Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 18 February 2020

Alhumdulillah





Bismillahirrahmannirrahim

Alhumdullilah kahne se Meezan bhar jata hain
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Alhumdullilah kehne se Meezan (Nekiyon se) bhar jata hain.
----
Sunan Ibn Majah, Vol 1, 280- Sahih
----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا الحمد لله  کہنے سے میزان (نیکیوں سے)  بھر  جاتا ہے
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said Alhumdullilah Fills the Scale (of Good Deeds)
Sunan Ibn Majah, Book 1, 280-Sahih

Allah har cheez ka paida karne wala hai




Bismillahirrahmannirrahim

اللَّـهُ خَالِقُ كُلِّ شَيْءٍ

Allaahu khaaliqu kulli shai'inw
--------
Allah har cheez ka paida karne wala hai
-------
اللہ ہر چیز کا پیدا کرنے والا ہے
-------
Allah is the Creator of All things
--------
Surah Zumar: (39:62)

Allahumma Ajirni Minan Naar,





Bismillahirrahmannirrahim

اللَّهُمَّ أَجِرْنِي مِنَ النَّارِ

Allahumma Ajirni Minan Naar

Eh Allah mujhe Jahanam ki aag se bacha

Oh Allah protect me from the hell fire.

Jis Musalman mein inmein se majuda koi bhi aadat ho aur wo uss addat ko ikhtiyaar karle toh Rasool-Allah Sallalahu Alahi Wasallam uska haath pakad ke usse Jannat mein daakhil kar denge?


❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hain!

Sawal: Jis Musalman mein inmein se majuda koi bhi aadat ho aur wo uss addat ko ikhtiyaar karle toh Rasool-Allah Sallalahu Alahi Wasallam uska haath pakad ke usse Jannat mein daakhil kar denge?

A: Allah Subhanahu par Eman lana
B: bhatkay huwe ko rasta dikhana
C: Allah Subhanahu ne jo maal diya hai usmein se karch karna
D: Neki ka hukum dena aur Burai se mana karna
E: Mazloom ki madad karna
F: Salam ka jawab dena
G: Logo se takleef ko rok lena
H: Emaan ke khatir shaheed hone wale

I: Sahi Jawab ka Intezaar


**************
Sahi Jawab - ACDEG✅

Reference📚:

Abu Zarr RadiAllahu Anhu ne kaha Eh Allah ke Rasool Salalahu Alahi Wasallam! kaunsa Amal bande ko Aag se nijaat deta hai? Aap Salalahu Alahi Wasallam ne farmaya : Allah par Eman, mein ne kaha Eh Allah ke Nabi Salalahu Alahi Wasallam kya Eman ke saath koi amal bhi hai? Aap Salalahu Alahi Wasallam ne farmaya jo Allah Subhanahu taala ne usay diya hai is mein se kharch kare mein ne kaha Eh Allah ke Rasool Salalahu Alahi Wasallam! agar woh faqeer (mohtaaj) ho kharch karne ke liye koi cheez nah paata ho to phir Aap ka kya khayaal hai? Aap Salalahu Alahi Wasallam ne farmaya Neki ka hukum de aur Buraiee se mana kare mein ne kaha Eh Allah ke Rasool Salalahu Alahi Wasallam! agar woh kamzor (aajiz) ho neki ka hukum karne, buraiee se mana karne ki taaqat nah rakhta ho fir aap ka kya khayaal hai? Aap Salalahu Alahi Wasallam ne farmaya kisi na samajh (be waqoof) ke liye kaam kare mein ne kaha agar woh khud na samajh ho koi kaam karne ki taaqat nah rakhta ho to phir Aap ka kya khayaal hai? Aap Salalahu Alahi Wasallam ne farmaya maghloob (mazloom) ki madad kare mein ne kaha agar woh kamzor ho kisi mazloom ki madad karne ki taaqat nah rakhta ho to Aap ka kya khayaal hai? Aap Salalahu Alahi Wasallam ne farmaya tum kya chahtay ho tum apne bhai mein koi bhalai chodohge bhi? to logon se takleef rok le mein ne kaha Eh Allah ke Rasool Salalahu Alahi Wasallam! jab woh yeh kaam karega to kya Jannat mein daakhil ho jayega? Aap Salalahu Alahi Wasallam ne farmaya jo musalman un mein se kisi aadat ko ikhtiyar karta hai to woh is ka haath pakar kar usay jannat mein daakhil kar dengi.
----------
Sahih hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 172

