laaye hain? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : beshak tamam dil Allah Subhanahu taala ke haath mein hai wo inko alat palat kar deta hai
-----
 ۔ سیدنا انس بن مالک ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم کثرت سے یہ دعا کیا کرتے تھے: … یَا مُقَلِّبَ الْقُلُوْبِ! ثَبِّتْ قَلْبِیْ عَلٰی دِیْنِکَ۔(اے دلوں کو الٹ پلٹ کر دینے والے! میرے دل کو اپنے دین پر جمائے رکھنا)۔ آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم کے صحابہ اور اہل و عیال نے کہا: اے اللہ کے رسول! کیا آپ کو ہمارے بارے میں کوئی ڈر ہے، جبکہ ہم آپ پر اور آپ کی لائی ہو شریعت پر ایمان لائے ہیں؟آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: بیشک تمام دل اللہ تعالیٰ کے ہاتھ میں ہیں، وہ ان کو الٹ پلٹ کر دیتا ہے۔ 
------
Musnad Ahmed#8939-Sahih


 

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...