Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday, 20 January 2020

Ek baar ek aadmi ne kuch sawal kiye Islam, Imaan, Ehsaan aur Qayamat ke baare mein Sawal: Imaan se muraad kya hain

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaiyda hain!

Ek baar ek aadmi ne kuch sawal kiye Islam, Imaan, Ehsaan aur Qayamat ke baare mein

Sawal: Imaan se muraad kya hain

A: Allah k naik bandon par iman lana
B: Chand aur Sitaro par iman lana
C: Allah Subhanahu taala par iman lana
D: Fariston par iman lana
E: Rasoolon par iman lana
F: Allah ki Kitabon par iman lana
G: Akhirat ke din par iman lana
H: Sari ki sari taqdeer par iman lana
I:  Achi aur Buri taqdeer par iman lana

J: Sahi Jawab ka Intezaar


*********************************

Sahi Jawab - CDEFGHI✅

Reference📚:
-----------
Sayedna Umar bin Khataab RadiAllahu Anhu se riwayat hai woh kehte hain hum ek din Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ke paas baithy huwe they, achanak hamaray paas ek aadmi aaya, is ke kapray bohat ziyada safaid aur baal bohat ziyada siyah they, nah to is par safar ki koi alamat nazar aa rahi thi aur nah hum mein se koi usay pehchanta tha, behar haal woh aaya aur Nabi kareem Sallallahu Alaihi wasallam ke paas is terhan baith gaya ke apne ghutney Aap Sallallahu Alaihi wasallam ke ghutnon ke saath mila diye aur apne haath Aap Sallallahu Alaihi wasallam ki ranon par rakh diye aur kaha Eh Mohammad Sallallahu Alaihi wasallam mujhe Islam ke bare mein batao ke islam kya hai? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Islam yeh hai ke tu gawahi de ke Allah Subhanahu taala hi mabood barhaq hai aur hazrat Mohammad Sallallahu Alaihi wasallam Allah ke Rasool hain aur tu Namaz qaim kare, zakat ada kare, Ramadaan ke roze rakhay aur agar taaqat ho to bait Allah ka Hajj kare. is ne aage se kaha Aap ne sach kaha hai hamein bara taajjub huwa ke yeh shakhs sawal bhi karta hai aur tasdeeq bhi karta hai behar haal is ne phir sawal kiya aur kaha Aap mujhe Imaan ke baray mein batlaein. Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Imaan yeh hai ke to Allah Subhanahu taala, farishto, kitabon, Rasoolon, Akhirat ke din aur saari ki saari taqdeer, woh achi ho ya buri, par imaan laaye is ne kaha jee, Aap ne sach kaha hain is ne teesra sawal karte huwe kaha ab Aap mujhe Ehsaan ke bare mein batayen, Ehsaan kya hota hai? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Ehsaan yeh hai ke tu Allah Subhanahu taala ki is terhan ibadat kar ke goya to usay dekh raha hai, aur agar tu nahi dekh raha to woh to tujhe dekh raha hai is ne phir sawal kiya Aap mujhe Qayamat ke bare mein batayen. Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya masool, Qayamat ke bare mein sayel se ziyada ilm nahi rakhta is ne kaha tu phir Aap mujhe is ki alamton ke bare mein bata den. Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya woh ye hain londi apni malik ko janam degi, tu dekhe ga ke nangay pav aur nangay jismon walay bakriyon ke charwahay imaarton par ghuroor karenge Syedna Umar kehte hain phir woh bandah chala gaya aur Aap  Sallallahu Alaihi wasallam kuch zamane, ek rivayet ke mutabiq teen dinon taq is ke bare mein khamosh rahe aur phir mujhse farmaya Umar kya tum jante ho ke yeh sayel kaun tha? Mein ne kaha Jee Allah aur is ka Rasool he behtar jante hain, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ye Hazrat Jibreel thy, woh tum logon ko deen ki taleem daine ke liye aaye thy.
-------------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 55

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...