Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 20 January 2020

Hidayat , taqwa , paakdamani, aur beniyazi ke liye dua







Bismillahirrahmanirrahim

Hidayat , taqwa , paakdamani, aur beniyazi ke liye dua

اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ الْهُدَى وَالتُّقَى وَالْعَفَافَ وَالْغِنَى

Allahumma inni As Alukal-huda Wat-tuqa, Wal-afafa Wal-ghina.

Eh Allah main tujhse hidayat , taqwa , pakdamani, aur beniyaz hone ka sawal karta hu

Jamia Tirmizi, Jild 2, 1413-Sahih


Allahumma inni Asaluka Jannat-Al-Firdaus






SubhanAllahi wa biHamdihi, Subhan-Allahil-azeem



As Salamu Alekum and Walekum As Salam,








Sawal: Inmein se wo kaunsa Zulm hai joh Allah Subhanahu bakhsh dega

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Inmein se wo kaunsa Zulm hai joh Allah Subhanahu bakhsh dega

A: Jhoot
B: Qatl
C: Geebat
D: Zina
E: Fasaad
F: Nikah
G: Gussa
H: Inmein se koi nahi

I: Sahi Jawab ka Intezaar


****************************

Sahi Jawab - H✅

Jo Zulm hai jo bande aur uske RABB ke darmiyan hain

📚Reference:
------
Anas Radi Allahu Anhu se marfua marwi hai ke zulm teen qisam ke hain Ek zulm ko Allah Subahanhu taala nahi chhorey ga, aur Ek zulm ko bakhash dega aur teesra zulm bakhsha nahi jayega woh zulm jo bakhsha nahi jaye ga woh Shirk hai, jisay Allah Subahanhu taala maaf nahi karega. aur woh zulm jisay Allah Subahanhu taala bakhash dega to woh yeh zulm hai jo bande aur is ke RABB ke darmiyan hai, aur woh zulm jisay chorra nahi jayega woh bandon ke zulm hain, Allah Subahanhu taala Ek dosray ko badla lekar dega.
-----
انس  رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے كہ ظلم تین قسم كے ہیں: ایك ظلم كو اللہ تعالیٰ نہیں چھوڑے گا، اور ایك ظلم كو بخش دے گا اور تیسرا ظلم بخشا نہیں جائے گا۔ وہ ظلم جو بخشا نہیں جائے گا وہ شرك ہے، جسے اللہ تعالیٰ معاف نہیں كرے گا اور وہ ظلم جسے اللہ تعالیٰ بخش دے گا تو وہ یہ ظلم ہے جو بندے اور اس كے رب كے درمیان ہے اور وہ ظلم جسے چھوڑا نہیں جائے گا وہ بندوں كے ظلم ہیں ، اللہ تعالیٰ ایك دوسرے كو بدلہ لے كر دے گا
-------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1056

Sawal: Allah Subhanahu ne inmein se kisse zariya e taleem banaya hain

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Allah Subhanahu ne inmein se kisse zariya e taleem banaya hain

A: Maa
B: Majlis
C: Aleem
D: Qalam
E: Quran
F: Rasool-Allah Sallahu Alahi WaSallam
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar


*****************************


Sahi Jawab - D (Qalam/Pen)✅

Reference📚:
-------
Rasool-Allah Sallahu Alahi WaSallam ki nabuwat ki ibtida sachey khuwabon se ki gayi aur kaha
«اقرأ باسم ربك الذي خلق * خلق الإنسان من علق * اقرأ وربك الأكرم * الذي علم بالقلم‏»
Ke app padho apne parwadigar ke naam ki madad se jis ne sab ko paida kiya hain, jis ne Insan ko khoon ke lothade se banaya Aap padha kijiye aur Aap ka parwadigar bada Kareem hain jis ne Qalum ko zariya taleem banaya hain.
------
Narrated `Aisha: The commencement of (the Divine Inspirations to) Allah's Messenger (ﷺ) was in the form of true dreams. The Angel came to him and said, "Read! In the Name of your Lord Who has created all exists), has created man from a clot. Read! And your Lord is Most Generous, Who has taught (the writing) by the pen. (96.1-4)
------
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کی نبوت کی ابتداء سچے خوابوں سے کی گئی اور کہا «اقرأ باسم ربك الذي خلق * خلق الإنسان من علق * اقرأ وربك الأكرم * الذي علم بالقلم‏» کہ ”آپ پڑھئے، اپنے پروردگار کے نام کی مدد سے جس نے سب کو پیدا کیا ہے، جس نے انسان کو خون کے لوتھڑے سے بنایا۔ آپ پڑھا کیجئے اور آپ کا پروردگار بڑا کریم ہے، جس نے قلم کو ذریعہ تعلیم بنایا۔“
-------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 4956

Sawal: Waledain se neki karne ke kya fahide hai?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaiya hain!

Sawal: Waledain se neki karne ke kya fahide hai?

A: Sehat
B: Hidayat
C: Taqwa
D: Lambi Umar
E: Asaan maut
F: Rizq
G: Logo mein mehboob ban jata hai

H: Sahi Jawab ka Intezaar?


*************************************


Sahi Jawab - DF✅

Reference📚:
-----------
Mafuhm e hadith Walidain se neki aur sila rehmi karne ke fazilat.
-----------
Sayedna Anas bin Malik RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallahu Alahi WaSallam ne farmaya Jo aadmi yeh pasand karta hai ke is ki Umar barda di jaye aur is ke rizq mein izafah kar diya jaye to woh apne walidain se neki kare aur sila rehmi kare.
----------.
۔ سیدنا انس بن مالک رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: جو آدمی یہ پسند کرتا ہے کہ اس کی عمر بڑھا دی جائے اور اس کے رزق میں اضافہ کر دیا جائے تو وہ اپنے والدین سے نیکی کرے اور صلہ رحمی کرے۔
----------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 8989

Sawal: Rasool-Allah Sallellahu Alaihi wa Sallam ne Kaunse shaqs ke liye farmaya ke wo islam ka quladah apni gardan se utaar phenke?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Rasool-Allah Sallellahu  Alaihi wa Sallam ne Kaunse shaqs ke liye farmaya ke wo islam ka quladah apni gardan se utaar phenke?

A: Jis ne kabhi bhi fajar ki namaz ba jamat ada nahin ki
B: Nahaq kisi ka qatal karne wala
C: Jis ne Jamaat se doori ikhtiyaar ki
D: Jo apni jaan ke kauf ke wajah se maidan e jung se baagh gaya
E: jisne hurmat wale mahine ka ehtaraam nahi kiya
F: joh sunnato per amal nahi karta
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezaar

****************************


Sahi Jawab - C✅

Reference📚:
-----------
Rasool-Allah Sallahu Alahi WaSallam ne farmaya Jiss ne Jamaat se ek balisht bhi alhaidgi ikhtiyaar ki to is ne islam ka Quladah apni gardan se utaar phenka
----------
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا : ” جس نے جماعت ۲؎ سے ایک بالشت بھی علیحدگی اختیار کی تو اس نے اسلام کا قلادہ اپنی گردن سے اتار پھینکا “ ۔
------------
Narrated AbuDharr: The Prophet (ﷺ) said: He who separates from the community within a span takes off the noose of Islam from his neck.
-----------------
Reference : Sunan Abi Dawud 4758
In-book reference : Book 42, Hadith 163
English translation : Book 41, Hadith 4740

Sawal: Inmein se wo kya hai jo barkat ko mita dene wali hoti hain

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Inmein se wo kya hai jo barkat ko mita dene wali hoti hain

A: Garam Garam khana khane se
B: Zaida sone se
C: Bahut zaida baat karne se
D: pait bhar khana khane se
E: Sadqa rokne se
F: Jhooti Gawahi dene se
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Note❗ : Agar jawab G hai to apna jawab likhiye

******************************

Sahi Jawab - G✅

Mahfhum e hadith: (Samaan baichte waqt dukandaar ke) Qasam khanay se samaan toh jaldi bikk jata hai lekin woh qasam barkat ko mita dene wali hoti hai

Reference📚:
---------
Abu Huraira RadiAllahu Anhu ke bayan kiya ke mein ne khud Nabi Kareem Sallahu Alahi WaSallam ko yeh farmatay huwe suna ke (samaan baichte waqt dukandaar ke) qasam khanay se samaan toh jaldi bikk jata hai lekin woh qasam barkat ko mita dene wali hoti hai.
-------
Narrated Abu Huraira:
I heard Allah's Messenger (ﷺ) saying, "The swearing (by the seller) may persuade the buyer to purchase the goods but that will be deprived of Allah's blessing."
--------
 ابوہریرہ رضی اللہ عنہ نے بیان کیا کہ میں نے خود نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم کو یہ فرماتے ہوئے سنا کہ ( سامان بیچتے وقت دکاندار کے ) قسم کھانے سے سامان تو جلدی بک جاتا ہے لیکن وہ قسم برکت کو مٹا دینے والی ہوتی ہے
------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 2087

Sawal: Jannat mein kuch hisse aise hain jinko Jannati log lawaris samajh kar le lete hain wo hisse kiske hote hain ?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Jannat mein kuch hisse aise hain jinko Jannati log lawaris samajh kar le lete hain wo hisse kiske hote hain ?

A. Shaheed
B. Hafiz
C. Rozedar
D. Sila rahmi krne wala
E. Mujahid
F. Hijrat karne wale
G. Inmein se koi nahi

H. Sahi Jawab ka Intezaar

Note: Agar Jawab G hai toh apna jawab likhiye❗

******************************************

Sahi Jawab - G✅

Reference📚:
------
Rasool-Allah Sallahu Alahi WaSallam ne farmaya tum mein se har ek ke do thikaane hain Ek thikana Jannat mein aur ek thikana Jahannum mein, jab woh marta hani aur Jahannum mein chala jata hai to Jannat wale is ke hissay ko lawaris samajh kar le letay hain Allah taala ke qoul : «أولئك هم الوارثون» yahi log waris honge (سورة المومنون ayat No. 10) ka yahi matlab hai.
------------
It was narrated from Abu Hurairah that the Messenger of Allah (ﷺ) said: “There is no one among you who does not have two abodes: An abode in Paradise and an abode in Hell. If he dies and enters Hell, the people of Paradise inherit his abode. This is what Allah says: ‘These are indeed the inheritors.’” [23:10]
--------------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  تم میں سے ہر ایک کے دو ٹھکانے ہیں: ایک ٹھکانا جنت میں اور ایک ٹھکانا جہنم میں، جب وہ مرتا ہے اور جہنم میں چلا جاتا ہے تو جنت والے اس کے حصے کو لاوارث سمجھ کر لے لیتے ہیں، اللہ تعالیٰ کے قول: «أولئك هم الوارثون»  یہی لوگ وارث ہوں گے   ( سورة المومنون: 1 )  کا یہی مطلب ہے۔
----------------
Sahih Hadees
Sunnan e Ibn e Maja Hadees # 4341

Sawal: Inmein se wo kaun hai joh Jannat mein kabhi dakhil nahi hoga

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Inmein se wo kaun hai joh Jannat mein kabhi dakhil nahi hoga

A: Soodkhor
B: Zani
C: Juwa khele na aadi
D: Sharab peene ka aadi
E: Halala karne wale
F: Jhoot bolne ka aadi
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

*******************************************

Sahi Jawab - D✅

Reference📚:
-------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi WaSallam ne farmaya teen tarah ke log kabhi jannat mein dakhil nahi honge pahla apne waldein ki nafarmani karne wala dusra sharab peene ka aadi aur teesra Ehsana karke jatanewala
-------
Sunan Nasaii, Vol 2, 473-Hasan

Sahi Milan kijiye 1. Aankh ka Zina 2. Zuban ka Zina 3. Dil ka Zina

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sahi Milan kijiye

1. Aankh ka Zina
2. Zuban ka Zina
3. Dil ka Zina
--------------
A: Bure khayalat
B: Gair mahram se baat karna
C: Gair mahram ke saath safar karna
D: Gair mahram ko dekhna
E: kisi ko Gali galoch karna
F: Khawahish aur Shahwat
G: Gair mahram mard aur aurat tanhayee mein ho

H: Sahi Jawab ka Intezaar

***************************

Sahi Jawab - 1D/2B/3F✅

Reference📚:
---------
Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Nabee Kareem Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ki Allah Subhanahu ne Insaan ke liye Zina ka koi na koi hissa likh diya hai, jis sey usey kisi bhi tarah ( na chahte huye bhi) Guzarna hai,islitiye isliye Aankh ka Zina ( Gair mahram ko) dekhna hai, Zuban ka Zina Gair Mahram se baat karna hai, Dil ka zina khwahish aur Shahwat hai aur Sharmgaah iski tasdeeq karti hai ya isey jhutla deti hai
-----
{Sahih Bukhari, Vol 8, 6612}

Sawal: RasoolAllah Sallahu Alahi WaSallam ne ek baar ek he hadith mein kuch kaam karne ka hukm diya aur kuch kaam karne ko mana kaha, Inmein se wo kaun kaunse kaam hai jinka hukum Nabi Kareem Sallahu Alahi WaSallam ne diya tha?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hain!

Sawal: RasoolAllah Sallahu Alahi WaSallam ne ek baar ek he hadith mein kuch kaam karne ka hukm diya aur kuch kaam karne ko mana kaha, Inmein se wo kaun kaunse kaam hai jinka hukum Nabi Kareem Sallahu Alahi WaSallam ne diya tha?

