Bimillahirrahmannirrahim
Hadith: Bina hisab ke Jannat mein dakhil hone wale shakhs
--------
Hazrat Abu Hurairah radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya meri ummat mein se 70,000 log bina hisab ke jannat mein dakhil honge jinke chehre chand ki tarah chamaka rahe honge , hazrat Ukasha Radi Allahu Anhu apni dharidar chadar sanbhalte huye uthe aur arz ki Ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam mere liye bhi dua kijiye ki Allah subhanahu mujhe unhi mein se bana de , Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne dua farma di ki Eh ALlah Ukasha ko bhi unhi mein se bana de , uske baad Ansar qabeele ke ek aur sahabi khade huye aur arz ki Ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam dya farma dijiye ki Allah subhanhu mujhe bhi unhi mein se kar de , Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya tumse pahle Ukasha dua kara chuke
--------
Sahih Bukhari, 5811
Ibn Abbas Radi Allahu anhuma se rivayat hai ki Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya meri ummat ke 70,000 log bina hisab ke jannat mein jayenge ye wo log honge jo Jhaad-foonk nahi karate hain aur na Shagun lete hain aur apne Rab hi par bharosa rakhte hain
---------
Sahih Bukhari, Vol 7, 6472
No comments:
Post a Comment