Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 9 November 2021

Wo koun kounsi cheezein hain jo jaiz nahi hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 836❗

❗Jawab ek se zyada hain

Sawal : Wo koun kounsi cheezein hain jo jaiz nahi hain?

A: Bina ijazat kisi ke ghar mein dekhna
B: Paishab rok kar namaz padhna
C: jaanbujh kar qarz wapis nahi karna
D: Duniya ki khawaish karna
E: Khud apne liye dua karlene wala Imaam
F: Padosi ka haq nahi aada karna
G: Paikhana rok kar namaz padhna
H: Gunaho ko khullam khulla karna
I: Sahih Jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab - ABEG✅

Hadith: Ye teen amal karna kisi shakhs ke liye jaayaz nahi....

Reference📚:
------------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya teen cheezen kisi aadmi ke liye jaaiz nahi Ek ye ke jo aadmi kisi qoum ka Imam ho wo inhen chorh kar khaas apne liye dua kare, agar is ne aisa kiya to is ne un se khayanat ki, dusra ye ke koi kisi ke ghar ke andar is se ijazat lainay se pehlay dekhe, agar is ne aisa kiya to goya wo is ke ghar mein ghus gaya, teesra ye ke koi pishaab o pakhana rok kar namaz padhe, jab taq ke wo (is se farigh ho kar) halka na ho jaye.
---------
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  تین چیزیں کسی آدمی کے لیے جائز نہیں: ایک یہ کہ جو آدمی کسی قوم کا امام ہو وہ انہیں چھوڑ کر خاص اپنے لیے دعا کرے، اگر اس نے ایسا کیا تو اس نے ان سے خیانت کی، دوسرا یہ کہ کوئی کسی کے گھر کے اندر اس سے اجازت لینے سے پہلے دیکھے، اگر اس نے ایسا کیا تو گویا وہ اس کے گھر میں گھس گیا، تیسرا یہ کہ کوئی پیشاب و پاخانہ روک کر نماز پڑھے، جب تک کہ وہ  ( اس سے فارغ ہو کر )  ہلکا نہ ہو جائے
---------
Narrated Thawban: The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: Three things one is not allowed to do: supplicating Allah specifically for himself and ignoring others while leading people in prayer; if he did so, he deceived them; looking inside a house before taking permission: if he did so, it is as if he entered the house, saying prayer while one is feeling the call of nature until one eases oneself. 
--------
Sunnan e Abu Dawood Hadees # 90-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...