A: Qarzdaar ke saath Sila Rehmi karna
B: Janaze ke saath chalna
C: Mareez ki ayadat karna
D: Dawal qabool karna
E: Mazak mein bhi jhooth mat bolna 
F: Qasam poori karna
G: Salam ka jawab dena
H: Cheenk par jawab dena Ya RahmakAllah
I: Mazloom ki madad karna

J: Sahi Jawab ka Intezaar

*****************************************

Sahi Jawab - BCDFGHI✅

Reference📚:
------
Nabi Kareem Sallahu Alahi WaSallam ne saat kamon ka hukum diya aur saat kamon se roka hamein Aap Sallahu Alahi WaSallam ne hukum diya tha Janaze ke saath chalne, Mareez ki mizaaj pursi, Dawat qubool karne, Mazloom ki madad karne ka, Qasam poori karne ka, Salam ka jawab dene ka, Cheenk par « Ya RahmakAllah » kehne ka aur Aap Sallahu Alahi WaSallam ne hamein mana kiya tha chandi ke bartan (istemaal mein laane) se, sone ki anguthi pehan ne se, Resham aur Dibej ( ke kapdoh ke pehanne) se, Qassi se, Istabraq se
-----------
Narrated Al-Bara' bin `Azib: Allah's Messenger (ﷺ) ordered us to do seven things and forbade us to do other seven. He ordered us: to follow the funeral procession. to visit the sick, to accept invitations, to help the oppressed, to fulfill the oaths, to return the greeting and to reply to the sneezer: (saying, "May Allah be merciful on you," provided the sneezer says, "All the praises are for Allah,"). He forbade us to use silver utensils and dishes and to wear golden rings, silk (clothes), Dibaj (pure silk cloth), Qissi and Istabraq (two kinds of silk cloths).
-------------
Sahih Hadees
Sahih al-Bukhari 1239

Sawal: Inmein se wo kaunsa amal hai jis ke zariye se Allah Subhanahu gunah mita dete hai aur darjat ko buland farma dete hai?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Inmein se wo kaunsa amal hai jis ke zariye se Allah Subhanahu gunah mita dete hai aur darjat ko buland farma dete hai?

A: Sakhti mein bhi wazu karna
B: Mareez ki ayadat karna
C: Kisi Gulam ko azad karwana
D: Momeen ki madad karne ke liye chal kar jana
E: Maidane jung mein shaheed hona
F: Takbeer padne par
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Note: Agar Jawab G hai toh apna jawab likhiye❗

**************************************

Sahi Jawab - A✅

Reference📚:
------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya kya main tumehin aisee Cheez se aagah na Karu jiske zariye se Allah Subhanahu gunah Mita deta hai aur darjat buland farma deta hai Sahaba Radi Allahu Anhuma ne arz Kiya Ya Rasool-Allah (Sallallahu Alahih Wasallam) kyu nahi Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Taklif ke bawajud achchi tarah Wazu Karna Masjid tak zyada Qadam chalna , Ek Namaz ke bad dusri Namaz ka intezar karna toh yahi rabbat  hai (yani Nafs ko ibadat ke liye rokna)
------
Sahih Muslim Jild 1 , 587

Sawal: Gunah karne ki wajah se Insaan inmein se kaunsi cheez se mehroom kar diya jata hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Gunah karne ki wajah se Insaan inmein se kaunsi cheez se mehroom kar diya jata hain?

A: Sajda karne se mehroom hojata
B: Lambi umar se mehroom hojata
C: Hidayat se mehroom hojata
D: Rizaq se mehroom hojata
E: Neik Aulad se mehroom hojata
F: Achi Sehat se mehroom hojata
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Note: Agar jawab G hai toh apna sahi jawab likhiye❗.


************************

Sahi Jawab - D✅

Reference📚:
-------
Syedna Soban RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya besahk Aadmi Gunah ka irtikaab karne ki wajah se rizaq se mahroom kar diya jata hai, aur koi cheez taqdeer ko radd nahi kar sakti, ma siwaye dua ke aur sirf neki he hai, jo Umar mein izafah karti hai
------------
 ۔ سیدنا ثوبان رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  بیشک آدمی گناہ کا ارتکاب کرنے کی وجہ سے رزق سے محروم کر دیا جاتا ہے، اور کوئی چیز تقدیر کو ردّ نہیں کر سکتی، ما سوائے دعا کے اور صرف نیکی ہی ہے، جو عمر میں اضافہ کرتی ہے۔
------------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 5583

Sawal: Jo shaqs Allah Subhanhau se darta hai aur Sila Rehmi karta hai toh wo kaun kaunsi niyamate hasil kar sakta hain

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hain

Sawal: Jo shaqs Allah Subhanhau se darta hai aur Sila Rehmi karta hai toh wo kaun kaunsi niyamate hasil kar sakta hain

A: Lambi Umar
B: Rizq mein izafah
C: Buri maut se bach jata hai
D: Neik Aulad
E: Logo mein mehboob ban jata hai
F: har kaam mein Allah ki madad hasil hoti hai
G: Achchi Sehat

H: Sahi Jawab ka Intezaar


*******************************

Sahi Jawab - ABC✅

Reference📚:
-----
Syedna Ali RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jis ko yeh baat achi lagti hai ke is ki Umar lambi kar di jaye aur is ke rizq mein izafah kar diya jaye aur buri mout ko is se dafaa kar diya jaye to woh Allah taala se daray aur sila rehmi kare.
-----
۔ سیدنا علی رضی اللہ عنہ بیان کرتے ہیں کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: جس کو یہ بات اچھی لگتی ہے کہ اس کی عمر لمبی کر دی جائے اور اس کے رزق میں اضافہ کر دیا جائے اور بری موت کو اس سے دفع کر دیا جائے تو وہ اللہ تعالیٰ سے ڈرے اور صلہ رحمی کرے۔
----
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 9049

Sawal: Inmein se wo kaunse amal hai jiss ki wajah se pichle gunah bakhsh diye jate hai

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Inmein se wo kaunse amal hai jiss ki wajah se pichle gunah bakhsh diye jate hai

A: Raat ko sone ki dua padne par
B: Gunah karke Tauba karne par
C: Sajde mein Rabbana Aatina fidduniya...padne per
D: Har mahine 13 14 15 ke roze rakhe se
E: Har hafte Peer aur Jumerat ke roze rakhne se
F: Ruku mein Allahumma-ghfir li, warhamni padne se
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Note: Agar jawab G hai toh apna jawab likiye❗


*****************************

Sahi Jawab- G✅

Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi WaSallam ne farmaya jab Imam Aameeen kahe to tum bhi Aameeen kaho, is liye ke farishtay bhi Aameeen kehte hain, aur jis ki Aameeen farishton ki Aameeen se mil jaye, to is ke pichlle gunah bakhash dyie jayen ge.
------
 It was narrated from Abu Hurairah that the Messenger of Allah (ﷺ) said: “When the reciter says Amin, then say Amin, for the angels say Amin, and if a person’s Amin coincides with the Amin of the angels, his previous sins will be forgiven.”
-----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  جب امام آمین کہے تو تم بھی آمین کہو، اس لیے کہ فرشتے بھی آمین کہتے ہیں، اور جس کی آمین فرشتوں کی آمین سے مل جائے، تو اس کے پچھلے گناہ بخش دئیے جائیں گے
-----------------
Sahih Hadees
Sunnan e Ibn e Maja Hadees # 851

Sawal: Inmein se kis shaqs ke liye Rasool-Allah SallAllahu Aaihi wasallam ne farmaya ke mein uss shaqs ke liye Jannat ke beech mein ek ghar ka zamin leta ho

❗Only-Quran-Hadith-Quran❗

Sawal: Inmein se kis shaqs ke liye Rasool-Allah SallAllahu Aaihi wasallam ne farmaya ke mein uss shaqs ke liye Jannat ke beech mein ek ghar ka zamin leta ho

A: Jo Mazaq mein bhi jhoot na bole
B: Jo haq par hone ke bawakood jhagda chorh de
C: Jo shaqti mein bhi achi tarah wazu kare
D: Aisa shaqs jiska dil masjid mein he laga ho
E: Aisa shaqs jiske Akhlaq bahut aala ho
F: Jo sache dil se Lailaha ilalah kahe
G: Inmein se koi nah

H: Sahi Jawab ka intezaar

**************************

Sahi Jawab - A✅

Reference📚:
------
Abu Umamah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya
Main jannat ke charon aur ek ghar ka zamin hu jo Haq par honey ke bawajud jhagda chorh de, aur us shaksh ke liye jannat ke beech mein ek ghar ka zamin hu jo mazaq mein bhi jhoot bolna chorh de , aur us shaksh ke liye Jannat mein Aala Ghar ka zamin hu jiska Akhlaq bahut aala ho
-----
Sunan Abu Dawud, Vol 3, 1372-Sahih

Sawal: Inmein se wo kaun kaunsi aadate hai joh halak karne wali hain?

❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

Jawab ek se ziyada hain❗

Sawal: Inmein se wo kaun kaunsi aadate hai joh halak karne wali hain?

A: Dantoh ko tarashna
B: Aag se daghna
C: Khud pasandi
D: Zaida hasna
E: Intehayi bukhli karna
F: Naqli baal lagawana
G: Khawahish parasti

H: Sahi jawab ka intezar hai

************************************


Sahi jawab - CEG✅

Reference📚:
-----
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya teen aadate halak karne wali hain aur teen aadate najat dilane wali hai Intehayi bukhl, khawahish parasti aur khud pasandi teen aadate halak karne wali ye hain. Aur teen aadate najat dilane wali ye hain zaher aur poshida mai Allah ki khashiyat, mohtaji aur ghani mai mayana rawi, ghusse aur khushi mein insaf karna.
----
 آپ ﷺ نے فرمایا: تین عادتیں ہلاك كرنے والی ہیں اورتین عادتیں نجات دلانے والی ہیں! انتہائی بخل، خواہش پرستی، اور خود پسندی تین عادتیں ہلاک کرنے والی یہ ہیں۔ اور تین عادتین نجات دلانے والی یہ ہیں: ظاہر اور پوشیدہ  میں اللہ كی خشیت، محتاجی اور غنی میں میانہ روی، غصے اور خوشی میں انصاف  کرنا۔
-------
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1355

Sawal: Wo kaunsa amal hai joh karne par qabar ki garmi khatam hojati hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Wo kaunsa amal hai joh karne par qabar ki garmi khatam hojati hain?

A: Kasrat se astaghfar karne se
B: La ilaha illAllah kasrat se padne se
C: Sila Rehmi karne se
D: Sadqa karne se
E: Quran padne se
F: Namazo ki hifazat karne se
G: paak saaf rehne wala
H: Inmein se koi nahi

I: Sahi Jawab ka Intezaar

❗Note: Agar jawab H hai toh apna sahi jawab likhiye!


********************************

Sahi Jawab - D✅

Reference📚:
---------
Uqba bin Aamir RadiAllahu Anhu kehte hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya sadqa, sadqa karne walon se qabar ki garmi ko khatam karta hai, aur momeen qayamat ke din apne sadqe ka saya haasil karega .
--------
عقبہ بن عامر کہتے ہیں کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: صدقہ، صدقہ کرنے والوں سے قبر کی گرمی کو ختم کرتا ہے، اور مومن قیامت کے دن اپنے صدقے کا سایہ حاصل کرے گا۔
--------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1816

Ek baar ek aadmi ne kuch sawal kiye Islam, Imaan, Ehsaan aur Qayamat ke baare mein Sawal: Imaan se muraad kya hain

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaiyda hain!

