Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Thursday 12 August 2021

Qarz ke mutalliq inmein se kaun kaun si baate durust hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 770❗

❗Jawab ek se zayda hain

Sawal: Qarz ke mutalliq inmein se kaun kaun si baate durust hain

A: jo qarz lene aur dene mein aasani karega usse Allah Jannat mein dhakhil karenge
B: qarze ka sawab 17 gunah hain
C: jo qardaar ko mohalat de ya uska qarz maaf kare usse qayamat ki din Arsh ke saye mein jagah milegi
D: qarz ki ibteda gum hoti hain
E: qardaar ko mohalat dene wale ko har roz ke badle sadqe ka sawab hasil hota hain 
F: Momeen ki rooh uske qarz ke saath juddi rehti hain jab tak koi uska qarz ka utaar de
G: Qarz lene wale ka akhiri anjaam ladaye hoti hain
H: Sahi Jawab ka intezaar
****
Sahi Jawab - ACDEFG✅

Hadith: Qarz ke liye mohalat ya narmi karne walo ko ajar aur sawab

Reference📚:
-----
Hadith 1: Umar Radi Allahu Anhu se riwayat hai tum Qarz se bach kar raho kyu ke uski ibteda gam hai aur akhir (anjam)  ladayee hai 
Muwatta Malik (2/770).
----
Hadith 2: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Allah Subhanahu  is shakhs ko jannat mein daakhil karega jo khareed ne aur baichne mein ya Qarz lene aur wapas karne mein aasaan (naram khoo) tha .
Al-Silsila-tus-Sahiha#1200
----
Hadith 3: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Ek aadmi Jannat mein daakhil huwa to jannat ke darwazay par likha huwa tha, sadqe ka sawab 10 guna aur Qarze ka sawab 18 guna hain
Al-Silsila-tus-Sahiha#1481
-----
Hadith 4: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya tangdast ko mohlat de to usko har din ke badlay sadqe ka ajar milega aur jo adayeegi ki miyad ke baad bhi mohlat de to usko har roz qarze ke baqadar sadqe ka ajar mile ga
Sunan Ibn Maja-2418
-------
Hadith 5: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: ”jo shakhs kisi tangdast (Qarzdaar) ko mohlat de ya is ka kuch Qarz maaf kar de, to Allah usse Qayamat ke din apne Arsh ke saye ke neechay jagah dega jis din is ke saye ke ilawa koi aur saya nah hoga“ .
Jam e Tirmazi#1306-Sahih
-----
Hadith 6: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: aadmi ki jaan is ke Qarz ke sath lataki rehti hai yahan tak ke is ki taraf se adaigi kar di jaye
Sunnan e Ibn e Maja#2413-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...