Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 9 November 2021

Namaz ke baad Wo kaunsa amal hai jiske bare mein irshad farmaya gaya hai ke jo ye amal karega wo kabhi nakaam nahi rahega

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 842❗

Sawal: Namaz ke baad Wo kaunsa amal hai jiske bare mein irshad farmaya gaya hai ke jo ye amal karega wo kabhi nakaam nahi rahega

A: Ayat Al Kursi 
B: Allahumma Aa inni Ala Zikrika wa Shukrika wa Husni Ibadatika
C: 33 baar SubhanAllah 33 baar Alhumdullilah aur 34 baar Allahu Akbar
D:3 martaba Astagfirullah 
E: Allahumma Antas Salam wa minkas salam tabarakta Ya Dhal-Jalali wal-ikram
F: Radaitu billahi Rabba wa bil islami dina wa bi Muhammadin Nabiyya
G: 10 baar SubhanAllah 10 baar Alhumdullilah aur 10 baar Allahu Akbar
H: Inmein se koi nahi
I: Sahi Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - C✅

 Hadith : Namaz ke baad in azkar ko padhne wala kabhi na ummed wa nakaam nahi hota

Reference📚 : 
-------
Kaab Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya (Namaz ke ya) ek dusre ke peeche kahe jane wale aise kalimaat hain ke har Farz namaz ke baad unhe kehne wala ya inko adda karne wala kabhi na ummeed wa nakaam nahi rehta 

33 baar Subhan Allah ,
33 baar Alhamdulillah 
34 baar Allahu Akbar.

Sahih Muslim, Hadees#1349 
---------
کعب بن عجرہ ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ سے اور انھوں نے رسو ل اللہ سے روایت کی ، آپ نے فرمایا : ( نماز کے یا ) ایک دوسرے کے پیچھے کہے جانے والے ایسے کلمات ہیں کہ ہرفرض نماز کے بعد انھیں کہنے والا ۔ ۔ یا ان کو ادا کرنے والا ۔ کبھی نامراد و ناکام نہیں رہتا ، تینتیس بار سبحان اللہ ، تینتیس بار الحمد اللہ اور چونتیس بار اللہ اکبر ۔
----
Kaab bin Ujrah Radi Allahu Anhu  narrated that The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said There are certain ejaculations, the repeaters of which or the performers of which after every prescribed prayer will never be caused disappointment:" 

Subhan Allah 33 times, (Glory to be Allah)
Alhamdulillah 33 times, (Praise be to Allah)
Allahu Akbar 34 times. (Allah is most Great)

Sahih Muslim Hadees#1349

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...