Ek baar ek aadmi ne kuch sawal kiye Islam, Imaan, Ehsaan aur Qayamat ke baare mein

Sawal: Imaan se muraad kya hain

A: Allah k naik bandon par iman lana
B: Chand aur Sitaro par iman lana
C: Allah Subhanahu taala par iman lana
D: Fariston par iman lana
E: Rasoolon par iman lana
F: Allah ki Kitabon par iman lana
G: Akhirat ke din par iman lana
H: Sari ki sari taqdeer par iman lana
I:  Achi aur Buri taqdeer par iman lana

J: Sahi Jawab ka Intezaar


*********************************

Sahi Jawab - CDEFGHI✅

Reference📚:
-----------
Sayedna Umar bin Khataab RadiAllahu Anhu se riwayat hai woh kehte hain hum ek din Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ke paas baithy huwe they, achanak hamaray paas ek aadmi aaya, is ke kapray bohat ziyada safaid aur baal bohat ziyada siyah they, nah to is par safar ki koi alamat nazar aa rahi thi aur nah hum mein se koi usay pehchanta tha, behar haal woh aaya aur Nabi kareem Sallallahu Alaihi wasallam ke paas is terhan baith gaya ke apne ghutney Aap Sallallahu Alaihi wasallam ke ghutnon ke saath mila diye aur apne haath Aap Sallallahu Alaihi wasallam ki ranon par rakh diye aur kaha Eh Mohammad Sallallahu Alaihi wasallam mujhe Islam ke bare mein batao ke islam kya hai? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Islam yeh hai ke tu gawahi de ke Allah Subhanahu taala hi mabood barhaq hai aur hazrat Mohammad Sallallahu Alaihi wasallam Allah ke Rasool hain aur tu Namaz qaim kare, zakat ada kare, Ramadaan ke roze rakhay aur agar taaqat ho to bait Allah ka Hajj kare. is ne aage se kaha Aap ne sach kaha hai hamein bara taajjub huwa ke yeh shakhs sawal bhi karta hai aur tasdeeq bhi karta hai behar haal is ne phir sawal kiya aur kaha Aap mujhe Imaan ke baray mein batlaein. Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Imaan yeh hai ke to Allah Subhanahu taala, farishto, kitabon, Rasoolon, Akhirat ke din aur saari ki saari taqdeer, woh achi ho ya buri, par imaan laaye is ne kaha jee, Aap ne sach kaha hain is ne teesra sawal karte huwe kaha ab Aap mujhe Ehsaan ke bare mein batayen, Ehsaan kya hota hai? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Ehsaan yeh hai ke tu Allah Subhanahu taala ki is terhan ibadat kar ke goya to usay dekh raha hai, aur agar tu nahi dekh raha to woh to tujhe dekh raha hai is ne phir sawal kiya Aap mujhe Qayamat ke bare mein batayen. Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya masool, Qayamat ke bare mein sayel se ziyada ilm nahi rakhta is ne kaha tu phir Aap mujhe is ki alamton ke bare mein bata den. Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya woh ye hain londi apni malik ko janam degi, tu dekhe ga ke nangay pav aur nangay jismon walay bakriyon ke charwahay imaarton par ghuroor karenge Syedna Umar kehte hain phir woh bandah chala gaya aur Aap  Sallallahu Alaihi wasallam kuch zamane, ek rivayet ke mutabiq teen dinon taq is ke bare mein khamosh rahe aur phir mujhse farmaya Umar kya tum jante ho ke yeh sayel kaun tha? Mein ne kaha Jee Allah aur is ka Rasool he behtar jante hain, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ye Hazrat Jibreel thy, woh tum logon ko deen ki taleem daine ke liye aaye thy.
-------------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 55

Sawal: Inmein se wo kaunsa kalimaat hai joh shaqs ada karde toh usne goya tamam makhlooq ke mukammal tareefi kalmaat ada kar diye

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Inmein se wo kaunsa kalimaat hai joh shaqs ada karde toh usne goya tamam makhlooq ke mukammal tareefi kalmaat ada kar diye

A:
اللَّهُمَّ أَسلَمتُ نَفسِي إِلَيكَ، وَفَوَّضتُ أَمرِي إِلَيكَ وَوَجَّهتُ وَجهِي إِلَيكَ، وَأَلجَأتُ ظَهرِي إِلَيكَ رَغبَةً وَرَهبَةً إِلَيكَ، لاَ مَلجَأَ وَلاَ مَنجَا مِنكَ إِلاَّ إِلَيكَ آمَنتُ بِكِتَابِكَ الَّذِي أَنزَلتَ، وَبِنَبِيِّكَ الَّذِي أَرسَلتَ‏‏

B: اللَّهُمَّ  بِاسْمِكَ أَمُوتُ و َأَحْيَا

C: لَا إِلَه إِلَا الله وَحْدَه لَا شَريك لَه لَه الْملَك وَلَه الْحَمْد وَهو عَلَى كُل شَيْء قَدِير لَا حَوْل وَلَا قُوة إِلَا بِالله سُبْحَان الله وَالْحَمْد لِلهِ وَلَا إِلَه إِلَا الله وَالله أكبر

D: اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِرِضَاكَ مِنْ سَخَطِكَ وَبِمُعَافَاتِكَ مِنْ عُقُوبَتِكَ وَأَعُوذُ بِكَ مِنْكَ لاَ أُحْصِي ثَنَاءً عَلَيْكَ أَنْتَ كَمَا أَثْنَيْتَ عَلَى نَفْسِكَ

E: اللَّهُمَّ قِنِي عَذَابَكَ يَوْمَ تَبْعَثُ - أَوْ تَجْمَعُ  عِبَادَكَ

F: اللَّهُ لَا إِلَـٰهَ إِلَّا هُوَ الْحَيُّ الْقَيُّومُ لَا تَأْخُذُهُ سِنَةٌ وَلَا نَوْمٌ لَّهُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الْأَرْضِ مَن ذَا الَّذِي يَشْفَعُ عِندَهُ إِلَّا بِإِذْنِهِ يَعْلَمُ مَا بَيْنَ أَيْدِيهِمْ وَمَا خَلْفَهُمْ وَلَا يُحِيطُونَ بِشَيْءٍ مِّنْ عِلْمِهِ إِلَّا بِمَا شَاءَ وَسِعَ كُرْسِيُّهُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ وَلَا يَئُودُهُ حِفْظُهُمَا وَهُوَ الْعَلِيُّ الْعَظِيم

G:  اَلْحَمْد لِلهِ الَّذِي كَفَانِي وَآوَانِي، اَلْحَمْد لِلهِ الَّذِي أَطْعَمَنِي وَسَقَانِي، اَلْحَمْد لِلهِ الَّذِي مَنَّ عَلَيَّ وَأَفْضَل، اللهُمّ! إِنِّي أَسْأَلك بِعِزَّتِك أَن تُنْجِيَنِي مِنَ النَّار، فَقَد حَمِد الله بِجَمِيع مَحَامِد الْخَلق كُلِّهُمْ

H: Inmein se koi nahi

I: Sahi Jawab ka intezaar

Note: Agar jawab H hai toh apna jawab likiye❗


*********************************


Sahi Jawab - G✅

Reference📚:
------
Anas bin Malik RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs apne bistar par aaya aur is ne kaha

اَلْحَمْد لِلهِ الَّذِي كَفَانِي وَآوَانِي، اَلْحَمْد لِلهِ الَّذِي أَطْعَمَنِي وَسَقَانِي، اَلْحَمْد لِلهِ الَّذِي مَنَّ عَلَيَّ وَأَفْضَل، اللهُمّ! إِنِّي أَسْأَلك بِعِزَّتِك أَن تُنْجِيَنِي مِنَ النَّار، فَقَد حَمِد الله بِجَمِيع مَحَامِد الْخَلق كُلِّهُمْ

tamam tareefe is Allah ke liye jo mujhe kaafi huwa aur mujhe panah di, tamam tareefe is Allah ke liye jis ne mujhe khilaya aur pilaya, tamam tareefe is Allah ke liye jis ne mujh par ehsaan aur fazal kiya, Eh Allah mein teri izzat ka wastaa de kar sawal karta hon ke tu mujhe aag se nijaat de de. toh is ne tamam makhlooq ke mukammal tareefi kalmaat ada kar diye
-------------
) عَنْ أَنسِ بْنِ مَالِكٍ قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللهِ  صلی اللہ علیہ وسلم : «مَنْ قَالَ إِذَا أَوَى إلى فِرَاشَه: اَلْحَمْد لِلهِ الَّذِي كَفَانِي وَآوَانِي، اَلْحَمْد لِلهِ الَّذِي أَطْعَمَنِي وَسَقَانِي، اَلْحَمْد لِلهِ الَّذِي مَنَّ عَلَيَّ وَأَفْضَل، اللهُمّ! إِنِّي أَسْأَلك بِعِزَّتِك أَن تُنْجِيَنِي مِنَ النَّار، فَقَد حَمِد الله بِجَمِيع مَحَامِد الْخَلق كُلِّهُمْ »
--------------
انس بن مالکرضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جو شخص اپنے بستر پر آیا اور اس نے کہا: تمام تعریفات اس اللہ کے لئے جو مجھے کافی ہوا اور مجھے پناہ دی، تمام تعریفات اس اللہ کے لئے جس نے مجھے کھلایا اور پلایا، تمام تعریفات اس اللہ کے لئے جس نے مجھ پر احسان اور فضل کیا، اے اللہ میں تیری عزت کا واسطہ دے کر سوال کرتا ہوں کہ تو مجھے آگ سے نجات دے دے۔ تو اس نے تمام مخلوق کے مکمل تعریفی کلمات ادا کر دیئے
--------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2964

Sawal: wo kaunsa amal hai jiske karne par Jannat mein ek darakht ugaa diya jata hai?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: wo kaunsa amal hai jiske karne par Jannat mein ek darakht ugaa diya jata hai?

A: سُبْحَانَ اللّهِ الْعَظِيمِ وَ بِحَمْدِهِ
B: اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي وَارْحَمْنِي وَعَافِنِي وَارْزُقْنِي
C: الْحَمْدُ لِلَّهِ حَمْدًا كَثِيرًا طَيِّبًا مُبَارَكًا فِيهِ
D: سُبُّوحٌ قُدُّوسٌ رَبُّ الْمَلَائِكَةِ وَالرُّوحِ
E: لاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللّه
F: أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ الَّذِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَىُّ الْقَيُّومُ وَأَتُوبُ إِلَيْهِ
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi jawab ka intezaar


❗Note: Agar Jawab G hai toh apna sahi jawab likhe!


-------------------------------------------------


Sahi Jawab - A✅

Reference📚:
---------
Jabir RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jis shakhs ne kaha : ” سُبْحَانَ اللهِ الْعَظِيمِ وَبِحَمْدِهِ “ Allah Azmat wala apni tareef ke saath paak hai is ke liye jannat mein ek darakht ugaa diya jayega
-----
عَنْ جَابِرٍ مَرفُوعاً: مَنْ قَالَ: سُبْحَانَ اللهِ الْعَظِيمِ وَبِحَمْدِهِ غُرِسَتْ لَهُ نَخْلَةٌ فِي الْجَنَّةِ . 
-----
جابررضی اللہ عنہ  سے مرفوعا مروی ہے کہ جس شخص نے کہا: ”سُبْحَانَ اللهِ الْعَظِيمِ وَبِحَمْدِهِ“ اللہ عظمت والا اپنی تعریف کے ساتھ پاک ہے اس کے لئے جنت میں ایک درخت اگادیا جائے گا
-----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2969

Sawal : Mahfum e hadith ke mutabiq Joh shaks Allah Subhanahu ke raaste mein faut hojaye usse inmein se kaun kaunsa ajar hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hain!

Sawal : Mahfum e hadith ke mutabiq Joh shaks Allah Subhanahu ke raaste mein faut hojaye usse inmein se kaun kaunsa ajar hain?

A: Qabar ke Fitna se mehfooz rahega
B: Bina hisaab kitaab Jannat mai Jayega
C: Jo woh neik amal karta tha uska sawab uske liye jaari rahega
D: Qayamat ke din Uske walidein ku Taaj pehnaya jayega
E: Jannat mai Aap ﷺ ke saath hoga
F: Jannat mai se uska rizq muqarrar hoga
G: Jahannum ki aag uspar haraam hogi
H: Allahu Taala Qayamat ke din Har Darr aur ghabrahat se mehfooz uthayega

I: Sahi Jawab ka Intezaar


***********************************


Sahi Jawab - ACFH✅

Reference📚:
-------
Rasool Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: Jo shaqs Allah Subhanahu ke raaste mein "Ribaat" (Sarhad par padao daale huwe) marr jaaye, toh Woh Jo Neik Amal karta tha uska Sawab uske liye jaari rahega, Jannat mein se uska Rizq muqarrar hoga, Qabar ke fitne se mehfooz rahega, aur Allahu Taala usse Qayamat ke din har darr aur ghabrahat se mehfooz uthayega
____
It was narrated from Abu Hurairah that the Messenger of Allah (ﷺ) said:
“Whoever dies being prepared in the cause of Allah, will be given continuously the reward for the good deeds that he used to do, and he will be rewarded with provision, and he will be kept safe from Fattan, and Allah will raise him on the Day of Resurrection free of fright.”
----
Sunnan e Ibn e Maha hadees # 2767-Sahih Hadees

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se poocha gaya ke sab se zaida shareef inemin se kaun kaun hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hain!

 Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se poocha gaya ke sab se zaida shareef inemin se kaun kaun hain?

