Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 9 November 2021

Allah Subhanahu kis waqt bande ki taraf mutawajah hota hain ?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 826❗

Sawal: Allah Subhanahu kis waqt bande ki taraf mutawajah hota hain ?

A. Jab banda roze ki halat mein hota hain
B. Jab banda namaz ki halat mein hota hain
C. Jab banda beemari ki halat mein hota hain
D. Jab banda Allah ka zikr karta rehta hain 
E. Jab banda Quran ki tilawat karta hain
F. Jab tak banda Hajj ke arkhaan pura nahi kar leta
G. In mein se koi nahi (apna jawab likiye)
H. Sahi jawab ka intezaar
****
Sahi jawab B ✅

Hadith: Allah Subhanahu Namaz ki halat mein bande ko dekhte rehta hain jab tak ke wo...

Reference : 📚
--------
Hazrat Abu Zar Radi Allahu Anhu se manqool hai farmate hai : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya : Namaz ki halat mein Allah Subhanahu apne bande ki taraf mutawajjah rahta hain jab tak wo idhar udhar na dekhe. Jab wo apna muh idhar udhar karta hai to Allah Subhanahu  is se tawajjah munqatah farma leta hain
---------
حضرت ابوذر رضی اللہ سے منقول ہے ، فرماتے ہیں : رسول اللہ  ﷺ  نے فرمایا :’’ نماز کی حالت میں اللہ تعالیٰ اپنے بندے کی طرف متوجہ رہتا ہے جب تک وہ ادھر ادھر نہ دیکھے ۔ جب وہ اپنا منہ ادھر ادھر کرتا ہے تو اللہ تعالیٰ اس سے توجہ منقطع فرما لیتا ہے ۔‘‘ 
--------
It was narrated that Az-Zuhri said:
 I heard Abu Al-Ahwas saying to us in a gathering with Ibn Al-Musayyab when Ibn Al-Musayyab was sitting there, that he had heard Abu Dharr say: The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said:  Allah (SWT) continues to look upon His slave while he is praying, so long as he does not turn away. If he turns his face away, He turns away from him
---------
Sunnan e Nisai#1196-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...