Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 9 November 2021

Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam kahi se safar kar rahe thy raste mein ankh khul gayi aur neend chali gayi to Aap Sallallahu Alaihi wasallam farmane lage ke kash mere sahaba mein se koi meri raat bhar hifazat karta

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 829❗

Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam kahi se safar kar rahe thy raste mein ankh khul gayi aur neend chali gayi to Aap Sallallahu Alaihi wasallam farmane lage ke kash mere sahaba mein se koi meri raat bhar hifazat karta

Sawal : Wo Sahabi kaun they jo hifazat ke liye tayyar huyee they

A: Salamah Bin Akwah Radi Allahu Anhu
B: Lais Bin Saad Radi Allahu Anhu
C: Saad Bin Abi Waqas Radi Allahu Anhu
D: Maaz Bin Jabal Radi Allahu Anhu
E: Saeed Bin khudri Radi Allahu Anhu
F: Abdullah Bin Masood Radi Allahu Anhu
G: In mein se koi nahi (apna jawab likhe)
H: Sahi jawab ka intezaar
*****
Sahi jawab C ✅

Hadith: Saad bin Abi Waqas ka Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki hifazat ke liye pehera dene ka bayan...

Reference : 📚
----------
Hazrat Aisha Radi Allahu Anha ne farmaya : ke ek raat Madine ke rastay mein Rasool-Allah Sallallahu Alahi Wasallam ki aankh khul gayi aur neend uchat ho gayi, to Aap Sallallahu Alahi Wasallam ne farmaya ke kash mere Ashaab mein se koi naik bakhat raat bhar meri hifazat kare. Umm Ul-Momineen Aisha Siddiqa Radi Allahu Anha kehti hain ke itnay mein hamein hathyaaron ki aawaz maloom huyee to Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke kaun hain? Aawaz aayi ke ya Rasool-Allah Sallallahu Allaihi wasallam ! Saad Bin Abi Waqas RadiAllahu Anhu hun. Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke tum kyun aaye? wo bolay ke mujhe Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam apne nafs mein dar huwa to mein Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki hifazat karne ko aaya hun. pas Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne un ke liye dua ki aur phir so rahay. 
------
 حضرت عائشہ رضی اللہ عنہا نے فرمایا : کہ ایک رات مدینہ کے راستے میں رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کی آنکھ کھل گئی اور نیند اچاٹ ہو گئی ، تو آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ کاش میرے اصحاب میں سے کوئی نیک بخت رات بھر میری حفاظت کرے ۔ ام المؤمنین عائشہ صدیقہ رضی اللہ عنہا کہتی ہیں کہ اتنے میں ہمیں ہتھیاروں کی آواز معلوم ہوئی تو رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ کون ہے ؟ آواز آئی کہ یا رسول اللہ ! سعد بن ابی وقاص ہوں ۔ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ تم کیوں آئے ؟ وہ بولے کہ مجھے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم پر اپنے نفس میں ڈر ہوا تو میں آپ صلی اللہ علیہ وسلم کی حفاظت کرنے کو آیا ہوں ۔ پس رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے ان کے لئے دعا کی اور پھر سو رہے ۔ ابن رمح کی روایت میں یہ الفاظ ہیں :’’ ہم نے کہا : یہ کون ہے 
---------
A'isha reported that Allah's Messenger (may peace he upon him) laid down on bed during one night on his arrival at Medina and said:
Were there a pious person from amongst my Companions who should keep a watch for me durin. the night? She (A'isha) reported: We were in this state that we heard the clanging noise of arms. lie (the Holy Prophet) said: Who is it? He said: This is Sa'd b. Abi Waqqas. Allah's Messenger Sallallahu Alaihi wasallam said to him: What brings you here? Thereupon he said: I harboured fear (lest any harm should come to) Allah's Messenger Salallahu Alaihi wasallam, so I came to serve as your sentinel. Allah's Messenger Sallallahu Alaihi wasallam invoked blessings upon him. He then slept. This hadith has been transmitted on the authority of Ibn Rumh with a slight variation of wording. 
---------
Sahih Muslim#6231

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...