A. Jo apne sharmgah ki hifazat karte hain
B. Jo parhaizgaar ho
C. Yusuf Alaihi Salam
D. Jo Jahiliyat mai shareef thy or deen ki samjh ajaye
E. Walidein ki farmanbardaari karne waala
F. Khush-ikhlaq
G. Tauba or astaghfar kasrat se karne wala
H. Ibrahim Alaihi Salam

I: Sahi Jawab ka Intezaar

***********************************

Sahi Jawab - BCD✅

Reference📚:
----
Arz kiya gaya: Ya RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam ! Sabse ziada shareef kaun hai? Nabi Kareem Salallahu Alaihi wasallam ne farmaya "Jo sabse zyada parhezgar ho" .Sahaba ne arz kiya ke hum aap se iske mutaaluq nahi puchte.Nabi kareem Salallahu alaihi wasallam ne farmaya "phir Allah ke Nabi Yusuf bin Nabi Allah bin Nabi Allah bin khaleelullah (Sabse zyada shareef hain)" .Sahaba ne kaha ke hum iske mutalluq bhi nhi puchte.Nabi Kareem Salallahu Alaihi wasallam ne farmaya "Acha Arab ke khaandano ke mutalluq tum puchna chahte ho suno jo jahilat mai shareef they islam mein bhi woh shareef hain jabke deen ki samajh unhe aajaye" .Abu usama aur muatmar ne Abdullah se bayan kiya,In se sayeed ne aur inse Abu Hurairah RaziAllahu anhu ne aur Unhone Nabi Kareem Salallahu Alaihi wasallam se.
-----
Narrated Abu Huraira: The people said, "O Allah's Messenger (ﷺ)! Who is the most honorable amongst the people (in Allah's Sight)?" He said, The most righteous amongst them." They said, "We do not ask you, about this. " He said, Then Joseph, Allah's Prophet, the son of Allah's Prophet, The son of Allah's Prophet the son of Allah's Khalil (i.e. Abraham)." They said, "We do not want to ask about this," He said' "Then you want to ask about the descent of the Arabs. Those who were the best in the pre-lslamic period of ignorance will be the best in Islam provided they comprehend the religious knowledge."
----
 عرض کیا گیا: یا رسول اللہ! سب سے زیادہ شریف کون ہے؟ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”جو سب سے زیادہ پرہیزگار ہو۔“ صحابہ نے عرض کیا کہ ہم آپ سے اس کے متعلق نہیں پوچھتے۔ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”پھر اللہ کے نبی یوسف بن نبی اللہ بن نبی اللہ بن خلیل اللہ  ( سب سے زیادہ شریف ہیں ) “ صحابہ نے کہا کہ ہم اس کے متعلق بھی نہیں پوچھتے۔ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”اچھا عرب کے خاندانوں کے متعلق تم پوچھنا چاہتے ہو۔ سنو جو جاہلیت میں شریف تھے اسلام میں بھی وہ شریف ہیں جب کہ دین کی سمجھ انہیں آ جائے۔“ ابواسامہ اور معتمر نے عبیداللہ سے بیان کیا، ان سے سعید نے اور ان سے ابوہریرہ رضی اللہ عنہ نے اور انہوں نے نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم سے۔
----
Sahih Hadees
Sahih al-Bukhari 3353

Sawal : Ek sahabi ne RasooAllah Sallallahu Alaihi wasallam se aise aamal ke baare mein pucha jis se azaab dur ho aur jannat mein dakhila ho to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne unko kaun kaun se aamal bataye?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hain!

 Sawal : Ek sahabi ne RasooAllah Sallallahu Alaihi wasallam se aise aamal ke baare mein pucha jis se azaab dur ho aur jannat mein dakhila ho to Aap  Sallallahu Alaihi wasallam ne unko kaun kaun se aamal bataye?

A: Allah ki Ibadat karna
B: Miskeeno ko khana khilana
C: Shirk na karna
D: Hajj karna
E: Ramadan ke roze rakhna
F: Umrah karna
G: Yateem ki parwarish karna
H: Farz Namaze aada karna
I: Zakat aada karna
J: Jo rawaiya tum apne liye pasand karte ho dusro ke saath bhi wahi rawaiya rakhna

K: Sahi Jawab ka Intezaar

*****************************

Sahi Jawab – ACDEFHIJ✅

Reference📚:
-----
Mohammad bin Jihada ek aadmi se woh apne ek saathi se jis ka talluq Banu Ambar se hai woh apne waalid se jis ki kuniat Abu Al Muntafiq hai thi bayan karte hain is ne kaha ke mein mecca aaya aur Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke  barey mein poocha? logon ne kaha Aap Sallallahu Alaihi wasallam Urfa mein hain. Mein Aap Sallallahu Alaihi wasallam  ke paas aaya aur Aap ke qareeb hone ki koshish ki toh logon ne mujhe rok liya. Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya usay chor doh mein Aap Sallallahu Alaihi wasallam ke qareeb huwa jab meri sawari ki gardan  Aap Sallallahu Alaihi wasallam ki sawari ki gardan ke samnay aagai to mein ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam mujhe aise Amal ke bare mein bataiye jo mujhe Allah Subhanahu ke azaab se durr kar de aur Jannat mein daakhil kar de... Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya (1) Tum Allah ki ibadat karo ( ek riwayet mein hai ke ibadat kar ) aur is ke saath kisi cheez ko shareek na banao (2) Farz namaz ada karo (3) Farz zakaat ada karo (4) Ramadaan ke rozay rakho (5) Hajj aur Umrah karo (6) aur dekho ke tum logon ke kis rawaiya ko pasand karte ho to un ke saath bhi aise he bartao karo aur un ke jis tarz e Amal ko tum apne haq mein na pasand kar te ho un ke sath bhi waisa tarz e amal na karo.
 ---------
محمد بن جحادہ ایک آدمی سے وہ اپنے ایک ساتھی سے جس کا تعلق بنوعنبر سے ہے وہ اپنے والد سے جس کی کنیت ابو المنتفق ہے تھی بیان کرتے ہیں اس نے کہا کہ میں مکہ آیا اور رسول اللہ (ﷺ) کے بارے میں پوچھا؟ لوگوں نے کہا آپ عرفہ میں ہیں۔ میں آپ کے پاس آیا اور آپ کے قریب ہونے کی کوشش کی تو لوگوں نے مجھے روک لیا۔ آپ (ﷺ) نے فرمایا اسے چھوڑ دو میں آپ (ﷺ) کے قریب ہوا جب میری سواری کی گردن آپ (ﷺ)  کی سواری کی گردن کے سامنے آگئی تو میں نے کہا اے اللہ کے رسول مجھے ایسے عمل کے بارے میں بتائیے جو مجھے اللہ کے عذاب سے دور کر دے اور جنت میں داخل کر دے ؟ آپ (ﷺ) نے فرمایا  ( ۱ ) تم اللہ کی عبادت کرو ( ایک روایت میں ہے  کہ عبادت کر )  اور اس کے ساتھ کسی چیز کو شریک نہ بناؤ ( ۲ ) فرض نماز ادا کرو ( ۳ ) فرض زکاۃ ادا کرو ( ۴ ) رمضان کے روزے رکھو ( ۵ ) حج اور عمرہ کرو ( ۶ ) اور دیکھو کہ تم لوگوں کے کس روئیے کو پسند کرتے ہو تو ان کے ساتھ بھی ایسا ہی برتاؤ کرو اور ان کے جس طرزعمل کو تم اپنے حق میں نا پسند کر تے ہو ان کے ساتھ بھی ویسا طرزعمل نہ کرو۔
-------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 6

Sawal: wo kaunsa Azkar hai joh Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne apni duao mein lazim padhne ko kaha

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: wo kaunsa Azkar hai joh Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne apni duao mein lazim padhne ko kaha

A.
يَا حَىُّ يَا قَيُّومُ بِرَحْمَتِكَ أَسْتَغِيثُ
Ya Hayyu Ya Qayyum, Bi-Raḥmatika Astagith
B.
اللَّهُ  اللَّهُ رَبِّي لَا أُشْرِكُ بِهِ شَيْئَاً
Allahu, Allahu Rabbi La Ushrika Behi shayaa
C.
الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي عَافَانِي مِمَّا ابْتَلاَكَ بِهِ وَفَضَّلَنِي عَلَى كَثِيرٍ مِمَّنْ خَلَقَ تَفْضِيلاً
Al-Hamdulillahi Alladhi Aafani Mimmabtalaka bihi wa faddalani Ala kathirin mimman khalaqa tafdila
D.
إِنَّا لِلَّهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُونَ اللَّهُمَّ أْجُرْنِي فِي مُصِيبَتِي وَأَخْلِفْ لِي خَيْرًا مِنْهَا ‏
inna Lillahi Wa inna ilahi rajeuun , Allahumma Ajurni fi Musibati Wa Akhlifli Khairam Minha
E.
 لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ رَبُّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ
La ilaha illAllahul Rabbul Arsh-il-Azeem
F. 
یَا ذَا الْجِلَالِ وَالْإِکْرَ
Ya Dhal Jalali Wal-Ikram

G. Inmein se koi nahi

H. Sahi Jawab ka Intezaar

*************************************


Sahi Jawab - F✅

Reference📚:
------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Ya Dhal Jalal Wal-Ikram  ko lazim pakdo ( yani apni duaon mein barabr padhte raha Karo
----
Jamia Tirmazi Jild 2 , 1452  Sahih
----
 Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said Be constant with Ya Dhal Jalal Wal-Ikram  ( it means use this name continuosly in your duas )
----
Jamia Tirmizi Volume 6 , 3525-Sahih

Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne kaha ke wo Jannat mein daakhil huwe aur unhone waha kisi ki qiraat ki aawaz suni jab Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne poocha kaun hai toh farishton ne jawab diya ke neik shaks issi terhan hote hain.

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne kaha ke wo Jannat mein daakhil huwe aur unhone waha kisi ki qiraat ki aawaz suni jab Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne poocha kaun hai toh farishton ne jawab diya ke neik shaks issi terhan hote hain.

Sawal1: wo Sahabi kaun thy

A: Ammar RadiAllahu Anhu
B: Abdullah bin Masood RadiAllahu Anhu
C: Musaib ibn Umair RadiAllahu Anhu
D: Abu Ubaida bin Jarah RadiAllahu Anhu
E: Ibn Masood RadiAllahu Anhu
F: Haritha bin Noman RadiAllahu Anhu
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar?

Sawal2: Wo sahabi kaunsa amal kiya karte thy?

A: Wo Janaze mein hamesha shareek hote thy
B: Wo apne Walida se bahut achcha sulooq kiya karte thy
C: Wo apne biwi ke saath husn aklaq se pesh aate thy
D: Wo Jihad mein hamesha shareek hote thy
E: Wo Rasool-Allah Sallallahu Alaihi se Quran padhna seekhe thy
F: Wo Tahajjud ki namaz kabhi zayaa nahi kiya karte thy
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar?

**********************

Sahi Jawab - FB✅

Reference📚:
-------
Aisha RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya. Mein Jannat mein daakhil huwa to mein ne qiraat ki aawaz suni. Mein ne kaha yeh kaun hain? Farishtay kehnay lagey : Haritha bin Noman RadiAllahu Anhu, issi terhan neik shakhs hota hain, isi terhan neik shakhs hota hain. Haritha RadiAllahu Anhu apni Walida se bohat achcha sulooq karne walay they.
----------
عائشہ رضی اللہ عنہا سے مرفوعا مروی ہے کہ (رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا): میں جنت میں داخل ہوا تو میں نے قراءت کی آواز سنی۔ میں نے کہا: یہ کون ہے؟ فرشتے کہنے لگے: حارثہ بن نعمان، اسی طرح نیک شخص ہوتا ہے ،اسی طرح نیک شخص ہوتا ہے ۔حارثہرضی اللہ عنہ  اپنی والدہ سے بہت اچھا سلوک کرنے والے تھے۔
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3492

Sawal: Mahfhum e hadith Inmein se wo kaun kaunsi cheeze hai jinki zamant agar koi de toh unhe Jannat ki zamanat milegi?

❗Only-Quran-Hadit-Quiz❗

Jawab ek se zaida hain!

Sawal: Mahfhum e hadith Inmein se wo kaun kaunsi cheeze hai jinki zamant agar koi de toh unhe Jannat ki zamanat milegi?

A: Jab baat karo toh sach bolo
B: Jab wada karo toh pura karo
C: Jab amanaat di jaye toh usse adda karo
D: Jab mashwara maaga jaye toh achcha mashwara karna
E: sharmagah ki hifazat karna
F: Nigahain neechi rakhna
G: apne ghar walo par karch karna
H: apne hathon ko rok kar rakhna

I: Sahi Jawab ka Intezaar

*************************

Sahi Jawab - ABCEFH✅

Reference📚:
---------
Ubaida RadiAllahu Anhu se marfua riwayat hai ke tum apni taraf se mujhe chae cheezon ki zamanat doh mein tumhe Jannat ki zamanat deta hon, jab baat karo to sach bolo, jab wada karo to poora karo, jab tumhe amanat di jaye to ada karo, apni sharamgahon ki hifazat karo, apni nigahain neechi rakho aur apne hathon ko rok kar rakho
--------
عَنْ عَبْدِ اللهِ بْنِ عَمْرِو بْنِ الْعَاصِ مَرْفُوْعاً: ارْحَمُوا تُرْحَمُوا وَاغْفِرُوا يَغْفِرِ اللهُ لَكُمْ ووَيْلٌ لِأَقْمَاعِ الْقَوْلِ ووَيْلٌ لِلْمُصِرِّينَ الَّذِينَ يُصِرُّونَ عَلَى مَا فَعَلُوا وَهُمْ يَعْلَمُونَ
---------
عبداللہ بن عمر و بن عاصرضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا تم رحم کرو تم پر رحم کیا جائے گا تم معاف کرو اللہ تمہیں معاف کر ے گا سنی ان سنی کر نیوالوں کے لئے ہلاکت ہے۔ ڈٹ جانے والوں کے لئے ہلاکت ہے جو اپنے گناہ پر ڈٹ جاتے ہیں حالانکہ وہ جانتے ہیں
---------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 26

Sawal: Takleef ki baat sunkar Sabse zyada sabr karne wala kaun hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Takleef ki baat sunkar Sabse zyada sabr karne wala kaun hain?

