Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday, 20 January 2020

Sawal: RasoolAllah Sallahu Alahi WaSallam ne ek baar ek he hadith mein kuch kaam karne ka hukm diya aur kuch kaam karne ko mana kaha, Inmein se wo kaun kaunse kaam hai jinka hukum Nabi Kareem Sallahu Alahi WaSallam ne diya tha?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hain!

Sawal: RasoolAllah Sallahu Alahi WaSallam ne ek baar ek he hadith mein kuch kaam karne ka hukm diya aur kuch kaam karne ko mana kaha, Inmein se wo kaun kaunse kaam hai jinka hukum Nabi Kareem Sallahu Alahi WaSallam ne diya tha?

A: Qarzdaar ke saath Sila Rehmi karna
B: Janaze ke saath chalna
C: Mareez ki ayadat karna
D: Dawal qabool karna
E: Mazak mein bhi jhooth mat bolna 
F: Qasam poori karna
G: Salam ka jawab dena
H: Cheenk par jawab dena Ya RahmakAllah
I: Mazloom ki madad karna

J: Sahi Jawab ka Intezaar

*****************************************

Sahi Jawab - BCDFGHI✅

Reference📚:
------
Nabi Kareem Sallahu Alahi WaSallam ne saat kamon ka hukum diya aur saat kamon se roka hamein Aap Sallahu Alahi WaSallam ne hukum diya tha Janaze ke saath chalne, Mareez ki mizaaj pursi, Dawat qubool karne, Mazloom ki madad karne ka, Qasam poori karne ka, Salam ka jawab dene ka, Cheenk par « Ya RahmakAllah » kehne ka aur Aap Sallahu Alahi WaSallam ne hamein mana kiya tha chandi ke bartan (istemaal mein laane) se, sone ki anguthi pehan ne se, Resham aur Dibej ( ke kapdoh ke pehanne) se, Qassi se, Istabraq se
-----------
Narrated Al-Bara' bin `Azib: Allah's Messenger (ﷺ) ordered us to do seven things and forbade us to do other seven. He ordered us: to follow the funeral procession. to visit the sick, to accept invitations, to help the oppressed, to fulfill the oaths, to return the greeting and to reply to the sneezer: (saying, "May Allah be merciful on you," provided the sneezer says, "All the praises are for Allah,"). He forbade us to use silver utensils and dishes and to wear golden rings, silk (clothes), Dibaj (pure silk cloth), Qissi and Istabraq (two kinds of silk cloths).
-------------
Sahih Hadees
Sahih al-Bukhari 1239

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...