❗Only-Quran-Hadith-Quiz 827❗
Jawab ek se ziyada hain❗
Sawal: In mein se koun kounse Amal Afzal hain?
A: Allah ki raah mein jihaad karna
B: Waqt par namaz padhna
C: Allah par imaan
D: Walidain ke saat naik mamla karna
E: Ramzan ke roze rakhna
F: Sila rahmi karna
G: Padosiyon se husn sulook karna
H: Gussa kum karna
I: Sahi jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - ABCD✅
Hadith: Sabse Afzal Amal hain Allah par Imaan lana aur.....
Reference📚:
-----
Abu Dharr RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Afzal Amal:
1. Allah par Imaan
2. Jihad Fi Sabeel Allah hain.
----
ابوذررضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے كہ افضل عمل اللہ پر ایمان اور جہاد فی سبیل اللہ ہے۔
----
It is narrated from Abu Dharr that the best deed is:
1. Faith in Allah
2. Jihad for the sake of Allah.
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#955-Sahih
*****
Ibn Mas`ud RadiAllahu Anhu ne kaha Ek shakhs ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se poocha : kounsa Amal sab se Afzal hain? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke:
1. Apne waqt par namaz padhna
2. Walidain ke sath naik maamla karna
3. Allah ke rastay mein Jihaad karna
-----
عبداللہ بن مسعود رضی اللہ عنہما نے کہ ایک شخص نے نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم سے پوچھا ۔ کون سا عمل سب سے افضل ہے ؟ فرمایا کہ اپنے وقت پر نماز پڑھنا اور والدین کے ساتھ نیک معاملہ کرنا ‘ پھر اللہ کے راستے میں جہاد کرنا
----
Narrated Ibn Mas`ud RadiAllahu Anhu: A man asked the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam "What deeds are the best?" The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said:
(1) To perform the (daily compulsory) prayers at their (early) stated fixed times,
(2) to be good and dutiful to one's own parents,
(3) and to participate in Jihad in Allah's Cause."
----
Sahih Bukhari#7534
No comments:
Post a Comment