Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Thursday 12 August 2021

Munafiqeen ko baarah mahino mein se kitni baar imtehaan mein dala jata hai ?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 772❗

Sawal : Munafiqeen ko baarah mahino mein se kitni baar imtehaan mein dala jata  hai ?

A : Do ya teen baar
B : Paanch baar
C : Jitni baar Allah ki nafarmani karta hai utne baar
D : Jitne baar zulm karte hai utne baar
E : Ek ya do baar
F : Har pal imtehaan me rahta
G : In mein se koi nahi to apna jawab likhein
H : Sahi jawab ka intezaar
******
Sahi Jawab : E ✅

Munafiqeen har Saal Ek ya Do baar aazmaye jate hai

Reference  :📚
-----------
اَوَ لَا  یَرَوۡنَ اَنَّہُمۡ یُفۡتَنُوۡنَ فِیۡ  کُلِّ عَامٍ مَّرَّۃً  اَوۡ مَرَّتَیۡنِ ثُمَّ لَا یَتُوۡبُوۡنَ وَ لَا ہُمۡ یَذَّکَّرُوۡنَ ﴿۱۲۶﴾
Kya wo Nahi dekhte ke wo har Saal ek ya do martaba  imtehaan mein dale jate hai ? Magar is par bhi na to wo taubah karte hai, na koi sabaq seekhte hai aur na koi naseehat hi qubool karte hai
---------
کیا وہ نہیں دیکھتے کہ وہ ہر سال ایک یا دو مرتبہ امتحان میں ڈالے جاتے ہیں؟ مگر اِس پر بھی نہ تو وہ توبہ کرتے ہیں   ،  نہ کوئی سبق سیکھتے ہیں اور نہ کوئی نصیحت ہی قبول کرتے ہیں ۔
--------
Do they not see that they are tried every year once or twice but then they do not repent nor do they remember? 
---------
Surah Taubah: (9:126)

Mafhoom mukammal kare Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam kis ke liye khalis Dil se dua karne ke liye farmaya hai ?

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz 771❗

Sawal : Mafhoom mukammal kare Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam kis ke liye khalis Dil se dua karne ke liye farmaya hai ?

A : Apni Aulaad ke liye
B : Yateem aur Bewa ke liye
C : Ummat ke liye
D : Walidain ke  liye
E : Khud apne liye
F : Betiyon ke liye
G : In mein se koi nahi 
H : Sahi jawab ka Intezaar
*****
Sahi Jawab  G ✅

Hadith: Jab tum Mayyat ke liye dua karo to khulus Dil se dua karo

Reference : 📚
---------
Rasool Allah Sallallahu Alahi Wasallam ne farmaya jab tum mayyat ki namaz e janaza padho to uske liye khulus Dil se dua karo
-----------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو فرماتے سنا: جب تم میت کی نماز جنازہ پڑھو، تو اس کے لیے خلوص دل سے دعا کرو ۔ 
---
It was narrated that Abu Hurairah said: “I heard the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam say: ‘When you offer the prayer for the deceased, supplicate sincerely for him.’”
----
Sunan ibn Maja #1497-Sahih

Qarz ke mutalliq inmein se kaun kaun si baate durust hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 770❗

❗Jawab ek se zayda hain

Sawal: Qarz ke mutalliq inmein se kaun kaun si baate durust hain

A: jo qarz lene aur dene mein aasani karega usse Allah Jannat mein dhakhil karenge
B: qarze ka sawab 17 gunah hain
C: jo qardaar ko mohalat de ya uska qarz maaf kare usse qayamat ki din Arsh ke saye mein jagah milegi
D: qarz ki ibteda gum hoti hain
E: qardaar ko mohalat dene wale ko har roz ke badle sadqe ka sawab hasil hota hain 
F: Momeen ki rooh uske qarz ke saath juddi rehti hain jab tak koi uska qarz ka utaar de
G: Qarz lene wale ka akhiri anjaam ladaye hoti hain
H: Sahi Jawab ka intezaar
****
Sahi Jawab - ACDEFG✅

