Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 20 January 2020

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se poocha gaya ke sab se zaida shareef inemin se kaun kaun hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hain!

 Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se poocha gaya ke sab se zaida shareef inemin se kaun kaun hain?

A. Jo apne sharmgah ki hifazat karte hain
B. Jo parhaizgaar ho
C. Yusuf Alaihi Salam
D. Jo Jahiliyat mai shareef thy or deen ki samjh ajaye
E. Walidein ki farmanbardaari karne waala
F. Khush-ikhlaq
G. Tauba or astaghfar kasrat se karne wala
H. Ibrahim Alaihi Salam

I: Sahi Jawab ka Intezaar

***********************************

Sahi Jawab - BCD✅

Reference📚:
----
Arz kiya gaya: Ya RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam ! Sabse ziada shareef kaun hai? Nabi Kareem Salallahu Alaihi wasallam ne farmaya "Jo sabse zyada parhezgar ho" .Sahaba ne arz kiya ke hum aap se iske mutaaluq nahi puchte.Nabi kareem Salallahu alaihi wasallam ne farmaya "phir Allah ke Nabi Yusuf bin Nabi Allah bin Nabi Allah bin khaleelullah (Sabse zyada shareef hain)" .Sahaba ne kaha ke hum iske mutalluq bhi nhi puchte.Nabi Kareem Salallahu Alaihi wasallam ne farmaya "Acha Arab ke khaandano ke mutalluq tum puchna chahte ho suno jo jahilat mai shareef they islam mein bhi woh shareef hain jabke deen ki samajh unhe aajaye" .Abu usama aur muatmar ne Abdullah se bayan kiya,In se sayeed ne aur inse Abu Hurairah RaziAllahu anhu ne aur Unhone Nabi Kareem Salallahu Alaihi wasallam se.
-----
Narrated Abu Huraira: The people said, "O Allah's Messenger (ﷺ)! Who is the most honorable amongst the people (in Allah's Sight)?" He said, The most righteous amongst them." They said, "We do not ask you, about this. " He said, Then Joseph, Allah's Prophet, the son of Allah's Prophet, The son of Allah's Prophet the son of Allah's Khalil (i.e. Abraham)." They said, "We do not want to ask about this," He said' "Then you want to ask about the descent of the Arabs. Those who were the best in the pre-lslamic period of ignorance will be the best in Islam provided they comprehend the religious knowledge."
----
 عرض کیا گیا: یا رسول اللہ! سب سے زیادہ شریف کون ہے؟ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”جو سب سے زیادہ پرہیزگار ہو۔“ صحابہ نے عرض کیا کہ ہم آپ سے اس کے متعلق نہیں پوچھتے۔ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”پھر اللہ کے نبی یوسف بن نبی اللہ بن نبی اللہ بن خلیل اللہ  ( سب سے زیادہ شریف ہیں ) “ صحابہ نے کہا کہ ہم اس کے متعلق بھی نہیں پوچھتے۔ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”اچھا عرب کے خاندانوں کے متعلق تم پوچھنا چاہتے ہو۔ سنو جو جاہلیت میں شریف تھے اسلام میں بھی وہ شریف ہیں جب کہ دین کی سمجھ انہیں آ جائے۔“ ابواسامہ اور معتمر نے عبیداللہ سے بیان کیا، ان سے سعید نے اور ان سے ابوہریرہ رضی اللہ عنہ نے اور انہوں نے نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم سے۔
----
Sahih Hadees
Sahih al-Bukhari 3353

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...