❗Only-Quran-Hadith-Quiz 828❗
Do sawal hain❗
EK martaba ek shakhs ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko darane ki koshih ki aur kehne laga ke wo iss jagah ka zayda haqdaar hain tab Allah Subhanahu ne uss mauqe par ek ayaat nazil farmayi
Sawal1️⃣: WO kaunse surah ki aayat nazil huyee
A: Surah Mujadila
B: Surah Alaq
C: Surah Balad
D: Surah Muzammil
E: Surah Mudassir
F: Surah Mominoon
G: In mein se koi nahi
H: Sahi jawab ka intezaar
Sawal2️⃣: Uss ayat ke mutabiq agar wo apni himayat dhikate to kya hota
A: Allah ka gazab nazil hojata
B: Uski Rooh kabz kar li jaati
C: Maut ka farista nazil hojata
D: Azaab ke fariste usse pakad lete
E: Usay halak kar diya jata
F: waha maojud sabhi log iss ka ibrat naak azab dehk lete
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likiye)
H: Sahih Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - BD✅
Hadith: Abu Jahal ka Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wa sallam ko darana aur uss per surah Al Alaq ki ayat ka nazil hona..
Reference📚:
----
Abdullah bin Abbas radi Allahu Anhuma se riwayat hain kahte hain ke Aap Sallallahu Alaihi wasallam Maqam e (Ibrahim) ke paas namaz padh rahe they ke Abu Jahal bin Hisham wahan se guzra to kaha: Eh Mohammad) Sallallahu Alaihi wasallam (Kya mein ne tumhe is se mana nahi kiya tha? Aur Aap Sallallahu Alaihi wasallam ko darane ki koshish ki. Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam is par ghussa ho gaye aur usay danta, is ne kaha : Eh Mohammad (Sallallahu Alaihi wasallam) tum kis wajah se mujhe dhamka rahe ho? Wallah mein is Waadi mein ziyada himayat Yafta hun. Tab Allah Subhanahu ne ye aayat nazil farmaye :Surah Al-Alaq (17-18) Tarjuma : Wo apne himayati (madadgaron) ko bulaye, hum bhi Azaab fariston ko bulayege Abdullah bin Abbas Radi Allahu Anhuma ne kaha agar wo apne himayati ko bulaataa to isi lamhe Azaab ke farishtay usay pakad letay.
----
عبداللہ بن عباس رضی اللہ عنہما سے مروی ہے كہتے ہیں كہ آپ صلی اللہ علیہ وسلم مقامِ( ابراہیم) كے پاس نماز پڑھ رہے تھے کہ ابو جہل بن ہشام وہاں سے گزرا تو كہا: اے محمد ) صلی اللہ علیہ وسلم (كیا میں نے تمہیں اس سے منع نہیں كیا تھا؟ اور آپ صلی اللہ علیہ وسلم كو ڈرانے کی کوشش کی۔ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم اس پر غصے ہو گئے اور اسے ڈانٹا، اس نے كہا: اے محمد ( صلی اللہ علیہ وسلم )تم كس وجہ سے مجھے دھمكا رہے ہو؟ واللہ میں اس وادی میں زیادہ حمایت یافتہ ہوں۔ تب اللہ تعالیٰ نے یہ آیت نازل فرمائی:سورۃ العلق :۱۷،۱۸﴾ ترجمہ: وہ اپنے حمایتی (مددگاروں)كو بلائے، ہم بھی عذاب فرشتوں كو بلالیں گے عبداللہ بن عباس رضی اللہ عنہما نے كہا: اگر وہ اپنے حمایتی كو بلاتا تو اسی لمحے عذاب كےفرشتے اسے پكڑ لیتے۔
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#693-Sahih
No comments:
Post a Comment