Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 9 November 2021

Ek baar ek aadmi ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se irshad farmaya ke unse bahut bada gunah hogaya hain kya abb unhe muafi mil sakti hain kya

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 825❗

Ek baar ek aadmi ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se irshad farmaya ke unse bahut bada gunah hogaya hain kya abb unhe muafi mil sakti hain kya

Sawal: Uss aadmi ki baat sunke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne kaunsa amal irshad farmaya

A: Waliden ke saath Sila Rehami karo
B: Saqda kiya karo
C: Ristedaaro ke saath Sila Rehami kiya karo
D: Kasrat se Astagfaar karo
E: Kalma Sahadat ka iqarar karo
F: Padosi ke saath Sila Rehami karo
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likiye)

H: Sahih Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - G✅ Khala ke saath Husn e Suluk karo

Hadith: Apni Khala ke saath Husn e Suluk karne ki fazilat
-----
Hazrat Ibn Umar Radi Allahu Anhu se riwayat hain ke ek Aadmi Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein hazir huwa to isne arz kiya Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Maine ek bahut bada gunah ka irteqaab kiya hain to kya mere liye Tauba (ki gunjaish) hain? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kya tumahari Walida to usne arz kiya Nahi Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kya tumahari Khala hain ? To usne arz kiya ji Haan Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya unke Saath (yani Khala ke saath) Husn e Suluk karo
---
حضرت ابن عمر ؓ سے روایت ہے کہ ایک آدمی نبی ﷺ کی خدمت میں حاضر ہوا تو اس نے عرض کیا : اللہ کے رسول ! میں نے ایک بہت بڑے گناہ کا ارتکاب کیا ہے تو کیا میرے لیے توبہ (کی گنجائش) ہے ؟ آپ ﷺ نے فرمایا :’’ کیا تمہاری والدہ ہے ؟‘‘ اس نے عرض کیا ، نہیں ، آپ ﷺ نے فرمایا :’’ کیا تمہاری خالہ ہے ؟‘‘ اس نے عرض کیا : جی ہاں ! آپ ﷺ نے فرمایا :’’ اس کے ساتھ حسن سلوک کرو ۔‘‘ ، رواہ الترمذی ۔
---
Ibn Umar RadiAllahu Anhu narrated that a Man came to the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam and said: O Messenger of Allah, I have committed a major sin; can I repent? He said: “Do you have a Mother?” He said: No. He said: “Do you have a Maternal Aunt?” He said: Yes. He said: “Then treat your Aunt kindly.”
----
Mishkat ul Masabeeh#4935-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...