Hadith: Finte ke mutabiq Rasool-Allah Sallalahu Alahi waSallam ka irshad

Bismillahirrahmannirraim


Hadith: Finte ke mutabiq Rasool-Allah Sallalahu Alahi waSallam ka irshad 


Abu muawiya ne kaha : hamein Amash ne (abbu waile ) shaqeekh se hadees bayan ki unhon ne hazrat Hudhaifa RadiAllahu Anhu se riwayat ki, unhon ne kaha : hazrat UmarRadiAllahu Anhu ke paas baithey hue thay ke unhon ne kaha : fitne ke mutaliq Rasool-Allah Sallallahu Alahi wasallam ka irshad jis terhan aap ne khud farmaya tha tum mein se kisi ko yaad hai? ( hazrat Hudhaifa RadiAllahu Anhu ne kaha: mein ne arz ki : mujhe (hazrat Umar RadiAllahu Anhu ne kaha: tum bohat jurrat mand ho. (yeh batao ke) aap Sallallahu Alahi wasallam  ne kis terhan irshad farmaya tha? mein ne kaha : mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alahi wasallam se suna tha aap Sallallahu Alahi wasallam farma rahay thay. insaan apne ghar walon apne maal apni jaan aur apne hamsaye ke baray mein jis fitne mein mubtala hota hai to roza namaz, sadqa, neki ka hukum karna aur buraiee se mana karna is ka kaffara ban jatay hain. to hazrat Umar  ne kaha : meri murad is se nahi meri murad to is ( fitne ) se hai jo samandar ki moajoon ki terhan umad hai. hazrat RadiAllahu Anhu ne kaha : Ameer al-momineen! aap ko is fitne se kya ( khatrah ) hai? aap ke aur is ftne ke darmiyan aik band darwaza hai. unhon ne kaha : woh darwaaza todajaye ga ya khola ja ye ga? kaha : mein ne jawab diya nahi balke Todejaye ga . ( hazrat Umar RadiAllahu Anhu ne ) kaha : phir is baat ki ziyada tawaqqa hai ke woh ( darwaaza dobarah ) kabhi band nahi kiya ja sakay ga. ( Shaqeekh ne ) kaha : hum ne hazrat huzafh RadiAllahu Anhu se poocha kya hazrat Umar RadiAllahu Anhu jantay thay ke darwaaza kon hai? unhon ne kaha : haan isi terhan jaisay woh yeh baat jantay thay ke subah ke baad raat hai mein ne un ko aik hadees bayan ki thi woh koi atkal bachcho baat nah thi. kaha : phir hum is baat se dargaye ke hazrat hudaifa RadiAllahu Anhu se poucheen woh darwaaza kon tha? hum ne masrook se kaha : aap un ( hudaifa RadiAllahu Anhu se pouchen unhon ne poocha to ( Huzaifa RadiAllahu Anhu ne kaha : ( woh darwaaza ) Hazrat Umar RadiAllahu Anhu thy
_______
ابو معاویہ نے کہا : ہمیں اعمش نے ( ابو وائل ) شقیق سے حدیث بیان کی انھوں نے حضرت حذیفہ رضی اللہ تعالیٰ عنہ سے روایت کی ، انھوں نے کہا : ہم حضرت عمر رضی اللہ تعالیٰ عنہ کے پاس بیٹھے ہوئے تھے کہ انھوں نے کہا : فتنے کے متعلق رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کا ارشاد جس طرح آپ نے خود فرمایا تھا تم میں سے کسی کو یاد ہے؟ ( حضرت حذیفہ رضی اللہ تعالیٰ عنہ نے ) کہا : میں نے عرض کی : مجھے ۔ ( حضرت عمر رضی اللہ تعالیٰ عنہ نے ) کہا : تم بہت جرات مند ہو ۔ ( یہ بتاؤ کہ ) آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے کس طرح ارشاد فرمایاتھا؟میں نے کہا : میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے سنا تھا آپ فرما رہے تھے ۔ انسان اپنے گھروالوں اپنےمال اپنی جان اور اپنے ہمسائے کے بارے میں جس فتنے میں مبتلا ہوتاہے تو روزہ نماز ، صدقہ ، نیکی کا حکم کرنا اور برائی سے منع کرنا اس کا کفارہ بن جاتے ہیں ۔ تو حضرت عمر رضی اللہ تعالیٰ عنہ نے کہا : میری مراد اس سے نہیں میری مراد تواس ( فتنے ) سے ہے جو سمندر کی موجوں کی طرح امڈکرآتا ہے ۔ حضرت حذیفہ رضی اللہ تعالیٰ عنہ نے کہا : امیر المؤمنین!آپ کو اس فتنے سے کیا ( خطرہ ) ہے؟آپ کے اور اس فتنے کے درمیان ایک بنددروازہ ہے ۔ انھوں نے کہا : وہ دروازہ توڑاجائے گا یا کھولا جا ئے گا؟کہا : میں نے جواب دیا نہیں بلکہ توڑاجائےگا ۔ ( حضرت عمر رضی اللہ تعالیٰ عنہ نے ) کہا : پھر اس بات کی زیادہ توقع ہے کہ وہ ( دروازہ دوبارہ ) کبھی بند نہیں کیا جا سکے گا ۔ ( شقیق نے ) کہا : ہم نے حضرت حذیفہ رضی اللہ تعالیٰ عنہ سے پوچھا کیا حضرت عمر رضی اللہ تعالیٰ عنہ جانتے تھے کہ دروازہ کون ہے؟انھوں نے کہا : ہاں اسی طرح جیسے وہ یہ بات جانتے تھے کہ صبح کے بعد رات ہے میں نے ان کو ایک حدیث بیان کی تھی وہ کوئی اٹکل بچو بات نہ تھی ۔ کہا : پھر ہم اس بات سے ڈرگئے کہ حضرت حذیفہ رضی اللہ تعالیٰ عنہ سے پوچھیں وہ دروازہ کون تھا؟ ہم نے مسروق سے کہا : آپ ان ( حضرت حذیفہ رضی اللہ تعالیٰ عنہ ) سے پوچھیں انھوں نے پوچھا تو ( حضرت حذیفہ رضی اللہ تعالیٰ عنہ نے ) کہا : ( وہ دروازہ ) حضرت عمر رضی اللہ تعالیٰ عنہ ( تھے )
_______
Hudhaifa reported: We were one day in the company of 'Umar that he said: Who amongst you has preserved in his mind most perfectly the hadith of Allah's Messenger ( ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وسلم  ) in regard to the turmoil as he told about it? I said: It is I. Thereupon he said: You are bold (enough to make this claim). And he further said: How? I said: I heard Allah's Messenger ( ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وسلم ‌ ) as saying: There would (first) be turmoil for a person in regard to his family, his property, his own self, his children, his neighbours (and the sins committed in their connection) would be expiated by fasting, prayer, charity, enjoining good and prohibiting evil. Thereupon 'Umar said: I do not mean (that turmoil on a small scale) but that one which would emerge like the mounting waves of the ocean. I said: Commander of the Faithful, you have nothing to do with it, for the door is closed between you and that. He said: Would that door be broken or opened? I said: No, it would be broken. Thereupon he said: Then it would not be closed despite best efforts. We said to Hudhaifa: Did Umar know the door? Thereupon he said: Yes, he knew it (for certain) just as one knows that night precedes the next day. And I narrated to him something in which there was nothing fabricated. Shaqiq (one of the narrators) said: We dared not ask Hudhaifa about that door. So we requested Masruq to ask him. So he asked him and he said: (By that door, he meant) 'Umar. 
--------------
Sahi Muslim 7268 - Sahih Hadees