Hadith: Qarz ke liye mohalat ya narmi karne walo ko ajar aur sawab

Reference📚:
-----
Hadith 1: Umar Radi Allahu Anhu se riwayat hai tum Qarz se bach kar raho kyu ke uski ibteda gam hai aur akhir (anjam)  ladayee hai 
Muwatta Malik (2/770).
----
Hadith 2: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Allah Subhanahu  is shakhs ko jannat mein daakhil karega jo khareed ne aur baichne mein ya Qarz lene aur wapas karne mein aasaan (naram khoo) tha .
Al-Silsila-tus-Sahiha#1200
----
Hadith 3: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Ek aadmi Jannat mein daakhil huwa to jannat ke darwazay par likha huwa tha, sadqe ka sawab 10 guna aur Qarze ka sawab 18 guna hain
Al-Silsila-tus-Sahiha#1481
-----
Hadith 4: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya tangdast ko mohlat de to usko har din ke badlay sadqe ka ajar milega aur jo adayeegi ki miyad ke baad bhi mohlat de to usko har roz qarze ke baqadar sadqe ka ajar mile ga
Sunan Ibn Maja-2418
-------
Hadith 5: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: ”jo shakhs kisi tangdast (Qarzdaar) ko mohlat de ya is ka kuch Qarz maaf kar de, to Allah usse Qayamat ke din apne Arsh ke saye ke neechay jagah dega jis din is ke saye ke ilawa koi aur saya nah hoga“ .
Jam e Tirmazi#1306-Sahih
-----
Hadith 6: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: aadmi ki jaan is ke Qarz ke sath lataki rehti hai yahan tak ke is ki taraf se adaigi kar di jaye
Sunnan e Ibn e Maja#2413-Sahih

Ek martaba ek umm ul momineen kuch kaam kar rahi thi usper ek shakhs ne farmaya agar ye kisi ko kabar hogi to wo apko kanjus samjhege…

 ❗Only-QUran-Hadith-Quiz 769❗

Ek martaba ek umm ul momineen kuch kaam kar rahi thi usper ek shakhs ne farmaya agar ye kisi ko kabar hogi to wo apko kanjus samjhege…

Sawal: Wo kaunsa amal kar rahi thi

A: bosida takiye ka gilaaf see rahi thi
B: bosida parda see rahi thi
C: purana parda darwaze par latka rahi thi 
D: toote huwe bartan istemaal kar rahi thi
E: purana paijama see rahi thi
F: Sehad mein ghee girne par bhi istemaal kar rahi thi
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
*****
Sahi Jawab - E✅

Hadith: jo purana kapda na pehne is ka naye kapade mein koi haq nahi

Reference📚:
----
Hazrat Kaseer bin Abaid Rehma Allah kehte hain ke mein Umm Al-Momineen Sayeda Aisha RadiAllahu Anha ki khidmat mein haazir huwa to unhon ne farmaya : zara thehro mein apna paijamay see lu. Hazrat Kaseer Rehma Allah kehte hain : mein thehar gaya aur kaha : Umm Al-Momineen! agar mein bahar ja kar batau ke aap purana kapda (paijaama) see rahi hain to log usse aap ki kanjoosi mein shumaar karenge unhon ne farmaya samajh kar baat karo, baat ye hain ke jo purana kapda na pehne is ka naye kapade mein koi haq nahi
---
الادب المفرد --- كتاب الرفق --- زندگی گزارنے میں سادگی اختیار کرنا [الادب المفرد]
حدیث نمبر: 471 --- حکم البانی: حسن...
 ----
حضرت کثیر بن عبید رحمہ اللہ کہتے ہیں کہ میں ام المؤمنین سیدہ عائشہ ؓ کی خدمت میں حاضر ہوا تو انہوں نے فرمایا : ذرا ٹھہرو میں اپنا پائجامہ سی لوں ۔ حضرت کثیر رحمہ اللہ کہتے ہیں : میں ٹھہر گیا اور کہا : ام المؤمنین ! اگر میں باہر جا کر بتاؤں کہ آپ پرانا کپڑا سی رہی ہیں تو لوگ اسے آپ کی کنجوسی میں شمار کریں گے ۔ انہوں نے فرمایا : سمجھ کر بات کرو ، بات یہ ہے کہ جو پرانا کپڑا نہ پہنے اس کا نئے کپڑے میں کوئی حق نہیں
----
Al-Adab Al-Mufrad (Imam Al-bani) 471-hasan

