Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 15 September 2020

wo kaun log honge jo kabhi nuqsan nahi utayege

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Jawab ek se ziyada hain!


Sawal: wo kaun log honge jo kabhi nuqsan nahi utayege



A: Roza rakhne wale

B: waledain ki khidmat karne wale

C: Hajj karne wale

D: Quran padhne wale

E: har haal mein sabr karne wale

F: Posheedah aur Elaniya taur per kharch karne wale

G: Pabandi se Namaz padne wale



H: Sahi Jawab ka Intezaar

**********

Sahi Jawab - DFG✅


Quran Namaz aur Allah ne joh rizq diya hai usmein se karch karne wale kabhi nuqsan nahi uthayege


Reference📚:


Bismillahirrahmannirrahim 


إِنَّ الَّذِينَ يَتْلُونَ كِتَابَ اللَّـهِ وَأَقَامُوا الصَّلَاةَ وَأَنفَقُوا مِمَّا رَزَقْنَاهُمْ سِرًّا وَعَلَانِيَةً يَرْجُونَ تِجَارَةً لَّن تَبُورَ

---

Jo log Allah ki kitab ki tilawat karte hain , aur jinhon ne Namaz ki pabandi kar rakhi hai , aur hum ne unhen jo rizq diya hai , uss mein se woh (Naik kamon mein) khufiya aur Elaniya kharch karte hain , woh aisi tijarat ke umeedwaar hain jo kabhi Nuqsan nahi uthaye ge.

--- 

Indeed, those who recite the Book of Allah and establish prayer and spend [in His cause] out of what We have 

provided them, secretly and publicly, [can] expect a profit that will never perish

----

Al Quran: (Surah Fatir 35:29)

Wo kaun log honge jin ke liye Allah Subhanahu per haq hai ke wo unhe Aag se Azaad kar dega

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Wo kaun log honge jin ke  liye Allah Subhanahu per haq hai ke wo unhe Aag se Azaad kar dega


A: Musalman bhai ki gair majoodgi mein uski gheebat hone na de  

B: Musalman bhai ki adayat karne wale ko

C: Musalman bhai ki gair majoodgi mein uske ghar ki hifazat karne wale ko

D: Momeen bhai ki apne Maal se madad karne wale ko

E: Achchi aur Buri taqdeer per Iman laye

F: Tauba aur astagfaar karne wale 

G: Inmein se koi nahi


H: Sahi Jawab ka intezaar

*********


Sahi Jawab - A✅


Jo Shaqs apne Musalman bhai ki gair majoodgi mein gheebat hone na de usse Allah Subhanahu Aag se azzad farma dega


Reference📚:

-----

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ‌jis ne apne (Musalman) bhai ki ghair maujoodgi mein is ki gheebat na hone di to Allah Subhanahu par haq hai ke woh usse Jahannum ki Aag se Azad kar de

----

 اسماء بنت یزید ؓ بیان کرتی ہیں ، رسول اللہ صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا :’’ جس نے اپنے (مسلمان) بھائی کی غیر موجودگی میں اس کی غیبت نہ ہونے دی تو اللہ پر حق ہے کہ وہ اسے جہنم کی آگ سے آزاد کر دے ۔‘‘  ، رواہ البیھقی فی شعب الایمان ۔  

----

Mishkat ul Masabeeh Hadees # 4981-Sahih

Kaunse namaz ke waqt Aasman ke darwaze khole jaate hai aur us waqt Amal behjna Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam pasand karte thy

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗



Sawal: Kaunse namaz ke waqt Aasman ke darwaze khole jaate hai aur us waqt Amal behjna Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam pasand karte thy


A: Jumme ke din Asr ke waqt

B: Fajr ke waqt

C: Chast aur Ishraaq ke waqt

D: Maghrib ke waqt

E: Zawal ke baad Zohar se pehle

F: Isha ke pehle

G: Inmein se koi nahi


H: Sahi Jawab Ka Intezaar

**********


Sahi Jawab - E✅


Zawal ke baad Zohar se phele Asman ke darwaze khole diye jaate hain


Reference📚:

------

Aap Sallallahu Alaihi wassallam Zawal ke bad Zohar se pahle chaar rakat namaz padhte aur farmate yaqeena Aasman ke darwaze uss waqt khole jaate hain main pasand karta hun is waqt mein Naik Amal bheju

----

عبداللہ بن سائب سے مروی ہے كہ آپ صلی اللہ علیہ وسلم زوال كے بعد ظہر سے پہلے چار ركعت نماز پڑھتے، اور فرماتے :یقینا آسمان كے  دروازے (اس وقت) كھولے جاتے ہیں ۔ میں پسند كرتا ہوں كہ اس وقت میں نیك عمل بھیجوں

----

Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 697-Sahih

Wo kaunsa azkar hai joh Rasool-Allah Sallallahu Alahi wasallam apni aakhari zindagi mein kasrat se padha karte thy

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Jawab ek se ziyada hain


Sawal: Wo kaunsa azkar hai joh Rasool-Allah Sallallahu Alahi wasallam apni aakhari zindagi mein kasrat se padha karte thy


A: Alhumdullilahi Rabbil Aalameen

B: SubhanAllahi wa biHumdihi

C: Astagfirullah wa atubu illaih 

D: La illaha illallaha

E: Subhan-Allahil-azeem wa biHumdihi

F: Inna Lillahi Wa inna ilahi rajeuun

G: Alhamdulillahi Ala Kulli Haal

H: La hawla wala quwwata illaha billah


H: Sahi Jawab ka intezaar


************


Sahi Jawab - BC✅


Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam  apni aakhari zindagi mein kasart se yh Azkar padha karte thy...


Reference📚:

------

Sayeda Aisha RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam apni aakhari zindagi mein kasrat se yh zikar karte they (سُبْحَانَ اللّٰہِ وَبِحَمْدِہِ أَسْتَغْفِرُ اللّٰہَ وَأَتُوبُ إِلَیْہِ۔)


SubhanAllahi Wa biHamdihi Astagfirullah-wa atubu illaih


Mein ne kaha kya wajah hai ke Aap yh zikar bohat kasrat se karne lag gaye hain (سُبْحَانَ اللّٰہِ وَبِحَمْدِہِ أَسْتَغْفِرُ اللّٰہَ وَأَتُوبُ إِلَیْہِ۔)? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya beshak mere RABB ne mujhe yh khabar di thi ke mein anqareeb apni ummat mein ek alamat dehkhooga aur phir mujhe yh hukum bhi diya ke mein jab is ko dekh lu to is ki tareef ke saath tasbeeh bayan karu aur is se bakhshish talab karu, beshak woh tauba qubool karne karne wala hai, aur abb mein neh woh alamat un ayaat ki soorat mein dekh li hai :{إِذَا جَائَ نَصْرُ اللّٰہِ وَالْفَتْحُ وَرَأَیْتَ النَّاسَ یَدْخُلُوْنَ فِی دِینِ اللّٰہِ أَفْوَاجًا فَسَبِّحْ بِحَمْدِ رَبِّکَ وَاسْتَغْفِرْہُ إِنَّہُ کَانَ تَوَّابًا} Jab Allah ki madad aur fatah aajaye aur tu logon ko Allah ke deen mein juq dar juq aata dekh le toh Apne RABB ki tasbeeh karne lag hamd ke sath aur is se Maghfirat ki dua mang, beshak woh badha he tauba qubool karne wala hai. (سورۃ النصر - 110)