Al Quran: Beshak Insan ko Allah Subhanahu ne imtehan ke liye paida kiya



Bismillahirrahmannirahim

Al Quran: Beshak Insan ko Allah Subhanahu ne imtehan ke liye paida kiya

-------------
اِنَّا خَلَقۡنَا الۡاِنۡسَانَ مِنۡ نُّطۡفَۃٍ  اَمۡشَاجٍ  نَّبۡتَلِیۡہِ  فَجَعَلۡنٰہُ سَمِیۡعًۢا بَصِیۡرًا 
-------------
Besahak hum ney insan ko milay julay nutfay say imtehan kay liye paida kiya aur uss ko sunta dekhta banaya 
--------------
Indeed, We created man from a sperm-drop mixture that We may try him; and We made him hearing and seeing. 
-------------
بیشک ہم نے انسان کو ملے جلے نطفے سے امتحان کے لئے پیدا کیا اور اس کو سنتا دیکھتا بنایا ۔ 
--------------
76 : سورة الدھر 2

Surah ud Dahar (76) Ayat No 02

Hadith: Allah ke raste mein Jihad kar ke zakhmi hone wala qayamat ke din uske zakhmo se behne wala khoon mushk ki khushbu jaisi hogi

Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Allah ke raste mein Jihad kar ke zakhmi hone wala qayamat ke din uske zakhmo se behne wala khoon mushk ki khushbu jaisi hogi

Abu-huraira Radi Allahu Anh se ke RasoolAllah sale Allah alaihi wasallam ne farmaya is zaat ki qisam jis ke haath mein meri jaan hai jo shakhs bhi Allah ke rastay mein zakhmi huwa aur Allah taala khoob jaanta hai ke is ke rastay mein koun zakhmi huwa hai' woh qayamat ke din is terhan se aaye ga ke is ke zakhamo se khoon beh raha ho ga' rang to khoon jaisa ho ga lekin is mein khushbu mushk jaisi ho gi .
-------------
Narrated Abu Huraira: Allah's Apostle said, By Him in Whose Hands my soul is! Whoever is wounded in Allah's Cause....and Allah knows well who gets wounded in His Cause....will come on the Day of Resurrection with his wound having the color of blood but the scent of musk. 
-------------
ابوہریرہ رضی اللہ عنہ سے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا اس ذات کی قسم جس کے ہاتھ میں میری جان ہے جو شخص بھی اللہ کے راستے میں زخمی ہوا اور اللہ تعالیٰ خوب جانتا ہے کہ اس کے راستے میں کون زخمی ہوا ہے ‘ وہ قیامت کے دن اس طرح سے آئے گا کہ اس کے زخموں سے خون بہہ رہا ہو گا ‘ رنگ تو خون جیسا ہو گا لیکن اس میں خوشبو مشک جیسی ہو گی ۔
--------------
Reference : Sahih al-Bukhari 2803, Book 56, Hadith 20

Hadith: Qayamat ke din saari Zameen ek roti ki tarha hojayegi

Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Qayamat ke din saari Zameen ek roti ki tarha hojayegi

