Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 9 November 2021

Ek Hadees ke mutabiq jab log Pool sirat par se guzrenge to kya hoga

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 819❗

Jawab ek se ziyada hain

Sawal: Ek Hadees ke mutabiq jab log Pool sirat par se guzrenge to kya hoga 

A: Kuch logon ke aaza kat kar Jahannum mein gir jayege
B: Kuch log ek qadam bhi aage nahi bada payege
C: Kuch log Salamti ke sath guzar jayenge
D: Ek zor ki aawaz se sab behosh hojayege
E: Kuch log baad mein nijaat payege 
F: Log Apne Nabiyo ke saath Pool Sirat paar karnege
G: Kuch log issi par atakay rahenge 
H: Kuch log aundhe mun Jahanuum mein giray honge
I: Kuch log khauf mein honge aur wahi par intezaar karenge
J: Sahih Jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab - ACEGH✅

Hadith: Pool sirat per se guzarne ka bayan..

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Pool Sirat Jahannum ke dono kinaroon par rakha jayega, is par Sadan ke kaanton ki terhan kantay honge, phir log is par se guzarna shuru karenge, to baaz log Sahih salamat guzar jayenge, baaz ke kuch aaza kat kar jahannum mein gir padenge, phir nijaat payenge, baaz isi par atakay rahenge, aur baaz aundhe mun Jahannum mein girenge.
----
Abu Sa’eed narrated that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: The Sirat will be placed across Hell, on thorns like the thorns of Sa’dan plant.* Then the people will cross it. Some will pass over safe and sound, some will be detained, and some will fall in headfirst.”
----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  پل صراط جہنم کے دونوں کناروں پر رکھا جائے گا، اس پر سعدان کے کانٹوں کی طرح کانٹے ہوں گے، پھر لوگ اس پر سے گزرنا شروع کریں گے، تو بعض لوگ صحیح سلامت گزر جائیں گے، بعض کے کچھ اعضاء کٹ کر جہنم میں گر پڑیں گے، پھر نجات پائیں گے، بعض اسی پر اٹکے رہیں گے، اور بعض اوندھے منہ جہنم میں گریں گے ۔
----
Sunnan e Ibn e Maja#4280-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...