-------

 ۔ سیدہ عائشہ ‌رضی ‌اللہ ‌عنہا  سے مروی ہے کہ رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  اپنی آخری زندگی میں کثرت سے یہ ذکر کرتے تھے: سُبْحَانَ اللّٰہِ وَبِحَمْدِہِ أَسْتَغْفِرُ اللّٰہَ وَأَتُوبُ إِلَیْہِ، میں نے کہا: کیا وجہ ہے کہ آپ یہ ذکر بہت کثرت سے کرنے لگ گئے ہیں: سُبْحَانَ اللّٰہِ وَبِحَمْدِہِ أَسْتَغْفِرُ اللّٰہَ وَأَتُوبُ إِلَیْہِ؟ آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  بیشک میرے ربّ نے مجھے یہ خبر دی تھی کہ میں عنقریب اپنی امت میں ایک علامت دیکھوں گا اور پھر مجھے یہ حکم بھی دیا کہ میں جب اس کو دیکھ لوں تو اس کی تعریف کے ساتھ تسبیح بیان کروں اور اس سے بخشش طلب کروں، بیشک وہ توبہ قبول کرنے کرنے والا ہے، اور اب میں نے وہ علامت ان آیات کی صورت میں دیکھ لی ہے:  {إِذَا جَائَ نَصْرُ اللّٰہِ وَالْفَتْحُ وَرَأَیْتَ النَّاسَ یَدْخُلُوْنَ فِی دِینِ اللّٰہِ أَفْوَاجًا فَسَبِّحْ بِحَمْدِ رَبِّکَ وَاسْتَغْفِرْہُ إِنَّہُ کَانَ تَوَّابًا}  جب اللہ کی مدد اور فتح آ جائے۔ اور تو لوگوں کو اللہ کے دین میں جوق در جوق آتا دیکھ لے۔ تو اپنے رب کی تسبیح کرنے لگ حمد کے ساتھ اور اس سے مغفرت کی دعا مانگ، بیشک وہ بڑا ہی توبہ قبول کرنے والا ہے۔  (النصر: ۱۔۳)

-------

Musnad Ahmed#5484-Sahih

Allah Subhanahu apna chehre mubarak ka rukh kaunse shaqs ke liye mutawajao kar dete hai

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Allah Subhanahu apna chehre mubarak ka rukh kaunse shaqs ke liye mutawajao kar dete hai


A: Mazlum ki maddad karte waqt

B: Namaz padhte waqt

C: Sadqa dete waqt

D: Waledain ke saath husn saluq karte waqt

E: Quran ki tilawat karte waqt

F: Quran ki ayat hifz karte waqt

G: Inmein se koi nahi


H: Sahi Jawab ka intezaar


❗Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye

**********


Sahi Jawab - B✅


Namaz padhne wale shaqs ki taraf Allah Subhanahu apna chehra mubarak mutawajjah kar dete hai


Reference📚:

-----

Huzaifa Radi Allahu Anhu se riwayat hai unhon ne kaha ki  Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : jab tum mein se koi shakhs apni Namaz mein khada hota hai, to Allah Subhanahu ta'ala apne chehray ka rukh is ki taraf kar ke mutawajjah ho jata hai. is liye koi shakhs apne Qible ki taraf hargiz na thuke na apne dayen taraf thuke kuy na ke nekiya likhne walay dayen taraf hotay hain, lekin apne baen taraf thuke

-----

حذیفہ‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے انہوں نے كہاكہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جب تم میں سے كوئی شخص اپنی نماز میں كھڑا ہوتا ہے ،  تو اللہ تعالیٰ اپنے چہرے كا رخ اس كی طرف كر كے متوجہ ہو جاتا ہے۔ اس لئے كوئی شخص اپنے قبلہ كی طرف ہر گز نہ تھوكے ، نہ اپنے دائیں طرف تھوكے۔ كیونكہ نیكیاں لكھنے والے دائیں طرف ہوتے ہیں، لیكن اپنے بائیں طرف تھوكے۔

-----

Al-Silsila-tus-Sahiha#521- Sahih

Mareez ki ayadat kare toh uske liye dua kare ke Eh Allah tu apne bande ko shifa de





Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Mareez ki ayadat kare toh uske liye dua kare ke Eh Allah tu apne bande ko shifa de
-----
Abdullah bin Umar RadiAllahu Anhu kehte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Allahi wasallam ne farmaya jab tum mein se koi shakhs kisi Mareez ke ayadat kare to kahe Eh Allah apne bande ko Shifa de taake tere dushman zakhmi karke maar de ya tere liye namaz ki  taraf jaye .
-----
عَنْ عَبْدِ اللهِ بْنِ عَمْرِو قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللهِ  صلی اللہ علیہ وسلم : إِذَا عَادَ أَحدكُم مَّرِيْضًا فَلْيَقُل :اللَّهُمَّ اشْفِ عَبْدَكَ يَنْكَأُ لَكَ عَدُوًّا وَّيَمْشِي لَكَ إِلَى الصَّلَاةِ
----
عبداللہ بن عمر و رضی اللہ عنہما كہتے ہیں كہ رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: جب تم میں سے كوئی شخص كسی مریض كی عیادت كرے تو كہے:اے اللہ اپنے بندے كو شفا دے ، تاكہ تیرے دشمن زخمی کرکے مار دے۔ یا تیرے لئے نماز كی طرف جائے۔
-----
Al-Silsila-tus-Sahiha#3223-Sahih


 

Aur bhalai aur buraiee barabar nahi hosakti to (sakht kalami ka) aisay tareeqe se jawab do jo bohat acha ho




Bismillahirrahmannirrahim

وَلَا تَسْتَوِي الْحَسَنَةُ وَلَا السَّيِّئَةُ ۚادْفَعْ بِالَّتِي هِيَ أَحْسَنُ
-----
Aur bhalai aur buraiee barabar nahi hosakti to (sakht kalami ka) aisay tareeqe se jawab do jo bohat acha ho
-----
اور بھلائی اور برائی برابر نہیں ہوسکتی۔ تو (سخت کلامی کا) ایسے طریق سے جواب دو جو بہت اچھا ہو 
-----
Good and evil are not alike. Repel evil with what is good. 
------
Surah Fussilat: (41:34)


 

Samundar ke jhaag ke barbar gunah maaf



Bismillahirrahmanirrahim

✦ Samundar ke jhaag ke barbar gunah maaf
------------
✦ Abdullah bin umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya zameen par koi bhi, jab ye kalimat kahta hai to uske gunah bakhsh diye jate hain chahe wo samundar ke jhaag ke barbar hi kyu na ho

لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ وَلاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ

✦ La ilaha illAllah, wa Allahu Akbar, wa La ḥawla wa La Quwwata illa Billah
--------
Allah subhanahu  ke siwa koi sachcha mabud nahi aur Allah sabse bada hai aur Allah ke siwa kisi kaam ko karne ki kisi mein na koi taqat hai aur na hi quwwat
Jamia Tirmizi, Jild 2, 1385-Hasan
--------------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: زمین پر کوئی بھی جب یہ کلمات کہتا ہے  تو اس کے گناہ بخس دے جاتے ہیں چاہے وہ  سمندر کے جھاگ  کے برابر ہی کیو نہ ہوں 

لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ وَلاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ
اللہ سبحانه کے سوا کوئی سچچا  معبود نہیں ہے اور اللہ سب سے بڑا ہے، اور اللہ  کے سوا کسی کام کے کرنے کی کسی میں نہ کوئی طاقت ہے اور نہ ہی قوت“،
جامع ترمیزی جلد ٢ – ١٣٨٥ - حسن 
---------------
✦ अब्दुल्लाह बिन उमर रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया ज़मीन पर कोई भी जब ये कलिमात कहता है , तो उसके गुनाह बख़्श दिए जाते हैं चाहे समंदर के झाग के बराबर ही क्यूँ ना हो

لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ وَلاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ
✦ ला ईलाहा ईलल्लाह वा अल्लाहू अकबर, वा ला हौला वा ला क़ुव्वता इल्ला बिल्लाह 
जामिया तिरिमिज़ी , जिल्द 2, 1385-हसन
-------------
✦ Abdullah bin Amr Radi Allahu Anhu narrated that  RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam said Anyone upon the earth says these words his sins will be forgiven even if they were like the foam of the sea.

لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ وَلاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ
✦ La ilaha illAllah, wa Allahu Akbar, wa La Hawla wa La Quwwata illa Billah
None has the right to be worshipped but Allah, and Allah is the Greatest, and there is no might nor power except by Allah, 
Jamia Tirmizi, Book 45, 3460-Hasan

Quran majid padhne ka sawab



Bismillahirrahmanirraheem

✦ Quran majid padhne ka sawab
---------------------------------
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jisne Quran majid mein se ek haraf padha to usko iske badle ek neki di jayegi aur har neki ka sawab das guna hai main ye nahi kahta ki Alif-Laam-Meem (ek) haraf hai bulki Alif ek haraf hai Laam ek haraf hai aur meem bhi ek haraf hai ( yani koi musalman Alif-Laam-Meem padhda hai to usko 3 neki milti hain jiska sawab 30 nekiyo ke barabar hota hai)
Jamia Tirmizi, Jild 2, 819-Hasan
---------------------------------
Aaeeye Hum aur aap bhi Surah Al-Fatiha ko padhkar bahut sara sawab hasil kar lete hain in Sha Allah 
---------------------------------
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيمِ
✦ Allah ke naam se shuru jo bada meharban nihayat raham wala hai

الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ
✦ Sab tarah ki taarif Allah subhanahu hi ke liye hain jo tamam makhluqat ka RABB hai

الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيمِ
✦ bada meharban nihayat raham wala 

مَالِكِ يَوْمِ الدِّينِ
✦ Insaf ke din ka haakim

إِيَّاكَ نَعْبُدُ وَإِيَّاكَ نَسْتَعِينُ
✦ (Ya RABB) Hum teri hi ibadat karte hain aur tujhi se madad maangte hain

اهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ
✦ Humko seedhe raaste par chala

صِرَاطَ الَّذِينَ أَنْعَمْتَ عَلَيْهِمْ 
✦ Un logo ke raaste par jin par tu apna fazal aur karam karta raha

غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلَا الضَّالِّينَ
✦ Na ki unke jin par tu gussa hota raha aur na gumraho ke


 

Jo shaqs apni zaban ki hifazat karega toh Allah Subhanahu uski parda poshi karega




Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Jo shaqs apni zaban ki hifazat karega toh Allah Subhanahu uski parda poshi karega
----
Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu rivayat hai ke jis shakhs ney apne ghusse per kabu paa liya Allah Subhanahu ta’ala is se apna azaab roke le ga aur jis shakhs ney apni zabaan ki hifazat ki Allah Subhanahu ta’ala is ki parda poshi karega aur jo shakhs Allah se Mazzart (Maafi) karega Allah Subhanahu is se is ki mazzart qubool karega .
-------------
انس بن مالکرضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے کہ جس شخص نے اپنے غصےپر قابوپالیا، اللہ تعالیٰ اس سے اپنا عذاب روک لے گا اور جس شخص نے اپنی زبان کی حفاظت کی اللہ تعالیٰ اس کی پردہ پوشی کرے گا اور جو شخص اللہ سے معذرت کرے گا اللہ اس سے اس کی معذرت قبول کرے گا۔ 
----------
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 418-Sahih


 