A: Jis ke aulad faut hojaye aur wo sabr kare
B: Jo beemar ho fir bhi sabr kare
C: Ambiya Alahi Salam
D: Rasool-Allah Sallahu Alahi waSallam
E:  Yunus Alahi Salam
F:  Moosa Alahu Salam
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Note agar jawab G hai toh apna jawab likhe❗



*******************************


Sahi Jawab - G (Allah Subhanahu)✅

Reference📚:
------
Abu Moosa Ashri RadiAllahu Anhu bayan karte hain, Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya “Takleef de baat sun kar is par saber karne wala Allah Subhanahu se barh kar koi nahi, woh is ke liye aulaad ka daawa karte hain, lekin woh phir bhi un se dar guzar karta hai aur inhen rizaq baham pohanchata hain
--------
ابوموسیٰ اشعریؓ بیان کرتے ہیں ، رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا :’’ تکلیف دہ بات سن کر اس پر صبر کرنے والا اللہ سے بڑھ کر کوئی نہیں ، وہ اس کے لیے اولاد کا دعویٰ کرتے ہیں ، لیکن وہ پھر بھی ان سے درگزر کرتا ہے اور انہیں رزق بہم پہنچاتا ہے ۔‘‘     متفق علیہ ، رواہ البخاری (۷۳۷۸) و مسلم
---------
Sahih Hadees
Mishkat ul Masabeeh Hadees # 23

Sawal: mahfhum e hadith ke mutabiq Innmai se kaun kaunse amal karne wale shaqs ko dugna sawab milta hai?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hain!

Sawal: mahfhum e hadith ke mutabiq Innmai se kaun kaunse amal karne wale shaqs ko dugna sawab milta hai?

A: Sood maaf karne par
B: gulam joh apne RABB ka darr aur aaqa ki itaat karta hain
C: jo londi ko achche adab shikaye aur taleem de aur fir usko azad karke usse nikah kar le
D: Asar ki Namaz padhne wale
E: Quran atak atak ke padhne wale
F: Masjid ek raste se jaye aur laute waqt dusre raste se ayye
G: jo Isa Alahi salam par imaan rakhta tha aur phir Rasool-Allah Sallahu Alahe wa Salam par Imaan laye

H: Sahi Jawab ka Intezaar

*******************************

Sahi Jawab - BCDEG✅

Reference📚:
------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya ye Namaz ( Namaz e Asar ) tumse pahle logo ko di gayee (un par farz ki gayee thi ) to unhone usay zaya Kar diya islye jo bhi iss ki hifazat karega usay uska dugna sawab milega

Sahih Muslim Jild 2 , 1927
------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jo shaksh Quran padhta hai aur uske liye mushkil hota hai ( atak atak ke padhna) to usko duguna ajar milega

Jamia Tirmizi, Jild 2,813-Sahih
------
Rasool-Allah Sallahu Alahi waSallam ne bayan farmaya ”agar koi shakhs apni londi ko achi terhan adab sikhlaye aur poooray taur par usay deen ki taleem de phir usay azad kar ke is se nikah kar le to usay dugna sawab milta hai aur woh shakhs jo pehlay Isa Aalahi Salam par Imaan rakhta tha, phir mujhe par Imaan laya to usay bhi dugna sawab milta hai aur woh ghulam jo apne Rabb ka bhi darr rakhta hai aur apne aaqa ki bhi itaat karta hai to usay bhi dugna sawab milta hai
-----
Sahih Bukhari Hadees # 3446

Sawal: wo kaunsa amal hai jisse Rasool-Allah Sallahu Alaihi wasallam ne Afzal aur Ashraf amal kaha hai?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: wo kaunsa amal hai jisse Rasool-Allah Sallahu Alaihi wasallam ne Afzal aur Ashraf amal kaha hai?

A: Allah aur uske Rasool par Iman lana
B: Hajj Mabrur karna
C: Jamat ke saath jude rehna
D: Sila Rehami karna
E: Allah ke raste mein Jihad karna
F: Allah Subhanahu ka kasrat se Zikr karna
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Note: Agar Jawab G hai toh apna sahi jawab likhe!


******************************

Sahi Jawab - E✅

Reference📚:
----------
Syedna Anu Huraira RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se yeh sawal kiya gaya kaun sa amal sab se ziyada fazliat wala aur kaun sa amal sab se behtar hai? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah Subhanahu taala aur is ke Rasool par Imaan lana. is ne kaha :Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam iss ke baad kaun sa hai? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah ke rastay mein Jihaad, jo ke afzal aur Ashraf amal hai is ne kaha : phir kaunsa Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam  Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Hajj Mabrur.
----------
سیدنا ابو ہریرہ ؓ بیان کرتے ہیں کہ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  سے یہ سوال کیا گیا: کون سا عمل سب سے زیادہ فضلیت والا اور کون سا عمل سب سے بہتر ہے؟ آپ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  اللہ تعالیٰ اور اس کے رسول پر ایمان لانا۔  اس نے کہا: اے اللہ کے رسول! اس کے بعد کون سا ہے؟ آپ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  اللہ کے راستے میں جہاد ، جو کہ افضل اور اشرف عمل ہے۔  اس نے کہا: پھر کون سا، اے اللہ کے رسول!؟ آپ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  حج مبرور۔
-----------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 51

Sawal1: Deen ka sahara kise kaha gaya hai ? Sawal2: Deen ki Asal kise kaha gaya hai ? Sawal3: Deen ki choti kise kaha gaya hai ?

❗Only-Quran-Hadit-Quiz❗

Sawal1: Deen ka sahara kise kaha gaya hai ?

Sawal2: Deen ki Asal kise kaha gaya hai ?

Sawal3: Deen ki choti kise kaha gaya hai ?

A: Islam
B: Aamal
C: Pakki
D: Sabr
E: Taqwa
F: Ilm
G: Zuban
H: Namaz
I: Inmein se koi nahi

J: Sahi Jawab ka Intezaar


*******************************

Sahi Jawab - 1H/2A/3I (Jihad)✅

Reference📚:
-----
Maaz bin Jabal Radi Allahu Anhu se riwayat hai Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya kya mein tumhein Deen ki asal ,iss ka sutoon aur iss ki choti na bata du meine kaha kyu Nahi Ya Rasool-Allah (Sallallahu Alahih Wasallam) zarur bataye Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Deen ki asal Islam hai aur iss Ka sutoon ( Sahara) Namaz hai aur iss ki choti Jihad hai phir Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya kya mein tumehin iss tammam baaton Ka jis cheez par daromadar ( ikhtiyar) hai wo na bata du ? Meine Kaha ji Haan Allah ke Nabi phir Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne apni Zuban Mubarak pakdi aur farmaya issay apne Qabu mein rakho mein ne Kaha Allah ke Nabi kya ham Jo Kuch bolte hai us par pakde jaenge ? Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya tumari Maa tum par roye Maaz Radi Allahu Anhu log apni zubano ke badh badh hi ki wajah se tum aundhe muh ya nathnon ke bal Dozakh mein dale jaenge
----
آپ نے پھر فرمایا: ”کیا میں تمہیں دین کی اصل، اس کا ستون اور اس کی چوٹی نہ بتا دوں؟“ میں نے کہا: کیوں نہیں؟ اللہ کے رسول ( ضرور بتائیے ) آپ نے فرمایا: ”دین کی اصل اسلام ہے ۲؎ اور اس کا ستون ( عمود ) نماز ہے اور اس کی چوٹی جہاد ہے“۔ پھر آپ نے فرمایا: ”کیا میں تمہیں ان تمام باتوں کا جس چیز پر دارومدار ہے وہ نہ بتا دوں؟“ میں نے کہا: جی ہاں، اللہ کے نبی! پھر آپ نے اپنی زبان پکڑی، اور فرمایا: ”اسے اپنے قابو میں رکھو“، میں نے کہا: اللہ کے نبی! کیا ہم جو کچھ بولتے ہیں اس پر پکڑے جائیں گے؟ آپ نے فرمایا: ”تمہاری ماں تم پر روئے، معاذ! لوگ اپنی زبانوں کے بڑ بڑ ہی کی وجہ سے تو اوندھے منہ یا نتھنوں کے بل جہنم میں ڈالے جائیں گے؟
---
Then he said: 'Shall I not inform you about the head of the entire matter, and its pillar, and its hump?' I said: 'Of course O Messenger of Allah! He said: 'The head of the matter is Islam, and its pillar is the Salat, and its hump is Jihad.' Then he said: 'Shall I not inform you about what governs all of that?' I said: 'Of course O Messenger of Allah!' He (ﷺ) said: So he grabbed his tongue. He said 'Restrain this.' I said: 'O Prophet of Allah! Will we be taken to account for what we say?' He said: 'May your mother grieve your loss O Mu'adh! Are the people tossed into the Fire upon their faces, or upon their noses, except because of what their tongues have wrought'
----
Jamia Tirmazi Volume 5  2616 , Hasan

Sawal: ek baar Rasool-Allah SallAllahu Alaihi waSallam ne misaal di ke wo iss terhan hain jiss ke teen dost hain wo kaun hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zayda hain

Sawal: ek baar Rasool-Allah SallAllahu Alaihi waSallam ne misaal di ke wo iss terhan hain jiss ke teen dost hain wo kaun hain?

A: Biwi bacche
B: Maut, Zindagi aur beemari
C: Amal
D: Maal
E: Namaz, Zakat aur Hajj
F: Quran, Ilm aur sadqa
G: Bhakeel, Fuzul kharch, Qata taluq
H: Sood, Zina aur Sharab

I: Sahi Jawab ka Intezaar


**************************************

Sahi Jawab - ACD✅

Reference📚:
-------
Noman bin Bushairi RadiAllahu Anhu kehte hai ke Rasool-Allah SallAllahu Alaihi waSallam ne farmaya Momin aur maut ki missal is aadmi ki terhan hain jiss ke teen dost hain, ek Maal hain is ne kaha jitna chaho le aoo, dusre ne kaha mein tumahray saath hon jab tum marr jaoge to qabar mein utaar dunga aur teesray ne kaha mein tumahray saath hon, aur tumahray saath hi niklunga pehla dost maal hai, dosra dost is ke biwi bachay hain, aur teesra dost is ka Amal hain.
---------
نعمان بن بشیررضی اللہ عنہما كہتے ہیں كہ رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: مومن اور موت كی مثال اس آدمی كی طرح ہے جس كے تین دوست ہیں، ایك مال ہے، اس نے كہا: جتنا چاہو لے لو، دوسرے نے كہا: میں تمہارے ساتھ ہوں جب تم مر جاؤ گے تو قبر میں اتار دوں گا۔ اور تیسرے نے كہا: میں تمہارے ساتھ ہوں، اور تمہارے ساتھ ہی نکلوں گا۔ پہلا دوست مال ہے ، دوسرا دوست اس كے بیوی بچے ہیں، اور تیسرا دوست اس كا عمل ہے
-------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3308

Sawal: Mahfhum e hadith ke mutabiq - Ek baar ek sahabi Rasool-Allah SallahuAllahi waSallam ke pass aaye aur kaha iss deen par kis shaqs ne apki pairwi ki aur islam aur eman kya hain 1. Deen per kis shaqs ne pairwi ki 2. Islam kya hain (jawab ek se zaida hai) 3. Eman kya hain (Jawab ek se zaida hai)

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

2nd aur 3rd sawal mein jawab ek se zaiyada hain!

Sawal: Mahfhum e hadith ke mutabiq - Ek baar ek sahabi Rasool-Allah SallahuAllahi waSallam ke pass aaye aur kaha iss deen par kis shaqs ne apki pairwi ki aur islam aur eman kya hain

1. Deen per kis shaqs ne pairwi ki
2. Islam kya hain (jawab ek se zaida hai)
3. Eman kya hain (Jawab ek se zaida hai)
-----------
A: Mard, Aurat Budhe
B: Azad aur Gulam
C: Khamosh rehna
D: Sabr karna
E: Zuban ki hifazt karna
F: Darguzar karna
G: Umdah baat karna
H: Gussa nahi karna
I: Khana khilana

J: Sahi Jawab ka Intezaar


*****************************

Sahi Jawab - 1B, 2GI, 3DF✅

Reference 📚:
---------
Umro bin Absha RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Raool-Allah SallaAllahu Aalahi WaSallam ke pass aaya aur kaha Eh Allah ke Rasool Sallahu Aalahi waSallam is deen par kis shaksh ne app ki pairwi ki hain? Aap ne farmaya Azad aur ghulam ne mein ne kaha Islam kya hain? Aap ne farmaya umdah baat karna aur khana khilana mein ne poocha Emaan kya hain? Aap ne farmaya Sabr aur darguzar.
--------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3343

Sawal: Bina hisab kitab ke Jo 70,000 Jannat mein dakhil honge unki khoobi kya kya hogi

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziada hain!

Sawal: Bina hisab kitab ke Jo 70,000 Jannat mein dakhil honge unki khoobi kya kya hogi

A: wo jo Jhaad-foonk nahi karte
B: wo jo kabhi Shirk nahi kiya
C: wo jo pacho namazo ki hifazat ki hogi
D: wo jo Shagun nahi lete
E: wo jo Apne Rab par bharosa rakhte hain
F: wo jo har waqt Wazu mein rehte thy
G: Unke chehre chand ki tarah chamak rahe honge
H: wo jo kasrat se Allah ka zikr karte thy

I: Sahi Jawab ka Intezaar


************************************

Sahi Jawab - GADE/ADEG✅

Reference📚:

Hazrat Abu Hurairah radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya meri ummat mein se 70,000 log bina hisab ke jannat mein dakhil honge jinke chehre chand ki tarah chamaka rahe honge , hazrat Ukasha Radi Allahu Anhu apni dharidar chadar sanbhalte huye uthe aur arz ki Ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam mere liye bhi dua kijiye ki Allah subhanahu mujhe unhi mein se bana de , Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne dua farma di ki Eh Allah Ukasha ko bhi unhi mein se bana de , uske baad Ansar qabeele ke ek aur sahabi khade huye aur arz ki Ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam dya farma dijiye ki Allah subhanhu mujhe bhi unhi mein se kar de , Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya tumse pahle Ukasha dua kara chuke
--------
Sahih Bukhari, 5811

Ibn Abbas Radi Allahu anhuma se rivayat hai ki Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya meri ummat ke 70,000 log bina hisab ke jannat mein jayenge ye wo log honge jo Jhaad-foonk nahi karate hain aur na Shagun lete hain aur apne Rab hi par bharosa rakhte hain
---------
Sahih Bukhari, Vol 7, 6472

Sahi Milan Kijiye! 1. Afzal Islam kaunsa hai 2. Afzal Eman kaunsa hai 3. Afzal Namaz kaunsi hai 4. Afzal Hijrat kaunsi hai 5. Afzal Ghadi kaunsi hai

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sahi Milan Kijiye!

