Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 18 February 2020

Jis Musalman mein inmein se majuda koi bhi aadat ho aur wo uss addat ko ikhtiyaar karle toh Rasool-Allah Sallalahu Alahi Wasallam uska haath pakad ke usse Jannat mein daakhil kar denge?


❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hain!

Sawal: Jis Musalman mein inmein se majuda koi bhi aadat ho aur wo uss addat ko ikhtiyaar karle toh Rasool-Allah Sallalahu Alahi Wasallam uska haath pakad ke usse Jannat mein daakhil kar denge?

A: Allah Subhanahu par Eman lana
B: bhatkay huwe ko rasta dikhana
C: Allah Subhanahu ne jo maal diya hai usmein se karch karna
D: Neki ka hukum dena aur Burai se mana karna
E: Mazloom ki madad karna
F: Salam ka jawab dena
G: Logo se takleef ko rok lena
H: Emaan ke khatir shaheed hone wale

I: Sahi Jawab ka Intezaar


**************
Sahi Jawab - ACDEG✅

Reference📚:

Abu Zarr RadiAllahu Anhu ne kaha Eh Allah ke Rasool Salalahu Alahi Wasallam! kaunsa Amal bande ko Aag se nijaat deta hai? Aap Salalahu Alahi Wasallam ne farmaya : Allah par Eman, mein ne kaha Eh Allah ke Nabi Salalahu Alahi Wasallam kya Eman ke saath koi amal bhi hai? Aap Salalahu Alahi Wasallam ne farmaya jo Allah Subhanahu taala ne usay diya hai is mein se kharch kare mein ne kaha Eh Allah ke Rasool Salalahu Alahi Wasallam! agar woh faqeer (mohtaaj) ho kharch karne ke liye koi cheez nah paata ho to phir Aap ka kya khayaal hai? Aap Salalahu Alahi Wasallam ne farmaya Neki ka hukum de aur Buraiee se mana kare mein ne kaha Eh Allah ke Rasool Salalahu Alahi Wasallam! agar woh kamzor (aajiz) ho neki ka hukum karne, buraiee se mana karne ki taaqat nah rakhta ho fir aap ka kya khayaal hai? Aap Salalahu Alahi Wasallam ne farmaya kisi na samajh (be waqoof) ke liye kaam kare mein ne kaha agar woh khud na samajh ho koi kaam karne ki taaqat nah rakhta ho to phir Aap ka kya khayaal hai? Aap Salalahu Alahi Wasallam ne farmaya maghloob (mazloom) ki madad kare mein ne kaha agar woh kamzor ho kisi mazloom ki madad karne ki taaqat nah rakhta ho to Aap ka kya khayaal hai? Aap Salalahu Alahi Wasallam ne farmaya tum kya chahtay ho tum apne bhai mein koi bhalai chodohge bhi? to logon se takleef rok le mein ne kaha Eh Allah ke Rasool Salalahu Alahi Wasallam! jab woh yeh kaam karega to kya Jannat mein daakhil ho jayega? Aap Salalahu Alahi Wasallam ne farmaya jo musalman un mein se kisi aadat ko ikhtiyar karta hai to woh is ka haath pakar kar usay jannat mein daakhil kar dengi.
----------
Sahih hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 172

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...