Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 9 November 2021

Insan ko kaise pata chalta hai ke usne neiki ki ya burayee ki hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 837❗

Sawal: Insan ko kaise pata chalta hai ke usne neiki ki ya burayee ki hain

A: Jab insan Allah ke Zikr se apni zaban tar rakhta ho ya uska Zikr rok liya jata hain
B: jab 2 shakhs gawai de ki tumne neiki ya burayee ki
C: Jab ek namaz ke baad aap dusri namaz aada kare 
D: Jab apke ristedaar gawai de ke tumne neiki ya burayee ki
E: Jab tumhara padosi gawai de ke tumne neiki ya burayee ki
F: Jab tumhara amal tumhe sukun de ke tumne neiki ki ya burayee ki
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likhe)
H: Sahi Jawab ka intezaar
***********
Sahih Jawab : E✅
              
Hadith: Jab tum apne Padosi se suno ke tumne naiki ki hain to tumne sach mein naiki ki hain aur jab tum unse suno ke tumne burayee ki to tumne sach mein burayee ki hain
-----
Hazrat Abdullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai Ek Aadmi ne kaha Eh Allah Subhanahu ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Mujhe kis tarha malum hoga meine naiki ki hain? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaye jab tum apne Padosi se suno ke tumne naiki ki hain to tumne sach mein naiki ki hain aur jab tum unse suno ke tumne burayee ki to tumne sach mein burayee ki hain
----
عبداللہ‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہتے ہیں كہ ایك آدمی نے كہا: اے اللہ كے رسول  مجھے كس طرح معلوم ہوگا كہ میں نے نیكی کی  ہے؟ آپ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: جب تم اپنے پڑوسیوں سے سنوكہ تم نے نیكی كی ہے توتم نے واقعی نیكی كی ہے، اور جب تم ان سے سنوكہ تم نے برائی كی ہے توتم نے واقعی برائی كی ہے۔
-------
Abdullah bin Masoud RadiAllahu Anhu narrated that a man said to the prophet peace be upon him: “How would I know when I do well or bad?” the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: “If you heard your neighbors say you did well, then you did well. And if you heard them say you did evil, then you did evil.”
-----
Al-Slisila-tus-Sahiha hadees#940-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...