Padosiyon ke zariye insan ka achacha aur bure hone ka saboot pata chalta hain





Bismillahirrahmannirahim

Hadith: Padosiyon ke zariye insan ka achacha aur bure hone ka saboot pata chalta hain
----
Ibn Masood RadiAllahu Anhu bayan karte hain, ek aadmi ne Nabi Sallallahu Alaihi wasallam se arz kiya Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam mujhe kaise pata chale ke mein achcha hu ya bura? Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Jab tum apne padosiyon ko kehte huwe suno ke tum achche ho to tum achche ho aur jab tum inhen kehte huwe suno ke tum bure ho to tum bure ho
-------
ابن مسعود ؓ بیان کرتے ہیں ، ایک آدمی نے نبی صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم سے عرض کیا : اللہ کے رسول ! مجھے کیسے پتہ چلے کہ میں اچھا ہوں یا برا ؟ نبی صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا :’’ جب تم اپنے پڑوسیوں کو کہتے ہوئے سنو کہ تم اچھے ہو تو تم اچھے ہو اور جب تم انہیں کہتے ہوئے سنو کہ تم برے ہو تو تم برے ہو ۔‘‘      ، رواہ ابن ماجہ ۔ 
----
Mishkat ul Masabeeh#4988-Sahih


 

Duniya aur Akhirat mein khair mangne ki dua





Bismilahirrahmanirrahim

Duniya aur Akhirat mein khair mangne ki dua
----
 رَبَّنَا آتِنَا فِي الدُّنْيَا حَسَنَةً وَفِي الآخِرَةِ حَسَنَةً وَقِنَا عَذَابَ النَّارِ

Rabbana Aatina fid-dunya hasanatan wa fil Aakhirati Hasanatan Wa Qina Azabann naar.
-----
Eh hamare RABB humein Duniya mein bhi Bhalaii de aur Aakhirat mein bhi bhalaii de aur humein Dozakh ke azab se bacha.
------
اے ہمارے رب ہمیں دنیا میں بھی بھلائی دے اور آخرت میں بھی بھلائی دے اور ہمیں دوزخ کے عذاب سے بچا  
------
Bismilahirrahmanirrahim

Dua to ask for the best in the both worlds
----
"O Allah! Give to us in the world that which is good and in the Hereafter that which is good and save us from the Fire.
------
Al Quran Surah Baqara (2), 201

Jo koi bhi Sayyadal Astigfar ko shaam ke waqt padhega uske liye jannat wajib ho jayegi





Bismillahirrahmanirrahim 

✦ Hadith : Jo koi bhi Sayyadal Astigfar ko shaam ke waqt padhega uske liye jannat wajib ho jayegi
--------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jo koi bhi Sayyadal Astigfar ko shaam ke waqt padhega uske liye jannat wajib ho jayegi
---
اللَّهُمَّ أَنْتَ رَبِّي، لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ، خَلَقْتَنِي وَأَنَا عَبْدُكَ، وَأَنَا عَلَى عَهْدِكَ وَوَعْدِكَ مَا اسْتَطَعْتُ، أَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ مَا صَنَعْتُ، أَبُوءُ لَكَ بِنِعْمَتِكَ عَلَىَّ وَأَبُوءُ لَكَ بِذَنْبِي، فَاغْفِرْ لِي، فَإِنَّهُ لاَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلاَّ أَنْتَ
---
✦ Allahumma anta Rabbi la ilaha illa anta, Khalaqtani wa ana abduka, wa ana 'ala ahdika wa wa'dika mastata'tu, Awuzu bika min sharri ma sana'tu, abu'u Laka bini'matika 'alaiya,  wa Abu'u Laka bizambi fagfirli fa innahu la Yagfiru-az-zunuba illa anta.
--------
✦ Tarjuma : Eh Allah tu hi mera RAB hai, tere siwa koi mabud nahi, tune hi mujhe paida kiya hai aur main tera hi Banda hu, main apni taqat ke mutabiq tujhse kiye huye Ahad aur wade par qayam hun, main tujhse us cheez ki burayee se panah maangta hu jisko maine kiya ,main tere samne teri naimaton ka iqrar karta hu jo tune mujhe ata farmayee, Aur main apne gunahon ka bhi iqrar karta hun, tu mujhe maaf kar de , beshak tere siwa gunahon ko koi maaf karne wala nahi
--------

