Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 1 December 2020

Dozak ki Aag kin logo per haram hojayegi

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zyada hain

Sawal :Dozak ki Aag kin logo per haram hojayegi

A: burai se roke wale
B: Zohar se phele aur baad mein 4 rakato ki hifazat karne wale
C: Neki ka hukum dene wale
D: Masjid chal kar jane wale
E: kasrat se Allah subhanahu ka zikr karne wale
F: logo ke liye asaani karne wale
G: Naram Akhlaq 
H: logo ke kareeb rehne wale
I: Sahi Jawab ka intezaar
----------
Sahi Jawab -BFGH✅

Aise amal karne wale per Jahannum ki aag haram hojati hain

Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : jo shakhs Zohar se pehle ki chaar rakaato aur baad ki chaar rakaato ki pabandi karega, is par jahannum ki aag haraam hojaye gi 
----
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  جو شخص ظہر سے پہلے کی چار رکعتوں اور بعد کی چار رکعتوں کی پابندی کرے گا، اس پر جہنم کی آگ حرام ہو جائے گی
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: If anyone keeps on praying regularly four rak'ahs before and four after the noon prayer, he will not enter the Hell-fire.
----
Sunan Abi Dawud 1269-Sahih
---------------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya kya mein tumhein aise logo ki khabar na du jo Jahannum ke aag per ya Jahannum ki aag in per haram hain? Jahannum ki aag logo ke kareeb rehne wale, assani karne wale aur naram Akhlaq wale per haram hain
----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”کیا میں تمہیں ایسے لوگوں کی خبر نہ دوں جو جہنم کی آگ پر یا جہنم کی آگ ان پر حرام ہے؟ جہنم کی آگ لوگوں کے قریب رہنے والے، آسانی کرنے والے، اور نرم اخلاق والے پر حرام ہے
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: Shall I not inform you of whom the Fire is unlawful and he is unlawful for the Fire? Every person who is near(to people), amicable, and easy(to deal with).' 
----
Sunan Tirmizi, 2488-Sahih

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...