1. Afzal Islam kaunsa hai
2. Afzal Eman kaunsa hai
3. Afzal Namaz kaunsi hai
4. Afzal Hijrat kaunsi hai
5. Afzal Ghadi kaunsi hai
-------------
A: Raat ka aakhiri hissa
B: Jo cheez RABB ko napasand ho usse chorh dena
C: Fajar ka waqt
D: jis ka qayam lamba ho
E: Achcha Akhlaq
F: jiss ke haath aur zuban se dusra musalman mehfooz ho
G: Allah ke rehmant se naummed na hona
H: Witr ki namaz akhar mein panda

I: Sahi Jawab ka intezaar


****************************************

Sahi Jawab - 1F, 2E, 3D, 4B, 5A✅

Reference📚:
----------
Umro bin Absha RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Raool-Allah SallaAllahu Aalahi WaSallam ke pass aaya aur kaha Eh Allah ke Rasool Sallahu Aalahi waSallam is deen par kis shaksh ne app ki pairwi ki hain? Aap ne farmaya Azad aur ghulam ne mein ne kaha Islam kya hain? Aap ne farmaya umdah baat karna aur khana khilana mein ne poocha Emaan kya hain? Aap ne farmaya Sabr aur darguzar, mein ne poocha kaunsa Islam Afzal hain? Aap ne farmaya jis ke haath aur zabaan se dusre musalman mehfooz rahen mein neh kaha kausa Emaan Afzal hai? Aap ne farmaya achcha Akhlaq mein neh kaha kaunsi Namaz Afzal hain? Aap ne farmaya lambe qiyam wali mein neh kaha kausi Hijrat Afzal hain? Aap ne farmaya jis cheez ko tere RABB ne na pasand kiya hai usse chore dena mein ne kaha kaunsa Jihaad afzal hain? Aap ne farmaya jis ke ghoray konchi kaat di jayen aur is ka khoon baha diya jaye mein ne kaha kaunsi Ghadi Afzal hain? Aap ne farmaya Raat ka aakhri hissa.
-----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3343

Sawal: Logo mein Ya Makhluq mein bad tarheen shakhs kise kaha gaya hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziada hain!

Sawal: Logo mein Ya Makhluq mein bad tarheen shakhs kise kaha gaya hain?

A: Bahut zayda bolne wala
B: Bad Kalami karne wala
C: Maal ki hiras karne wala
D: Chugali karne wala
E: Logo ko beech mein judai dalne wala
F: Bande per lanat karne wala
G: Beqasur logo per Gunah ka ilzam lagane wala
H: Bohtan lagane wala
I: Kafir

J: Sahi Jawab ka Intezaar?

*********************************

Sahi Jawab - BDEGI✅

Reference📚

Aisha Radi Allahu Anhu kehti hain k eek aadmi ne andar aane ki ijazat mangi mein Aap (ﷺ) ke paas thi Aap (ﷺ) ne farmaya yeh apne khandan ka bura aadmi hai phir usay ijazat de di aur narmi se baatein karne lagey jab woh chala gaya to mein ne kaha Eh Allah ke Rasool (ﷺ) aap ne is ke baare mein ye baatein kahin, phir is se narmi se baatein karne lag gaye? Aap (ﷺ) ne farmaya Eh Aisha Radi Allahu Anhu logon mein bad tareen woh shakhs hai jise log iski bad kalami ki wajah se chore den
-------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 463

------
Abu malik ashari radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya iss ummat mai se Allah ke behtreen bande wo hai ke jinhe dekh kar Allah subhanahu yaad aa jata hai , aur iss ummat ke badtareen log wo hain jo chugal khor hain aur jo dosto (ya muhabbat karne walo) ke beech mein judayee karwate hain aur jo bequsur (pak daman) logo par gunaho ka ilzam lagate hain

Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha-3412
---------
Beshaq Jo log kaafir hain , Ahla-e-kitaab (mein se) aur mushrik wo dojakh ki Aag mein parey rahngey (aur) hamesha usmein rahngey , Ye log sab makhluq se badtar hain Beshaq jo log imaan laye aur neik kaam kartey rahey wo tamam makhluq se behtar hain

Al Quran , Surah Bayyina (98), verse 6-7

Miraj ki raat Raool-Allah Sallahu Alahi waSallam ne dheka ke kuch logo ke Baachein aag ki khinchiyon se kaati jaa rahi thi? Sawal: wo kaun log hai jinke Baachein aag ki khinchiyon se kaati jaa rahi thi?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Miraj ki raat Raool-Allah Sallahu Alahi waSallam ne dheka ke kuch logo ke Baachein aag ki khinchiyon se kaati jaa rahi thi?

Sawal: wo kaun log hai jinke Baachein aag ki khinchiyon se kaati jaa rahi thi?

A: Sharab peene ka aadi
B: Chugal khor
C: Tanna dene wala
D: Gali Galoj karne wala
E: jo log neki ka hukum dete par khud amal karna bhool jate
F: Zina karne wale
G: Sood ki kamayi se luqma khane wala shaqs
H: Inmein se koi nahi

I: Sahi Jawab ka Intezaar

************************

Sahi Jawab - E✅

Reference📚:
------
Anas RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallahu Alahi WaSallam ne Miaraj ki raat kuch aadmi dekhe jin ke Baachein aag ki khinchiyon se kaati ja rahi thee, mein ne kaha : Eh Jibreel Alahi Salam ye kaun log hain? Jibreel Alahi Salam ne kaha Aap ki ummat ke khateeb, logon ko neki ka hukum dete lekin khud ko bhool jatay halaan ke yeh kitaab Allah parhte thy kya ye Aqal nahi rakhtay thy?
-----
انس‌رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے کہ: میں نے معراج کی رات کچھ آدمی دیکھے جن کی باچھیں آگ کی قینچیوں سے کاٹی جا رہی تھیں، میں نے کہا: اے جبریل! یہ کون لوگ ہیں؟ جبریل علیہ السلام نے کہا: آپ کی امت کے خطیب، لوگوں کو نیکی کا حکم دیتے لیکن خود کو بھول جاتے حالانکہ یہ کتاب اللہ پڑھتے تھے کیا یہ عقل نہیں رکھتے تھے؟
-----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3158

Sawal: Qayamat ke din kaunse shaqs ko khada kiya jayega aur usse taarcoal ki kameez pehnayi jayegi

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Qayamat ke din kaunse shaqs ko khada kiya jayega aur usse taarcoal ki kameez pehnayi jayegi

A: har baat par Jaagda karne wala shaqs
B: fakhar karne wala
C: Taane dene wala
D: Momeen ko gali dene wala
E: Laanat karne wala
F: Hasad karne wala
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar

❗Note: Agar Jawab G hain toh sahi jawab likiye!


****************************

Sahi Jawab - G ✅(Noha karne wali aurat agar maut se pehle tauba na kare)

Reference📚:
------
Abu Malik Ashri RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Noha karne wali aurat agar apni maut se pehle tauba na kare toh Qayamat ke din use khada kiya jayega is par ek kameez taarcoal (ya ek roghni syal madah jo sanober ke darakht se nikalta hai) ki hogi aur ek kharish ki kameez.
--------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3321

Sawal: Qabr mein Insan jab waha puche jane wale sawalo ke jawab nahi deta to uske saath kya kiya jata hai ?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

jawab ek se zyada

Sawal: Qabr mein Insan jab waha puche jane wale sawalo ke jawab nahi deta to uske saath kya kiya jata hai ?

A: Jahannum ka ek darwaaza khol diya jata hai
B: usay ek zarb lagai jati hai,
C: is se kaha jata hai is terhan soo jis terhan Manhoos sota hai
D: usse ke haath pav mein bediya dall di jati hai
E: uski Qabar tang kar di jati hai
F: usper ek faristha musallat kar diya jata hai joh usse subah sham qode marta hain
G: Uski Qabr mein Saanp aur bichchu chodh diye jate hain

H: Sahi Jawab ka Intezaar

**********************************

Sahi Jawab - ABCE✅

Reference📚:
------------
Abu Huraira RadiAllahu Anhu ne kaha ke Rasool-Allah Sallahu Alahi waSallam ne farmaya, Momin par maut utarti hai aur who (Apni Akhirat ki behtari ka) mushahida karta hai jo karta hai to woh chahta hai ke iski Rooh nikal jaye aur Allah Subhanahu taala ki mulaqaat ko pasand karta hai Momin ki Rooh ko Asman par le jaya jaata hain. Momeen ki roohein is ke paas aati hain, aur zameen par basne wale logon ke bare mein is se poochti hain jab woh rooh kehti hai ke falan ko zameen par chore aaya hon, to yeh baat inhen achi lagti hai aur jab woh kehta hai ke falan marr gaya hai, to woh kehte hain usay hamaray paas to nahi laya gaya aur momin ko is ki qabar mein bithaya jata hai aur is se poocha jata hai is ka RABB kaun hai? woh kehta hai mera RABB Allah hai. is se kaha jata hai tumhara Nabi kaun hai? woh kehta hai : Mere Nabi Mohammad Sallahu Alahi WaSallam hain woh Farishta kehta hai tumhara Deen kya hain? woh kehta hai mera Deen Islam hai tab is ke liye Qabar mein ek darwaaza khol diya jata hai, ya kaha jata hai apne thikaane ki taraf dehko woh qabar dehkta hai to goya woh ek aaraam da bistar ki terhan hoti hai. Lekin agar Allah ka koi dushman ho aur is par Maut uttre aur woh (apna bura Anjaam) dekh leta hai to woh pasand nahi karta ke is ki rooh kabhi bhi nikale. Allah Subhanahu taala bhi is ki mulaqaat ko na pasand karta hai jab woh apni qabar mein baithta hai ya usay bithaya jata hai, to is se kaha jata hai tera RABB kaun hai? woh kehta hai mujhe nahi maloom is se kaha jata hai tumhe nahi maloom. phir is ke liye Jahannum ka ek darwaaza khol diya jata hai, phir usay ek zarb lagai jati hai, jo jin o insan ke ilawa har janwar ko sunai deti hai. phir is se kaha jata hai is terhan soo, jis terhan Manhoos sota hai mein ne Abu Huraira RadiAllahu Anhu se kaha ye Manhoos kaun hota hain? Abu Huraira RadiAllahu Anhune kaha jisay kide makode aur saanp dasee phir is ki qabar tang kar di jati hain
-----
Sahi Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3258

Sawal: Kaunse sahabi ne ye kaha ke "Isi liye mai kahta ho ke jo hone wala hai isey likh kar qalam khushk ho chuka hain."

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Kaunse sahabi ne ye kaha ke "Isi liye mai kahta ho ke jo hone wala hai isey likh kar qalam khushk ho chuka hain."

A: Noman bin Bashir RadiAllahu Anhu
B:  Anas RadiAllahu Anhu
C: Usman Radi Allahu Anhu
D: Abu zarr RadiAllahu Anhu
E:  Abu khafa RadiAllahu ANhu
F:  Abu Bakr Radi Allahu Anhu
G:  Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar

Note: Agar Jawab G hai toh apna jawab likhiye

******************************

Sahi Jawab - G✅ (Abdullah Bin Umro RadiAllahu Anhu

Reference📚:
-----------
Abdullah bin umro bin Aas RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke Allah Subahnahu ne makhlooq ko andhere mein paida farmaya aur un par apna Noor daal diya to jis shakhs taq yeh noor poanch gaya woh hidayat pa gaya aur jis taq nahi pahoncha woh gumraah hogaya. Abdullah RadiAllahu Anhu ne kaha: isi liye mein kehta hon ke jo hone wala hai usse likh kar qalam khushk ho chuka hain.
--------
عبداللہ بن عمرو بن عاص رضی اللہ عنہما سے مرفوعا مروی ہے کہ اللہ تعالیٰ نے مخلوق کو اندھیرے میں پیدا فرمایا: اور ان پر اپنا نورڈالا تو جس شخص تک یہ نور پہنچ گیا وہ ہدایت پاگیا اور جس تک نہیں پہنچا وہ گمراہ ہوگیا۔ عبداللہ رضی اللہ عنہ  نے کہا: اسی لئے میں کہتا ہوں کہ: جو ہونے والا ہے اسے لکھ کر قلم خشک ہو چکا ہے۔
-----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3106

Sawal: Rasool-Allah Sallahu Alahi waSallam ne Makhlooq mein sabse behtar Insaan kise farmaya?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Rasool-Allah Sallahu Alahi waSallam ne Makhlooq mein sabse behtar Insaan kise farmaya?