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا جو  کوئی بھی شخص شام کے وقت  سیّد الاستغفار پڑھےگا  اس کے لئے جنت واجب ہو جائے گی۔
السلسلہ صحیحہ ٢٧٨٦ 


اللَّهُمَّ أَنْتَ رَبِّي، لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ، خَلَقْتَنِي وَأَنَا عَبْدُكَ، وَأَنَا عَلَى عَهْدِكَ وَوَعْدِكَ مَا اسْتَطَعْتُ، أَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ مَا صَنَعْتُ، أَبُوءُ لَكَ بِنِعْمَتِكَ عَلَىَّ وَأَبُوءُ لَكَ بِذَنْبِي، فَاغْفِرْ لِي، فَإِنَّهُ لاَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلاَّ أَنْتَ

 ترجمہ :  ‏ اے اللہ ! تو میرا رب ہے ، تیرے سوا کوئی معبود نہیں ۔ تو نے ہی مجھے پیدا کیا اور میں تیرا ہی بندہ ہوں میں اپنی طاقت کے مطابق تجھ سے کئے ہوئے عہد اور وعدہ پرقائم ہوں ۔ ان بری حرکتوں کے عذاب سے جو میں نے کی ہیں تیری پناہ مانگتا ہوں مجھ پر نعمتیں تیری ہیں اس کااقرار کرتا ہوں ۔ میری مغفرت کر دے کہ تیرے سوا اور کوئی بھی گناہ نہیں معاف کرتا 
----
✦ रसूल अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया जो कोई भी सय्यद-अल-अस्तिगफार को शाम के वक़्त पढ़ेगा उसके लिए जन्नत वाजिब हो जाएगी 

✦ अल्लहुम्मा अंता रब्बी ला ईलाहा इल्ला अंत, खलक़तनी वा अना अबदुक
वा अना 'आला अहदिका वा वाअदीका मसतताअतू, आवूज़ुबिका मीन शर्री मा सनाअतू 
अबू'उ लका बिनीअमतिका अलय , वा अबू'उ लका बिज़म्बी
फगफ़ीरली , फ़इन्नहू ला याग्फीरूज़-ज़ुनूबा इल्ला अंत

✦ तर्जुमा : एह अल्लाह तू मेरा रब है तेरे सिवा कोई माबूद नहीं , तूने ही मुझे पैदा किया है और मैं तेरी ही बंदा हूँ , मैं अपने ताक़त के मुताबिक़ तुझसे किये हुए अहद और वादे पर क़ायम हूँ ,
मैं तुझसे उस चीज़ की बुराई से पनाह मांगता हूँ जिसको मैंने किया , मैं तेरे सामने तेरी नेअमतों का इकरार करता हूँ जो तूने मुझे अता फरमाई और मैं अपने गुनाहों का भी  इकरार करता हूँ ,तू मुझे माफ़ कर दे , बेशक तेरे सिवा गुनाहों को कोई माफ़ करने वाला नहीं है
अल सिलसिला सहीहा-2786
-----
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said whoever will recite sayyadal Astigfar in the evening the paradise will be Obligatory for him

✦ Allahumma anta Rabbi la ilaha illa ant, Khalaqtani wa ana abduk, wa ana 'ala ahdika wa wa'dika mastata't,Awuzu bika min sharri ma sana't, abu'u Laka bini'matika 'alay, wa Abu'u Laka bizambi fagfirli fa innahu la Yagfiru-az-zunuba illa anta.
---------
Translation: O Allah, You are my Lord, none has the right to be
worshiped except You, You created me and I am Your servant and I Obey to Your covenant and promise as best as I can,
I take refuge in You from the evil of which I committed.
I acknowledge Your favor upon me and I acknowledge my sin,
so forgive me, indeed none can forgive sins except You.
 Al-Silsila-As-Sahiha - 2786


 

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...