----------
Abu Saeed Khudri Razi Allah Anho ne bayan kya ke Nabi (ﷺ) ne farmaya ” qayamat ke din saari zameen ek roti ki tarha ho jaye gi jisay Allah taala ahal jannat ki maizbani ke liye –apne haath se ultay palty ga jis terhan tum dastarkhawan par roti lehratey phirti ho. phir aik yahodi aaya aur bola abu alqasim! tum par Rehman barket nazil kare kya mein tumhe qayamat ke din ahal jannat ki sab se pehli ziyafat ke baray mein khabar nah dun? aap ne farmaya, kyun nahi. to is ne ( bhi yahi ) kaha ke saari zameen aik roti ki terhan ho jaye gi jaisa ke Nabi (ﷺ) ne farmaya tha. phir Anhazrat (ﷺ) ne hamari taraf dekha aur muskuraye jis se aap ke agay ke daant dikhayi dainay lagey. phir ( is ne ) khud hi poocha kya mein tumhe is ke saalan ke mutaliq khabar nah dun? ( phir khud hi ) bola ke un ka saalan Balam o noon ho ga. sahaba razi Allah Anhu ne kaha ke yeh kya cheez hai? is ne kaha ke bail aur machhli jis ki kaleji ke sath zayed charbi ke hissay ko sattar hazaar aadmi khayen ge .
------------
Narrated Abu Sa`id Al-Khudri:
The Prophet (ﷺ) said, "The (planet of) earth will be a bread on the Day of Resurrection, and The resistible (Allah) will topple turn it with His Hand like anyone of you topple turns a bread with his hands while (preparing the bread) for a journey, and that bread will be the entertainment for the people of Paradise." A man from the Jews came (to the Prophet) and said, "May The Beneficent (Allah) bless you, O Abul Qasim! Shall I tell you of the entertainment of the people of Paradise on the Day of Resurrection?" The Prophet (ﷺ) said, "Yes." The Jew said, "The earth will be a bread," as the Prophet (ﷺ) had said. Thereupon the Prophet (ﷺ) looked at us and smiled till his premolar tooth became visible. Then the Jew further said, "Shall I tell you of the udm (additional food taken with bread) they will have with the bread?" He added, "That will be Balam and Nun." The people asked, "What is that?" He said, "It is an ox and a fish, and seventy thousand people will eat of the caudate lobe (i.e. extra lobe) of their livers."
----------------
ابو سعید خدری رضی اللہ عنہ نے بیان کیا کہنبی (ﷺ) نے فرمایا ” قیامت کے دن ساری زمین ایک روٹی کی طرح ہو جائے گی جسے اللہ تعالیٰ اہل جنت کی میزبانی کے لیے اپنے ہاتھ سے الٹے پلٹے گا جس طرح تم دسترخوان پر روٹی لہراتے پھراتے ہو ۔ پھر ایک یہودی آیا اور بولا ابوالقاسم ! تم پر رحمن برکت نازل کرے کیا میں تمہیں قیامت کے دن اہل جنت کی سب سے پہلی ضیافت کے بارے میں خبر نہ دوں ؟ آپ نے فرمایا ، کیوں نہیں ۔ تو اس نے ( بھی یہی ) کہا کہ ساری زمین ایک روٹی کی طرح ہو جائے گی جیسا کہ نبی (ﷺ) نے فرمایا تھا ۔ پھر آنحضرت (ﷺ) نے ہماری طرف دیکھا اور مسکرائے جس سے آپ کے آگے کے دانت دکھائی دینے لگے ۔ پھر ( اس نے ) خود ہی پوچھا کیا میں تمہیں اس کے سالن کے متعلق خبر نہ دوں ؟ ( پھر خود ہی ) بولا کہ ان کا سالن بالام و نون ہو گا ۔ صحابہ رضی اللہ  عنہم نے کہا کہ یہ کیا چیز ہے ؟ اس نے کہا کہ بیل اور مچھلی جس کی کلیجی کے ساتھ زائد چربی کے حصے کو ستر ہزار آدمی کھائیں گے ۔
-----------------------
Sahih al-Bukhari 6520

Hadith: Shaitaan ko raazi karne wala amal logo ko haqeer samajna


Bismillahirrahamannirrahim
-----
Hadith: Shaitaan ko raazi karne wala amal logo ko haqeer samajna 

Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Nabi Sallahu Alahi wasallam ne farmaya Shaitan iss baat se na umeed hogaya hai ke tumahri is sir zameen par iski ibadat ki jaye lekin is baat par raazi hogaya hai ke tum (logo ko) haqeer samajte ho.
------
ابو ہریرہرضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ نبی  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: شیطان اس بات سے نا امید ہوگیا ہے کہ تمہاری اس سر زمین پر اس کی عبادت کی جائے لیکن اس بات پر راضی ہوگیا ہے کہ تم (لوگوں کو )حقیر سمجھتے ہو
------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3120

Hadith: Rasool-Allah Sallalahu Alahi WaSallam ne Makhlooq mein sab se behtar Insaan Ibrahim Alahi Salam

Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Rasool-Allah Sallalahu Alahi WaSallam ne Makhlooq mein sab se behtar Insaan Ibrahim Alahi Salam 
------
Anas Bin Malik RadiAllahu Anhu se riwayat hai kehte hain k eek Aami Rasool-Allah Sallahu Alahi waSallam ke pass aaya aur kehne laga. Eh Makhlooq mein sab se behtar Insaan! Toh Rasool-Allah Sallahu Alahi ne WaSallam ne farmaya wo Ibrahim Alahi Salam thy.
------
انس بن مالکرضی اللہ عنہ سے مروی ہے، کہتے ہیں کہ ایک آدمی رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس آیا اور کہنے لگا: اے مخلوق میں سب سے بہتر انسان !تو رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم ے فرمایا: وہ ابراہیم علیہ السلام تھے
------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3157

Hadith: Taqdeer mein joh hone wala hain usse likh kar Allah Subhananhu ne Qalam ko khushk kar diya hain


Bismillahirrahmannirrahim 

Hadith: Taqdeer mein joh hone wala hain usse likh kar Allah Subhananhu ne Qalam ko khushk kar diya hain
--------
Abdullah bin umro bin Aas RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke Allah Subahnahu ne makhlooq ko andhere mein paida farmaya aur un par apna Noor daal diya to jis shakhs taq yeh noor poanch gaya woh hidayat pa gaya aur jis taq nahi pahoncha woh gumraah hogaya. Abdullah RadiAllahu Anhu ne kaha: isi liye mein kehta hon ke jo hone wala hai usse likh kar qalam khushk ho chuka hain.
--------
عبداللہ بن عمرو بن عاص رضی اللہ عنہما سے مرفوعا مروی ہے کہ اللہ تعالیٰ نے مخلوق کو اندھیرے میں پیدا فرمایا: اور ان پر اپنا نورڈالا تو جس شخص تک یہ نور پہنچ گیا وہ ہدایت پاگیا اور جس تک نہیں پہنچا وہ گمراہ ہوگیا۔ عبداللہ رضی اللہ عنہ  نے کہا: اسی لئے میں کہتا ہوں کہ: جو ہونے والا ہے اسے لکھ کر قلم خشک ہو چکا ہے۔
-----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3106

Hadith: Momeen aur Kafir ke maut par Qabr mein pooche jane wale sawal aur uska anjam

Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Momeen aur Kafir ke maut par Qabr mein pooche jane wale sawal aur uska anjam 

------
Abu Huraira RadiAllahu Anhu ne kaha ke Rasool-Allah Sallahu Alahi waSallam ne farmaya, Momin par maut utarti hai aur who (Apni Akhirat ki behtari ka) mushahida karta hai jo karta hai to woh chahta hai ke iski Rooh nikal jaye aur Allah Subhanahu taala ki mulaqaat ko pasand karta hai Momin ki Rooh ko Asman par le jaya jaata hain. Momeen ki roohein is ke paas aati hain, aur zameen par basne wale logon ke bare mein is se poochti hain jab woh rooh kehti hai ke falan ko zameen par chore aaya hon, to yeh baat inhen achi lagti hai aur jab woh kehta hai ke falan marr gaya hai, to woh kehte hain usay hamaray paas to nahi laya gaya aur momin ko is ki qabar mein bithaya jata hai aur is se poocha jata hai is ka RABB kaun hai? woh kehta hai mera RABB Allah hai. is se kaha jata hai tumhara Nabi kaun hai? woh kehta hai : Mere Nabi Mohammad Sallahu Alahi WaSallam hain woh Farishta kehta hai tumhara Deen kya hain? woh kehta hai mera Deen Islam hai tab is ke liye Qabar mein ek darwaaza khol diya jata hai, ya kaha jata hai apne thikaane ki taraf dehko woh qabar dehkta hai to goya woh ek aaraam da bistar ki terhan hoti hai. Lekin agar Allah ka koi dushman ho aur is par Maut uttre aur woh (apna bura Anjaam) dekh leta hai to woh pasand nahi karta ke is ki rooh kabhi bhi nikale. Allah Subhanahu taala bhi is ki mulaqaat ko na pasand karta hai jab woh apni qabar mein baithta hai ya usay bithaya jata hai, to is se kaha jata hai tera RABB kaun hai? woh kehta hai mujhe nahi maloom is se kaha jata hai tumhe nahi maloom. phir is ke liye Jahannum ka ek darwaaza khol diya jata hai, phir usay ek zarb lagai jati hai, jo jin o insan ke ilawa har janwar ko sunai deti hai. phir is se kaha jata hai is terhan soo, jis terhan Manhoos sota hai mein ne Abu Huraira RadiAllahu Anhu se kaha ye Manhoos kaun hota hain? Abu Huraira RadiAllahu Anhune kaha jisay kide makode aur saanp dasee phir is ki qabar tang kar di jati hain

