Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 9 November 2021

Ek sahabi ki wafat ka waqt qareeb aaya to unhone logon se farmaya ke wo unko ek hadees ke bare mein irshad farmaye ge jo unhone Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se suni thi.

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 822❗

❗Jawab ek se ziyada hain

Ek sahabi ki wafat ka waqt qareeb aaya to unhone logon se farmaya ke wo unko ek hadees ke bare mein irshad farmaye ge jo unhone Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se suni thi.

Sawal: uss hadees mein kaun kaun si naseehat bayan ki gayi thi

A: Nazar lagna haq hain
B:Mazlum ki baddua se bachna
C: Qata Taluqi ke hifazat karna
D: Allah ki ibadat iss taraha karo jaise ke wo tumhe dekh raha ho
E: Isha aur Fajar ki dono namazo mein hazir hona agarche ghutno ke ball he kuyn na anna padhe
F: Allah ki ibadat aisa karo jaise ke tum usse dehk rahe ho
G: khud ko aisa shumaar karo jaise ke tum murda ho
H: Sahih jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - BDEFG✅

Hadith: Allah Subhanahu ki ibadat iss taraha karo jaise ke wo tumhe dekh raha ho ya tum usse dehk rahe ho aur.... 

Reference📚:
----
Abu Darda RadiAllahu Anhu se riwayat hain jab un ki wafaat ka waqt aaya to unhone ne kaha mein tumhe EK hadees sunataa hu, jo mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se suni hain Aap farma rahay thay Allah Ki  ibadat is terhan karo jaise tum ussay dehk rahay ho, agar tum ussay nahi dehk rahay to wo tumhe dehk raha hain apne Aap ko murdon mein shumaar karo, Mazloom ki buddua se baacho kuyke mazloom ki Dua qubool ki jaati hain, aur tum mein se jo is baat ki taaqat rakhe ki wo Isha aur Fajar ki dono namazon mein haazir ho agarchay ghutnon ke ball he kuyn na ho to aisa karo.
---
ابودرداء‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے جب ان كی وفات كا وقت آیا توانہوں نے كہا: میں تمہیں ایك حدیث سناتا ہوں،جومیں نے رسول اللہ   ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌سے سنی ہے۔ آپ فرما رہے تھے: اللہ كی عبادت اس طرح كروجیسے تم اسے دیكھ رہے ہو، اگر تم اسے نہیں دیكھ رہے تووہ تمہیں دیكھ رہا ہے۔ اپنے آپ كومُردوں میں شمار كرو، مظلوم كی بددعا سے بچوكیونكہ مظلوم كی دعا قبول كی جاتی ہے۔ اور تم میں سے جواس بات كی طاقت ركھے كہ وہ عشاء اور فجر كی دونوں نمازوں میں حاضر ہو اگرچہ گھٹنوں كے بل ہی كیوں نہ ہوتووہ ایسا كرے
---
Abu Darda RadiAllahu Anhu narrate that when the time came for his death, he said: I will narrate to you a hadith which I have heard from the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam. He used to say: Worship Allah as if you are seeing Him. If you are not seeing Him, then He is seeing you. Count yourself among the dead, avoid the insults of the oppressed because the prayers of the oppressed are accepted. And whoever of you has the strength to attend the Isha and Fajr prayers even on his knees Let him be present, 
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#949-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...