❗Only-Quran-Hadith-Quiz 830❗
Do sawal hain!
Ek gazwe ke dauran ek sahabi ko bahut neend aa rahi thi tab un sahabi se baar baar ek cheez ho rahi thi
Sawal 1️⃣: Wo konsa gazwa tha ?
A: Badar
B: khaibar
C: Siffin
D: Hunain
E: Khandaq
F: Fatah Makkah
G: In mein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
Sawal 2️⃣ : Baar baar sahabi se kya cheez ho rahi thi ?
A: wo soye jaa rahe thy
B: Ankhon par paani ke chente maar rahe thy
C: unke haath se talwar chutti jaa rahi thi
D: wo baar baar zakmi ho rahe thy
E: chup kar teer bazi kar rahe thy
F: Apni ankhe ragad rahe thy
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab 1. G. Jung Uhad / 2. C ✅
Hadith: Jung Uhad mein Abu Talha RadiAllahu Anhu ka waqiya....
Reference : 📚
--------
Abu Talha Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke hum Jung Uhad mein apni saaf (position) mein thay aur hum par ghunodgi taari ho gayi. wo bayan karte hain ke wo un logon mein se thay jinhein is din ghunodgi (neend) ne aa ghaira tha, haalat ye ho gayi thi ke talwar mere haath se chuti ja rahi thi, mein usay pakad raha tha aur mere haath se giri ja rahi thi, mein usay sambhaal raha tha. dusra giroh munafiqon ka tha jinhein sirf apni jaanun ki hifazat ki fikar thi, wo logon mein sab se ziyada buzdil, sab se ziyada maroob ho jane wale (darpuk) aur haq ka sab se ziyada sath chodney walay thay.
-------
ابوطلحہ رضی الله عنہ" نے بیان کیا کہ ہم جنگ احد میں اپنی صف ( پوزیشن ) میں تھے اور ہم پر غنودگی طاری ہو گئی۔ وہ بیان کرتے ہیں کہ وہ ان لوگوں میں سے تھے جنہیں *اس دن غنودگی ( نیند ) نے آ گھیرا تھا، حالت یہ ہو گئی تھی کہ تلوار میرے ہاتھ سے چھوٹی جا رہی تھی، میں اسے پکڑ رہا تھا اور میرے ہاتھ سے گری جا رہی تھی، میں اسے سنبھال رہا تھا۔ دوسرا گروہ منافقوں کا تھا جنہیں صرف اپنی جانوں کی حفاظت کی فکر تھی، وہ لوگوں میں سب سے زیادہ بزدل، سب سے زیادہ مرعوب ہو جانے والے ( ڈرپوک ) اور حق کا سب سے زیادہ ساتھ چھوڑنے والے تھے۔
-------
Narrated Anas: that Abu Talhah said: We were overcome, and we were in our positions on the Day of Uhud, and he narrated that he was among those who were overcome with slumber on that day. He said: My sword kept falling from my hand and I would pick it up and it would fall from my hand and I would pick it up (again). The other party was that of the hypocrites, they had no concern but themselves, the most cowardly of people, the most frightened, fleeing from the truth.
------
Jam e Tirmazi#3008-Sahih
No comments:
Post a Comment