-----
Sahi Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3258

Hadith: Noha (Matam) karne walo ka anjaam


Bismillahirrahmannirrahim


Hadith: Noha (Matam) karne walo ka anjaam
------
Abu Malik Ashri RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Noha karne wali aurat agar apni maut se pehle tauba na kare toh Qayamat ke din use khada kiya jayega is par ek kameez taarcoal (ya ek roghni syal madah jo sanober ke darakht se nikalta hai) ki hogi aur ek kharish ki kameez.
--------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3321

Hadith: Ummat ke bad tareen log



Bismillahirrahmannirrahim



Hadith: Ummat ke bad tareen log 
------
Aisha Radi Allahu Anhu kehti hain k eek aadmi ne andar aane ki ijazat mangi mein Aap (ﷺ) ke paas thi Aap (ﷺ) ne farmaya yeh apne khandan ka bura aadmi hai phir usay ijazat de di aur narmi se baatein karne lagey jab woh chala gaya to mein ne kaha Eh Allah ke Rasool (ﷺ) aap ne is ke baare mein ye baatein kahin, phir is se narmi se baatein karne lag gaye? Aap (ﷺ) ne farmaya Eh Aisha Radi Allahu Anhu logon mein bad tareen woh shakhs hai jise log iski bad kalami ki wajah se chore den

-------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 463

------
Abu malik ashari radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya iss ummat mai se Allah ke behtreen bande wo hai ke jinhe dekh kar Allah subhanahu yaad aa jata hai , aur iss ummat ke badtareen log wo hain jo chugal khor hain aur jo dosto (ya muhabbat karne walo) ke beech mein judayee karwate hain aur jo bequsur (pak daman) logo par gunaho ka ilzam lagate hain 

Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha-3412
---------
Beshaq Jo log kaafir hain , Ahla-e-kitaab (mein se) aur mushrik wo dojakh ki Aag mein parey rahngey (aur) hamesha usmein rahngey , Ye log sab makhluq se badtar hain Beshaq jo log imaan laye aur neik kaam kartey rahey wo tamam makhluq se behtar hain 

Al Quran , Surah Bayyina (98), verse 6-7

Hadith: Bina hisab ke Jannat mein dakhil hone wale shakhs


Bimillahirrahmannirrahim

Hadith: Bina hisab ke Jannat mein dakhil hone wale shakhs 

--------
Hazrat Abu Hurairah radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya meri ummat mein se 70,000 log bina hisab ke jannat mein dakhil honge jinke chehre chand ki tarah chamaka rahe honge , hazrat Ukasha Radi Allahu Anhu apni dharidar chadar sanbhalte huye uthe aur arz ki Ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam mere liye bhi dua kijiye ki Allah subhanahu mujhe unhi mein se bana de , Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne dua farma di ki Eh ALlah Ukasha ko bhi unhi mein se bana de , uske baad Ansar qabeele ke ek aur sahabi khade huye aur arz ki Ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam dya farma dijiye ki Allah subhanhu mujhe bhi unhi mein se kar de , Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya tumse pahle Ukasha dua kara chuke
--------
Sahih Bukhari, 5811

Ibn Abbas Radi Allahu anhuma se rivayat hai ki Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya meri ummat ke 70,000 log bina hisab ke jannat mein jayenge ye wo log honge jo Jhaad-foonk nahi karate hain aur na Shagun lete hain aur apne Rab hi par bharosa rakhte hain
---------
Sahih Bukhari, Vol 7, 6472

Hadith: Deen ki asal iss ka sutoon aur iss ki choti ka bayan


Bismillahirrahmannirrahim

Hadith:  Deen ki asal iss ka sutoon aur iss ki choti ka bayan 
-------
Maaz bin Jabal Radi Allahu Anhu se riwayat hai Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya kya mein tumhein Deen ki asal ,iss ka sutoon aur iss ki choti na bata du meine kaha kyu Nahi Ya Rasool-Allah (Sallallahu Alahih Wasallam) zarur bataye Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Deen ki asal Islam hai aur iss Ka sutoon ( Sahara) Namaz hai aur iss ki choti Jihad hai phir Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya kya mein tumehin iss tammam baaton Ka jis cheez par daromadar ( ikhtiyar) hai wo na bata du ? Meine Kaha ji Haan Allah ke Nabi phir Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne apni Zuban Mubarak pakdi aur farmaya issay apne Qabu mein rakho mein ne Kaha Allah ke Nabi kya ham Jo Kuch bolte hai us par pakde jaenge ? Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya tumari Maa tum par roye Maaz Radi Allahu Anhu log apni zubano ke badh badh hi ki wajah se tum aundhe muh ya nathnon ke bal Dozakh mein dale jaenge
----
آپ نے پھر فرمایا: ”کیا میں تمہیں دین کی اصل، اس کا ستون اور اس کی چوٹی نہ بتا دوں؟“ میں نے کہا: کیوں نہیں؟ اللہ کے رسول ( ضرور بتائیے ) آپ نے فرمایا: ”دین کی اصل اسلام ہے ۲؎ اور اس کا ستون ( عمود ) نماز ہے اور اس کی چوٹی جہاد ہے“۔ پھر آپ نے فرمایا: ”کیا میں تمہیں ان تمام باتوں کا جس چیز پر دارومدار ہے وہ نہ بتا دوں؟“ میں نے کہا: جی ہاں، اللہ کے نبی! پھر آپ نے اپنی زبان پکڑی، اور فرمایا: ”اسے اپنے قابو میں رکھو“، میں نے کہا: اللہ کے نبی! کیا ہم جو کچھ بولتے ہیں اس پر پکڑے جائیں گے؟ آپ نے فرمایا: ”تمہاری ماں تم پر روئے، معاذ! لوگ اپنی زبانوں کے بڑ بڑ ہی کی وجہ سے تو اوندھے منہ یا نتھنوں کے بل جہنم میں ڈالے جائیں گے؟
---
Then he said: 'Shall I not inform you about the head of the entire matter, and its pillar, and its hump?' I said: 'Of course O Messenger of Allah! He said: 'The head of the matter is Islam, and its pillar is the Salat, and its hump is Jihad.' Then he said: 'Shall I not inform you about what governs all of that?' I said: 'Of course O Messenger of Allah!' He (ﷺ) said: So he grabbed his tongue. He said 'Restrain this.' I said: 'O Prophet of Allah! Will we be taken to account for what we say?' He said: 'May your mother grieve your loss O Mu'adh! Are the people tossed into the Fire upon their faces, or upon their noses, except because of what their tongues have wrought' 
----
Jamia Tirmazi Volume 5  2616 , Hasan