A: Adam Alahi Salam
B: Ibrahim Alahi Salam
C: Dawood Alahi Salam
D: Isa Alahi Salam
E: Musa Alahi Salam
F: Mariya Alahi Salam
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezaar

***********************

Sahi Jawab - B✅

Reference📚:
-------
Anas Bin Malik RadiAllahu Anhu se riwayat hai kehte hain k eek Aami Rasool-Allah Sallahu Alahi waSallam ke pass aaya aur kehne laga. Eh Makhlooq mein sab se behtar Insaan! Toh Rasool-Allah Sallahu Alahi ne WaSallam ne farmaya wo Ibrahim Alahi Salam thy.
------
انس بن مالکرضی اللہ عنہ سے مروی ہے، کہتے ہیں کہ ایک آدمی رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس آیا اور کہنے لگا: اے مخلوق میں سب سے بہتر انسان !تو رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم ے فرمایا: وہ ابراہیم علیہ السلام تھے
------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3157

Sawal: Mahfum e hadith ke mutabiq Shaitan inmein se kaunse baat par raazi hogaya hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Mahfum e hadith ke mutabiq Shaitan inmein se kaunse baat par raazi hogaya hain?

A: Jab tum galat kaam karne par bhi sukun mehsoos karo
B:  Jab tumhare dil mein waswasa aaye
C: Jab tum logo ko haqeer samjhte ho
D: Jab tum chote gunaho par gaur na karo
E: Jab namaz ke liye tum susti karo
F:  Jab tumhara amal tumhe takleef de
G: Jab tumhari zuban Allah Subahanhu ke Zikr se rok liya jaye
H: Inmein se koi nahi

I: Sahi Jawab ka Intezaar

****************************

Sahi Jawab - C✅

Reference📚:

Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Nabi Sallahu Alahi wasallam ne farmaya Shaitan iss baat se na umeed hogaya hai ke tumahri is sir zameen par iski ibadat ki jaye lekin is baat par raazi hogaya hai ke tum (logo ko) haqeer samajte ho.
------
ابو ہریرہرضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ نبی  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: شیطان اس بات سے نا امید ہوگیا ہے کہ تمہاری اس سر زمین پر اس کی عبادت کی جائے لیکن اس بات پر راضی ہوگیا ہے کہ تم (لوگوں کو )حقیر سمجھتے ہو
------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3120

Sawal: Mahfum e hadith ke mutabiq Shaitan inmein se kaunse baat par raazi hogaya hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Mahfum e hadith ke mutabiq Shaitan inmein se kaunse baat par raazi hogaya hain?

A: Jab tum galat kaam karne par bhi sukun mehsoos karo
B:  Jab tumhare dil mein waswasa aaye
C: Jab tum logo ko haqeer samjhte ho
D: Jab tum chote gunaho par gaur na karo
E: Jab namaz ke liye tum susti karo
F:  Jab tumhara amal tumhe takleef de
G: Jab tumhari zuban Allah Subahanhu ke Zikr se rok liya jaye
H: Inmein se koi nahi

I: Sahi Jawab ka Intezaar

******************

Sahi Jawab - C✅

Reference📚:

Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Nabi Sallahu Alahi wasallam ne farmaya Shaitan iss baat se na umeed hogaya hai ke tumahri is sir zameen par iski ibadat ki jaye lekin is baat par raazi hogaya hai ke tum (logo ko) haqeer samajte ho.
------
ابو ہریرہرضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ نبی  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: شیطان اس بات سے نا امید ہوگیا ہے کہ تمہاری اس سر زمین پر اس کی عبادت کی جائے لیکن اس بات پر راضی ہوگیا ہے کہ تم (لوگوں کو )حقیر سمجھتے ہو
------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3120

Ek baar Rasool-Allah Sallahu Allahe WaSallam soo kar utte toh unka chehra mubarak surak tha tabhi Nabi Sallahu Alahe waSallam ne ek kalimat yh azkar teen baar dohraya Sawal: Wo kaunsa kalimat yh azkar tha?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Ek baar Rasool-Allah Sallahu Allahe WaSallam soo kar utte toh unka chehra mubarak surak tha tabhi Nabi Sallahu Alahe waSallam ne ek kalimat yh azkar teen baar dohraya

Sawal: Wo kaunsa kalimat yh azkar tha?


A.
يَا حَىُّ يَا قَيُّومُ بِرَحْمَتِكَ أَسْتَغِيثُ
Ya Hayyu Ya Qayyum, Bi-Raḥmatika Astagith
B.
اللَّهُ  اللَّهُ رَبِّي لَا أُشْرِكُ بِهِ شَيْئَاً
Allahu, Allahu Rabbi La Ushrika Behi shayaa
C.
الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي عَافَانِي مِمَّا ابْتَلاَكَ بِهِ وَفَضَّلَنِي عَلَى كَثِيرٍ مِمَّنْ خَلَقَ تَفْضِيلاً
Al-Hamdulillahi Alladhi Aafani Mimmabtalaka bihi wa faddalani Ala kathirin mimman khalaqa tafdila
D.
إِنَّا لِلَّهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُونَ اللَّهُمَّ أْجُرْنِي فِي مُصِيبَتِي وَأَخْلِفْ لِي خَيْرًا مِنْهَا ‏
inna Lillahi Wa inna ilahi rajeuun , Allahumma Ajurni fi Musibati Wa Akhlifli Khairam Minha
E.
 لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ رَبُّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ
La ilaha illAllahul Rabbul Arsh-il-Azeem
F. 
لآ اِلَهَ اِلّا اللّهُ
La ilaha illAllah

G. Inmein se koi nahi

H. Sahi Jawab ka Intezaar

Note: Agar Jawab G hai toh apna jawab likiye❗

*****************

Sahi Jawab - F✅

Reference📚:
------
Rasool Allah (ﷺ) so kar utthay to aap ka chehra mubarak surkh tha aur aap farma rahay they : «لا إله إلا الله» ”Allah ke siwa koi mabood barhaq nahi“ aap naay usay teen baar dohraya, phir farmaya : “ Is sharr ( fitnah ) se arab ke liye tabahi hai jo qareeb aa gaya hai, aaj yajooj majooj ki deewar mein itna sorakh ho gaya hai aur Aap naay ( haath ki unglio se ) das ki girah lagayi“ , Mein naay arz kya : Allah ke rasool (ﷺ) ! kya hum halaak kar diye jayen ge halaank hum mein naik log bhi hon ge? Aap (ﷺ) naay farmaya : ”han, jab burai ziyada ho jaye gi“ .
----------
Zainab bint Jahsah Radi Allahu Anhuma said: "One day the Messenger of Allah (ﷺ) awoke from sleep with a flushed red face, and said: 'La Ilahaillallah. He repeated it thrice. 'Woe to the Arabs from the evil drawn near. Today a gap has been made in the wall of Ya'juj and Ma'juj like this.' And he formed ten(with his fingers)." Zainab said: "I said: 'O Messenger of Allah! Shall we be destroyed while they are righteous among us?' He said: 'Yes, when the evil abounds."'
-------------
Sahi Hadees
Jami` at-Tirmidhi # 2187

Sawal: Wo kaun thy jinke hathon aur pavw mein chaar keelen thonk di, jab wo log inke pass se chale jaate toh Faristey un par sayaa kar dete thy?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Wo kaun thy jinke hathon aur pavw mein chaar keelen thonk di, jab wo log inke pass se chale jaate toh Faristey un par sayaa kar dete thy?

A: Bani Israiel ki qaum ki ek aurat
B: Isa Alahi Salam
C: Asiya Alahi Salam
D: Hajra Alahi Salam
E: Mariyam Alahi Salam
F: Musa Alahi Salam
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Note: Agar jawab G hai toh sahi jawab likiye

*****************

Sahi Jawab - C✅

Reference📚:
-----
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Firaon ne apni biwi (Asiya Alahe Salam) ke hathon aur pavw mein chaar keelen thonk den, jab woh log is ke paas se chalay jatay to farishtay is par saya kardete. woh kehnay lagi
رَبِّ ابۡنِ  لِیۡ عِنۡدَکَ  بَیۡتًا فِی الۡجَنَّۃِ وَ نَجِّنِیۡ  مِنۡ فِرۡعَوۡنَ  وَ عَمَلِہٖ وَ نَجِّنِیۡ  مِنَ الۡقَوۡمِ الظّٰلِمِیۡنَ{11}
 Eh Mere RABB! apne paas Jannat mein mere liye ek ghar bana, mujhe Firaon aur is ke Amal se nijaat de aur mujhe zalim qoum se nijaat de, tab Allah Subhanahu taala ny usay jannat mein is ka ghar dikhaya.
-----
ابو ہریرہرضی اللہ عنہ سے موقوفا مروی ہے کہ: فرعون نے اپنی بیوی کے ہاتھوں اور پاؤں میں چار کیلیں ٹھونک دیں ، جب وہ لوگ اس کے پاس  سے چلے  جاتے تو فرشتے اس پر سایہ کردیتے۔ وہ کہنے لگی: *رَبِّ ابۡنِ  لِیۡ عِنۡدَکَ  بَیۡتًا فِی الۡجَنَّۃِ  وَ نَجِّنِیۡ  مِنۡ فِرۡعَوۡنَ  وَ عَمَلِہٖ وَ نَجِّنِیۡ  مِنَ الۡقَوۡمِ الظّٰلِمِیۡنَ ﴿ۙ۱۱﴾    اے میرے رب! اپنے پاس جنت میں میرے لئے ایک گھر بنا ،مجھے فرعون اور اس کے عمل سے نجات دے۔ اور مجھے ظالم قوم سے نجات دے ،تب اللہ تعالیٰ نے اسے جنت میں اس کا گھر دکھادیا
-----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3125

Sawal: Rasool-Allah Sallahu Allahi WaSallam ne kis ke baare mein farmaya ke goya in ki aankhe Roshan sitaare si ho?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Rasool-Allah Sallahu Allahi WaSallam ne kis ke baare mein farmaya ke goya in ki aankhe Roshan sitaare si ho?

A: Jibraiel Alahi Salam
B: Arsh utane wale Faristey
C: Rasool-Allah Sallahu Alahi waSallam ki Ummat
D: Isa Alahi Salam
E: Mahdi Alahi Salam
F: Israfeel Alahi Salam
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Note: Agar jawab G hai toh sahi jawab likhiye

****************

Sahi Jawab - F✅

Reference📚:
-------
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallahu Alahi WaSallam ne farmaya ke Sahib Sor (Israfeel Alahi Salam) ko jab se zimmedari di gayi hain wo tayyar haalat mein Arsh ki taraf dehk raha hain is darr se ke kahi usse aankh jhapkane se pehlay he hokum na de diya jaye goya ke is ki aankhe chamkadar (Roshan) sitaare ho.
------
ابو ہریرہ‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نےفرمایا:صاحب صور(اسرافیل)کو جب سے ذمہ داری دی گئی ہے وہ تیار حالت میں عرش کی طرف دیکھ رہا ہے اس ڈر سے کہ کہیں اسے آنکھ جھپکنے سے پہلے ہی حکم نہ دے دیا جائے گویا کہ اس کی آنکھیں چمکدار ستارے ہوں۔
-----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3123

Ek baar Bani Israel ka ek badsha ne ek aadmi ko pakad liya aur usse kuch cheezo ka iktiyar diya aur kaha agar wo aisa na kare toh wo usse qatal kardega. Uss aadmi ne un tammam cheezo mein se sharab ko chuna uske baad uss aadmi mein wo sab kiya jis ka iktiyar usse diya gaya tha. Sawal: Sharab peene ke baad uss aadmi ne kya kya kiya?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hain

Ek baar Bani Israel ka ek badsha ne ek aadmi ko pakad liya aur usse kuch cheezo ka iktiyar diya aur kaha agar wo aisa na kare toh wo usse qatal kardega. Uss aadmi ne un tammam cheezo mein se sharab ko chuna uske baad uss aadmi mein wo sab kiya jis ka iktiyar usse diya gaya tha.

Sawal: Sharab peene ke baad uss aadmi ne kya kya kiya?