Wo kya hai jisse Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ka Deen kaha gaya hain isliye ye dehk lo ke tum apna deen kisse hasil karte ho

 ❗Only-Quran-Hadtih-Quiz 768❗

Sawal: Wo kya hai jisse Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ka Deen kaha gaya hain isliye ye dehk lo ke tum apna deen kisse hasil karte ho

A: Alim
B: Dua
C: Hadees
D: Taqdeer
E: Ahle Bait
F: Sahaba RadiAllahu Anhuma
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
******
Sahih Jawab - C✅

Hadith: Hadees Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ka deen hain....isliye

Reference📚:
----
Imam Mohammad bin Sirin Rehma Allah farmate hain : Hadees Nabi Akram SallallAllahu Alaihi wasallam ka deen hain to dekha karo ke tum ye deen kis se hasil karte ho
----
. شمائل ترمذی --- رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو خواب میں دیکھنے کا بیان --- حدیث نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم کا دین ہے [شمائل ترمذی]
حدیث نمبر: 417 --- حکم زبیر علی زئی: سنده صحيح... امام محمد بن سیرین رحمہ اللہ فرماتے ہیں : حدیث نبی اکرم ﷺ کا دین ہے ۔ تو دیکھا کرو کہ تم یہ دین کس سے حاصل کرتے ہو ؟
----
Imam Muhammad ibn Sirin (may Allah have mercy on him) says: Hadith is the religion of the Holy Prophet. So see from whom you get this religion
----
Shamail Tirmizi Hadees#417-Sahih

Akhirat ke din wo koun log honge jinki ye tamanna hogi ke unki ek aazaa ko kisi auzaar se kaati jaye?

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz 767❗

Do Sawal Hai

Sawal 1 : Akhirat ke din wo koun log honge jinki ye tamanna hogi ke unki ek aazaa ko kisi auzaar se kaati jaye?

A : Badkari karke taubah nahi karne wale
B : Jhoot bolkar maal hadapna wale
C : Gairullah ke naam se zibah kiya huwa janwar khane wale
D : Yateem ka maal hadapna wale
E : Janwar se badkari karne wale
E : Haraam ki huwi cheezon ko halaal samajhne wale
F : Mazakh mein jhoot bolne wale
G : Ansar se bughz rakhne wale
H : Taqdeer ko jhutlane wale
I : Jadu par yaqeen karne wale
 J : In mein se koi nahi to apna jawab likhein

Sawal 2 : Wo log kis aazaa ko kaatne ki tamanna karenge ?

A : Zabaan
B : Jabde
C : Muh
D : Haath
E :  Pair
F : Chamde
G : pair ki ungliyan
H : Kaan
I : Haath ki ungliyan
J : In mein se koi nahi to apna jawab likhein
K : Sahi jawab ka Intezaar
****
Sahi Jawab -  1) J.Aafiyat wale / 2) F✅

Hadith: Afiyat wale jab Qayamant ke din azmaish walo ka sawab dhekenge to....

Reference : 📚
----
Jabir Bin Abdullah Radi Allahu Anhu se riwayat hai ke Aafiyat wale qayamat ke din jab wo Azmaish walo ka sawab dekhenge to ye khwaish karenge ke unki khaal kainchiyon se kaat di jati
-------------
جابر بن عبداللہ   رضی اللہ عنہما سے مرفوعا مروی ہے كہ: عافیت والے قیامت كے دن جب وہ آزمائش والوں كا ثواب دیكھیں گے تویہ خواہش كریں گے كہ ان كی كھال قینچیوں سے كاٹ  دی جاتی۔
-------------
It is narrated on the authority from Jabir ibn 'Abdullah Radi Allahu Anhu  that on the Day of Resurrection, those who are in Afiya will see the reward of those who are being tested, and they will wish that their skin would be cut with scissors.
-------
Al-Silsila-tus-Sahiha#3300-Sahih

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...