Jo Musalman inn addatoh ko iktiyaar karega toh Jannat mein Rasool-Allah Sallalahu Alahi waSallam haath pakad ke dhakeel farmayege.

Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Jo Musalman inn addatoh ko iktiyaar karega toh Jannat mein Rasool-Allah Sallalahu Alahi waSallam haath pakad ke dhakeel farmayege.
-------
Abu Zarr RadiAllahu Anhu ne kaha Eh Allah ke Rasool Salalahu Alahi Wasallam! kaunsa Amal bande ko Aag se nijaat deta hai? Aap Salalahu Alahi Wasallam ne farmaya : Allah par Eman, mein ne kaha Eh Allah ke Nabi Salalahu Alahi Wasallam kya Eman ke saath koi amal bhi hai? Aap Salalahu Alahi Wasallam ne farmaya jo Allah Subhanahu taala ne usay diya hai is mein se kharch kare mein ne kaha Eh Allah ke Rasool Salalahu Alahi Wasallam! agar woh faqeer (mohtaaj) ho kharch karne ke liye koi cheez nah paata ho to phir Aap ka kya khayaal hai? Aap Salalahu Alahi Wasallam ne farmaya Neki ka hukum de aur Buraiee se mana kare mein ne kaha Eh Allah ke Rasool Salalahu Alahi Wasallam! agar woh kamzor (aajiz) ho neki ka hukum karne, buraiee se mana karne ki taaqat nah rakhta ho fir aap ka kya khayaal hai? Aap Salalahu Alahi Wasallam ne farmaya kisi na samajh (be waqoof) ke liye kaam kare mein ne kaha agar woh khud na samajh ho koi kaam karne ki taaqat nah rakhta ho to phir Aap ka kya khayaal hai? Aap Salalahu Alahi Wasallam ne farmaya maghloob (mazloom) ki madad kare mein ne kaha agar woh kamzor ho kisi mazloom ki madad karne ki taaqat nah rakhta ho to Aap ka kya khayaal hai? Aap Salalahu Alahi Wasallam ne farmaya tum kya chahtay ho tum apne bhai mein koi bhalai chodohge bhi? to logon se takleef rok le mein ne kaha Eh Allah ke Rasool Salalahu Alahi Wasallam! jab woh yeh kaam karega to kya Jannat mein daakhil ho jayega? Aap Salalahu Alahi Wasallam ne farmaya jo musalman un mein se kisi aadat ko ikhtiyar karta hai to woh is ka haath pakar kar usay jannat mein daakhil kar dengi.
----------
  ابو ذر‌رضی اللہ عنہ نے کہا: میں نے کہا اے اللہ کے رسول! کونسا عمل بندے کو آگ سے نجات دیتا ہے ؟ آپ نے فرمایا: اللہ پر ایمان  ، میں نے کہا: اے اللہ کے نبی کیا ایمان کے ساتھ کوئی عمل بھی ہے؟ آپ نے فرمایا: جو اللہ تعالیٰ نے اسے دیا ہے اس میں سے خرچ کرے میں نے کہا اے اللہ کے رسول! اگر وہ فقیر(محتاج) ہو خرچ کرنے کے لئے کوئی چیز نہ پاتا ہو تو پھر آپ کا کیا خیال ہے ؟ آپ نے فرمایا: نیکی کا حکم دے اور برائی سے منع کرے۔ میں نے کہا اے اللہ کے رسول! اگر وہ کمزور( عاجز) ہو نیکی کا حکم کرنے ،برائی سے منع کرنے کی طاقت نہ رکھتا ہوپھر آپ کا کیا خیال ہے؟ آپ نے فرمایا: کسی نا سمجھ(بے وقوف ) کے لئے کام کرے۔ میں نے کہا: اگر وہ خود نا سمجھ ہو کوئی کام کرنے کی طاقت نہ رکھتا ہو تو پھر آپ کا کیا خیال ہے؟ آپ نے فرمایا: مغلوب (مظلوم) کی مدد کرے۔ میں نے کہا: اگر وہ کمزور ہو کسی مظلوم کی مدد کرنے کی طاقت نہ رکھتا ہو تو آپ کا کیا خیال ہے؟ آپ نے فرمایا: تم کیا چاہتے ہو تم اپنے بھائی میں کوئی بھلائی چھوڑوگے بھی؟ تو لوگوں سے تکلیف روک لے۔ میں نے کہا: اے اللہ کے رسول!جب وہ یہ کام کرے گا تو کیا جنت میں داخل ہو جائے گا؟ آپ نے فرمایا: جو مسلمان ان میں سے کسی عادت کو اختیار کرتا ہے تو وہ اس کا ہاتھ پکڑ کر اسے جنت میں داخل کر دے گی
------------
Sahih hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 172