A: Bacche ka qatal
B: Riba
C: Khinzeer ka gosh
D: Juwa
E: Zulm
F: Zina
G: Chori

H: Sahi Jawab ka Intezaar

************************
Sahi Jawab - ACF✅

Reference📚:
-------
Salim bin Abdulah bin Umar RadiAllahu Anhu se riwayat hai, wo apne waalid se riwayat karte hain ke Abu baker Siddiq RadiAllahu Anhu, Umar bin Khattab RadiAllahu Anhu aur Rasool-Allah Sallahu Alahi WaSallam ke kuch sahaba Rasool-Allah Sallahu Alahi WaSallam ki wafaat ke baad baithy sab se badhe kabira gunah ka tazkira kar rahay thy un ke paas is bare mein koi hatmi ilm nahi tha. (jis par woh sab mutafiq ho sakin) unhon ne mujhe Abdulah ban Umro bin Aaas RadiAllahu Anhu ki taraf bheja ke mein un se is baray mein sawal karoon, unhon ne mujhe bataya ke sab se bara kabira gunah Sharaab piinaa hai mein un ke paas aaya aur inhen bataya to unhon ne is baat ka inkaar kar diya aur sab ke sab un ki taraf chal parre. (aur un ke ghar aagaye) Abdulah RadiAllahu Anhu ne inhen bataya ke Rasool-Allah Sallalahu Allahi WaSallam ne farmaya Bani Israel mein ek badshah ne ek aadmi ko pakada aur usay ikhtiyar diya ke woh sharaab piye ya bachay ko qatal kar de ya zina kare ya khanzeer ka gosht khaye agar is ne inkaar kiya to woh usay qatal kar denge is ne Sharaab ko ikhtiyar kiya, jab is ne sharaab pi li, to jin kamon ka is se mutalba huwa tha kisi se bhi baaz nahi raha, is waqt Rasool-Allah Sallahu Alahi WaSallam ne hum se farmaya jo shakhs sharaab peeta hai chalees din taq is ki namaz qubool nahi hoti aur jo shakhs marr jaye aur is ke masanay mein kuch (thori si hi) sharaab ho to is par Jannat haraam hai, aur agar woh chalees din ke andar marr jaye to woh jahaliat ki Maut marega.
---------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3127

Ek baar Rasool-Allah Sallahu Alahi WaSallam logo ko aur sahaba karam ko khutba de rahe thy tabhi unhone kaha ke tawazu ikthiyaar karo. Sawal: woh kis baat par Tawazu iktiyaar karne ko keh rahe thy?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zayda hai!

Ek baar Rasool-Allah Sallahu Alahi WaSallam logo ko aur sahaba karam ko khutba de rahe thy tabhi unhone kaha ke tawazu ikthiyaar karo.

Sawal: woh kis baat par Tawazu iktiyaar karne ko keh rahe thy? 

A: koi shakhs dusre shakhs per faqr na kare
B: koi shakhs kisi dusre ko tanna na de
C: koi shakhs kisi ke khilaf sirkashi na kare
D: koi shakhs kisi shakhs per Zulm na kare
E: koi shakhs kisi dusre per tohmat na lagaye
F: koi shakhs dusre shakhs ki geebat na kare
G: koi shakhs kisi ko kafir na kahe

H: Sahi Jawab Ka Intezaar

*************************
Sahi Jawab – ACD✅

Reference📚:
----
Abbas bin Hamir RadiAllahu Anhu se riwayet hai ke Rasool-Allah Sallahu Alahi waSallam ne farmaya: Beshak Allah Subhanahu ne meri taraf wahi ki hai ke tum tawazu ikhtiyar karo hatta ke koi kis par fakhr na kare aur na koi kis par zulm kare.
-----
عیاض بن حمار مجاشعی ؓ سے روایت ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا :’’ بے شک اللہ نے میری طرف وحی کی ہے کہ تم تواضع اختیار کرو حتی کہ کوئی کسی پر فخر نہ کرے اور نہ کوئی کسی پر ظلم کرے
-----
Sahih Hadees
Mishkat ul Masabeeh Hadees # 4898
-----
Ayad bin Hamaar RadiAllahu Anhu se riwayat hai keNabi Sallahu Alahi WaSallam ne logon/sahaba karaam ko khutba diya aur farmaya, yaqeenan Allah Subahanhu taala be meri taraf wahi ki ke tawazu (yani narmi) ikhtiyaar karo haata ke koi shakhs kisi dusre par fakhr na kare aur koi shakhs kisi dusre ke khilaaf sirkashi na kare.
-----
عیاض بن حماررضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے لوگوں/ صحابہ کرام کو خطہ دیا اور فرمایا: یقیناً اللہ تعالیٰ نے میری طرف وحی کی کہ تواضع اختیار کروحتی کہ کوئی شخص کسی دوسرے پر فخر نہ کرے اور کوئی شخص کسی دوسرے کے خلاف سر کشی نہ کرے۔
------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 56


Sawal: Inmein se kaun hai joh Jahannum ka haqdaar hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zayda hain!

Sawal: Inmein se kaun hai joh Jahannum ka haqdaar hain?

A: Mutaqabbir
B: Zayda khane wala
C: Bad mizaj
D: Sood khane wala
E: Bahut zayda maal jama karne wala
F: Zina karne wala
G: Bakheel
H: Chori karne wala

I: Sahi Jawab ka Intezaar

********************

Sahi Jawab - ABCEG✅

Reference📚:
-----
Abdulah bin umro bin Aas RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Nabi Sallahu Alahi WaSallam ne farmaya yaqeenan bad Khalq (yani bad mijaz) , aur bisyaar khawar (yani zayda khane wala), mutaqabbir, aur har Maal jama karne wala aur bukhal se kaam lene wala (yani bakheel) Jahannum ka haqdaar hai, aur Jannat ke haqdaar kamzor maghloob log honge
----
عَنْ عَبْدِ اللهِ بْنِ عَمْرِو بْنِ الْعَاصِ عَنْ النَّبِيِّ  صلی اللہ علیہ وسلم قَالَ إِنَّ أَهْلَ النَّارِ كُلُّ جَعْظَرِيٍّ جَوَّاظٍ مُسْتَكْبِرٍ جَمَّاعٍ سَمَنَّاعٍ وَأَهْلُ الْجَنَّةِ الضُّعَفَاءُ الْمَغْلُوبُونَ.
----
عبداللہ بن عمرو بن عاصرضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: یقیناً بد خلق، اور بسیار خوار، متکبر، اور ہر مال جمع کرنے والا اور بخل سے کام لینے والا جہنم کا حقدار ہے، اور جنت کے حقدار کمزور مغلوب لوگ ہونگے
----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 63

Sawal: kaunse shaqs ko Allah Subhanahu Jahannam ke pool par rok denge?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: kaunse shaqs ko Allah Subhanahu Jahannam ke pool par rok denge?

A: chugalkor
B: miskeen ka maal khane wala
C: Momeen par tohmat lagane wala aur jis se uska maqsad us ki burayee ho
D: Momeen ko gali dene wala
E: Momeen ko Kafir kehne wala aur uska maqsad usko neecha dhikhna ho
F: Qarz lene wala momeen aur uska maqsad usse lautana na ho
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

❗Note agar jawab G hai toh sahi jawab likhiye


******************

Sahi Jawab - C✅

Reference📚:
------
Hazrat Muaaz bin anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya
Jisne kisi Momeen ko munafiq ke shar (zulm) se bachaya to ALLAH subhanahu Qayamat ke din ek farishta bhejega jo uskey gosht ko jahanamma ki aag se bachayega aur jisney kisi musalman par tohmat lagayee jis sey uska maqsad us musalman ki burayee ho to Allah subhanahu usey jahannam ke pool par rok dega yahan tak ki wo us tohmat ke gunaah se paak hokar nikal jaye

Sunan Abu Dawud, Vol 3, 1453-Hasan
---------------------
Narrated Mu'adh ibn Anas Radiallahu anhu :
The Prophet (peace_be_upon_him) said: If anyone guards a believer from a hypocrite, Allah will send an angel who will guard his flesh on the Day of Resurrection from the fire of Jahannam if anyone attacks a Muslim saying something by which he wishes to disgrace him, he will be restrained by Allah on the bridge over Jahannam till he is acquitted of what he said.
Sunan Abu Dawud, Book 41, 4865- Hasan

Sawal: Mahfum mukammal kijiye koi bhi Nabi Alahi Salam tab tak faut nahi hota jab taq _____?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz 02❗

Sawal: Mahfum mukammal kijiye koi bhi Nabi Alahi Salam tab tak faut nahi hota jab taq _____?

A: wo apni ummat ki bakshish nahi karwa leta
B: wo apni qaum ko deen ki dawat nahi de deta
C: wo apni azmaeesh mein sabit qadam rahe
D: jab tak wo Allah ka farman logo tak na pahocha de
E: jab tak wo apna thikana Jannat mein nahi dehk leta
F: jab tak wo apne qaum mein sulah nahi karwa deta
G: jab tak qayamat aur uske azab ke bare mein na bata de
H: Inmein se koi nahi

I: Sahi Jawab ka Intezaar?

Note agar apka jawab H hai toh sahi jawab likhiye!

**********************


Sahi Jawab -E✅

Reference📚:
-----------
Aisha RadiAllahu Anhu se riwayat hain kehti hain ke Nabi Sallahu Alahi waSallam ne tandurusti ki haalat mein farmaya karte thy koi Nabi is waqt taq faut nahi hota jab taq Jannat mein is ka thikana usse nah dikha diya jaye, phir usay ikhtiyar de diya jata hai jab Aap Salalhu Alahi WaSallam ki Maut ka waqt aaya, Aap ka sir meri Raan par tha, Aap par ghashi taari ho gayi, phir kuch afaqa huwa to Aap Sallahu Alahi WaSallam ne ghar ki chaat ki taraf nazarein utha li phir farmaya Eh Allah ! Mujhe Rafeeq aala se mila de, mein ne kaha tab to Aap hamein nahi chunainge, (yani hum mein nahi rahenge) aur mujhe maloom ho gaya ke yeh wohi baat hai jo Aap Sallahu Alahi WaSallam hume tandrusti ki haalat mein farmaya karte thy kehti hain ke Aap Sallahu Alahi WaSallam ka aakhri kalma jo Aap ne kaha :' ' اللهم الرفیق الْأعْلى' ' tha
-----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3136

Sawal: Ek baar ek sahabi ne kaha ke unhe unke Khalil Rasool-Allah Sallahu Alahi waSallam ne kuch baatoh ka hukum diya. Wo kaun kaunsi batoh ka hukum irshad farma rahe thy?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz 01 ❗

Jawab ek se zayda hain!

Sawal: Ek baar ek sahabi ne kaha ke unhe unke Khalil Rasool-Allah Sallahu Alahi waSallam ne kuch baatoh ka hukum diya.

Wo kaun kaunsi batoh ka hukum irshad farma rahe thy?

A: La haula wa la quwwata illah billah kasrat se pardhe
B: Allahumma Agfirli Wa tub Alayya Innaka Antat-Tawwabul-Gafoor kasrat se pardhe
C: Miskeen se mohabbat kare aur unke qareeb hone ka hukum diya
D: hamesha apne se kumtar ke taraf dehke aur khud ko behtar ki taraf na dekhe
E: Ristedaron se jude rahe agarchey wo peeche haate
F: kabhi kisi shakhs se koi cheez na maange
G: hamesha sach bolne ka hukum diya agarchay kadwa he ho
H: Allah ke bare mein kisi bhi malamat se na dare
I: Rabbana Aatina fid-dunya ḥasanatan wa fil Aakhirati Hasanatan Wa Qina Azabann-nar kasrat se pardhe

J: Sahi Jawab ka Intezaar


***********************************


Sahi Jawab - ACDEFGH✅

Reference📚:
------
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai unhone kaha ke mujhe mere Khalil Sallalhu Alahi waSallam ne saat (7) baton ka hukum diya (1) Mujhe Miskeen se mohabbat karne aur un ke qareeb hone ka hukum diya. (2) Mujhe hukum diya ke mein apne se kumtar ki taraf daikhon aur khud se behtar ki taraf na daikhon, (3) Mujhe hukum diya ke rishtedaaron se judha rahon agarchay woh peechay hatte, (4) Mujhe hukum diya ke kisi bhi shakhs se koi cheez na maanguu, (5) Mujhe hukum diya ke sach kahoon agarchay kadwa he ho. (6) Mujhe hukum diya ke Allah ke baray mein kisi malamat karne walay ki malamat se na daru (7) Mujhe hukum diya ke mein La haula wa la Quwwata illa billah kasrat se parhon kyunkay yeh kalmaat arsh ke neechay ke kazane mein se hain (aur ek riwayat mein hai ke yeh Jannat ke khazanon mein se ek khazana hain.
---------
ابو ذررضی اللہ عنہ سے مروی ہے انہوں نے کہا کہ مجھے میرے خلیل صلی اللہ علیہ وسلم نے سات باتوں کا حکم دیا(۱)مجھے مساکین سے محبت کرنے اور ان کے قریب ہونے کا حکم دیا،(۲)مجھے حکم دیا کہ میں اپنے سے کمترکی طرف دیکھوں اور خود سے برتر کی طرف نہ دیکھوں،(۳)مجھے حکم دیا کہ رشتہ داروں سے جڑا رہوں اگرچہ وہ پیچھے ہٹیں،(۴)مجھے حکم دیا کہ کسی بھی شخص سے کوئی چیز نہ مانگوں،(۵)مجھے حکم دیا کہ سچ کہوں اگرچہ کڑوا ہی ہو،(۶)مجھے حکم دیا کہ اللہ کے بارے میں کسی ملامت کرنے والے کی ملامت سے نہ ڈروں،(۷)مجھے حکم دیا کہ میں لا حول ولا قوة الا باللہ کثرت سے پڑھوں کیونکہ یہ کلمات عرش کے نیچے کے خرانے میں سے ہیں(اور ایک روایت میں ہے کہ :یہ جنت کے خزانوں میں سے ایک خزانہ ہیں)۔
------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 53

Eh Mere RABB! Mujhe Namaz qaim karne wala rakh



Bismillahirrahmannirrahim

رَبِّ اجْعَلْنِي مُقِيمَ الصَّلَاةِ
----
Eh Mere RABB! Mujhe Namaz qaim karne wala rakh
----
 اے میرے رب! مجھے نماز قائم کرنے والا رکھ
----
O My Lord! Make me one who performs Salah
----
Al Quran: Surah Ibrahim: (14:40)



Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...