❗Only-Quran-Hadith-Quiz 834❗
Sawal: Inmein se wo kaunse amal karne ke sabab Allah Subhanahu ek darja buland kar deta hai aur ek khata maaf kar deta hain?
A: Khadim ki galtiyo ko 70 martaba se bhi zyada maaf karne par
B: Allah ki raah mein ek raat pehra dene par
C: Huq par hone ke bawajood jhagda na karne par
D: Jab koi achchi tarah wazu kare aur phir masjid ki taraf jaye
E: Waldain ke faut ho janae ke bad unke liye astaghfar karne par
F: Apne ahal wa ayal mein insaf karne par
G: Raste mein se takleef de cheez haata par
H: Inmein se koi nahi
I. Sahi jawab ka intezar hai
*****
Sahi Jawab - D✅
Hadith: Jo shakhs achchi tarha wazu kare aur Masjid kibtaraf jaye to har qadam par Allah uska ek darja bulad farmata hain aur...
Reference📚:
-----
Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hain ki Rasooll-Allah SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya Jab tum mein se koi wazu kare aur achchi tarah wazu kare, aur phir Masjid ki taraf jaye to uske har qadam par Allah Subhanahu uska ek darja buland farma dete hain aur ek khata maaf farma dete hain
--------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: تم میں سے جب کوئی وضو کرتا ہے، اور اچھی طرح وضو کرتا ہے، پھر مسجد آتا ہے، اور اس کے گھر سے نکلنے کا سبب صرف نماز ہی ہوتی ہے، تو اس کے ہر قدم کے بدلے اللہ تعالیٰ اس کا ایک درجہ بلند کرتا اور ایک گناہ مٹاتا ہے، یہاں تک کہ وہ مسجد میں داخل ہو جائے ۔
-------
It was narrated that Abu Hurairah said: The Messenger of Allah said: 'When anyone of you performs ablution and does it well, then he comes to the mosque for no other purpose than prayer, he does not take one step but Allah will raise him one degree (in status) thereby, and remove one sin from him thereby, until he enters the mosque.'
-------
Sunan ibn Majah-Hadees#281-Sahih
No comments:
Post a Comment