Hadith: Allah Subhanahu ke naam ke muqable mein koi cheez bhaari nahi ho sakti





Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Allah Subhanahu ke naam ke muqable mein koi cheez bhaari nahi ho sakti

{أَشْهَدُ أَنْ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ وَأَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ}
-------------
Abdullah Bin umro? bayan karte hain, rasool Allah ? ny farmaya rozِe qayamat Allah meri ummat ke ek aadmi ko sari makhlooq ke samnay laaye ga aur is ke ninanway (99) register kholega, aur har register ki lambai had nazar taq hogi, phir Allah taala farmaiye ga kya tum un mein se kisi cheez ka inkaar karte ho ( ke tum ny nah ki ho ) ya mere likhnay walon ny, hifazat karne walon ny tum par koi zulm kiya ho? woh arz karega, RABB jee nahi, Allah farmaiye ga kya tere paas koi izr hai woh arz karega RABB jee nahi, Allah farmaiye ga haan hamare paas teri ek neki hai, kyunkay aaj tum par koi zulm nahi hoga, ek card nikala jaye ga, is par darj ho ga

أَشْهَدُ أَنْ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ وَأَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ
 Mein gawahi deta hon ke Allah ke siwa koi mabood barhaq nahi, aur yeh ke Mohammad (ﷺ)  is ke bande aur is ke Rasool hain

Allah farmaiye ga wazan par haazir ho, woh arz karega RABB jee un rajstron ke muqable mein is card ki kya haisiyat hai? chunancha Allah woh farmaiye ga aaj tum par koi zulm nahi kiya jayega, farmaya Ek parlle mein woh dafatir rakhay jayenge aur dosray parallel mein woh card rakha jaye ga to woh dafatir halkay par jayen ge aur woh card bhaari ho jaye ga, Allah ke naam ke muqable mein koi cheez bhaari nahi ho sakti.'
------------------
 عبداللہ بن عمرو ؓ بیان کرتے ہیں ، رسول اللہ ﷺ نے فرمایا :’’ روزِ قیامت اللہ میری امت کے ایک آدمی کو  ساری مخلوق کے سامنے لائے گا اور اس کے ننانوے رجسٹر کھولے گا ، اور ہر رجسٹر کی لمبائی حد نظر تک ہو گی ، پھر اللہ تعالیٰ فرمائے گا : کیا تم ان میں سے کسی چیز کا انکار کرتے ہو (کہ تم نے نہ کی ہو) ؟ یا میرے لکھنے والوں نے ، حفاظت کرنے والوں نے تم پر کوئی ظلم کیا ہو ؟ وہ عرض کرے گا ، رب جی ! نہیں ، اللہ فرمائے گا : کیا تیرے پاس کوئی عذر ہے ؟ وہ عرض کرے گا : رب جی ؟ نہیں ، اللہ فرمائے گا : ہاں ہمارے پاس تیری ایک نیکی ہے ، کیونکہ آج تم پر کوئی ظلم نہیں ہو گا ، ایک کارڈ نکالا جائے گا ، اس پر درج ہو گا : میں گواہی دیتا ہوں کہ اللہ کے سوا کوئی معبود برحق نہیں ، اور یہ کہ محمد (ﷺ) اس کے بندے اور اس کے رسول ہیں ۔ اللہ فرمائے گا : وزن پر حاضر ہو ، وہ عرض کرے گا : رب جی ! ان رجسٹروں کے مقابلے میں اس کارڈ کی کیا حیثیت ہے ؟ چنانچہ اللہ وہ فرمائے گا : آج تم پر کوئی ظلم نہیں کیا جائے گا ، فرمایا : ایک پلڑے میں وہ دفاتر رکھے جائیں گے اور دوسرے پلڑے میں وہ کارڈ رکھا جائے گا تو وہ دفاتر ہلکے پڑ جائیں گے اور وہ کارڈ بھاری ہو جائے گا ، اللہ کے نام کے مقابلے میں کوئی چیز بھاری نہیں ہو سکتی ۔‘‘ 
-----------------
Sahih Hadees
Mishkat ul Masabeeh Hadees # 5559

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...