Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 9 November 2021

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam jab bahut zyada bemaar hogaye thy tab Aap ki kafiyat dekh Aapki ek zauja ne kaha ki agar hum mein se koi aurat aisa karti to Aap tajjub karte thy

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 838❗

❗Do sawal hai pahle sawal mein jawab ek se zayda hain

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam jab bahut zyada bemaar hogaye thy tab Aap ki kafiyat dekh Aapki ek zauja ne kaha ki agar hum mein se koi aurat aisa karti to Aap tajjub karte thy

Sawal1️⃣: Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki us waqt ki kya kafiyat thi ?

A: Bebas thy
B: Bechain thy
C: Bhuke thy
D: Khamosh thy
E: Pyase thy
F: Naraz thy
G: Ghabrahat mein thy
H: Gusse mein thy
I: Afsos mein thy
J: Sahi jawab ka intezaar

Sawal2️⃣: uss zawja ki baat sunkar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne kya irshad farmaya

A: Beemari se darjat buland hote hain
B: Allah ka zikr kiya karo
C: Nabiyon par zayda sakthi pesh hoti hai
D: Momin par sakhti ki jaati hai taake uske khataon ka kaffara bane
E: Aurate bahut nashukri hoti hain
F: Beemari Momeen ke liye Khushkabri hain
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
*****
Sahi jawab - BG/D✅

Hadith: Momeen par is liye sakhti ki jati hai taakey ye iski khataon ka kaffara ban jaye..

Reference : 📚
--------
Abu Hurairah Radi Allahu Anhu Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki kisi biwi galba Ayesha Radi Allahu Anhuma se bayan karte hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam beemar hogaye hatta ke jab Aap ki beemari badh gayi aur shadeed mustarab hogaye to maine kaha : Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam! Aap ghabrahat ka shikaar aur bechain hain. Agar hum mein se koi Aurat is tarah karti to Aap is par tajjub karte. Aap ne farmaya : Kya tumhe nahi maloom Momeen par is liye sakhti ki jati hai taakey ye iski khataon ka kaffara ban jaye
---------
ابو بردہ رضی اللہ عنہ  نبی  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌كی كسی بیوی غالبا عائشہ رضی اللہ عنہا  سے بیان كرتے ہیں كہ رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌بیمار ہو گئے حتی كہ جب آپ كی بیماری بڑھ گئی اور شدید مضطرب ہوگئے تو میں نے كہا: اے اللہ كے رسول ! آپ گھبراہٹ کا شکار اور بے چین ہیں اگر ہم میں سے كوئی عورت اس طرح كرتی تو آپ اس پر تعجب كرتے۔ آپ نے فرمایا: كیا تمہیں نہیں معلوم كہ مومن پر اس لئے سختی كی جاتی ہے تاكہ یہ اس كی خطاؤں كا كفارہ بن جائے۔
--------
Al-Silsila-tus-Sahiha#3269

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...