❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Mahfuhm e hadith ke mutabiq Yh kalimat inmein se kiske liye farmaya gaya tha ke jab bhi unper koi muskil paish aayi Allah Subhanahu ne unke liye nijaat ka rasta paida farma diya aur musalmano ke liye uss mein barkat rak di gayi?
A: Ali RadiAllahu Anhu
B: Fatema RadiAllahu Anhuma
C: Mariyam Alahi Salam
D: Abu Bakr RadiAllahu Anhu
E: Eesa Alahi Salam
F: Ayesha RadiAllahu Anhuma
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
***********
Sahi Jawab - F✅
Reference📚:
--------------
Aisha RadiAllahu Anhuma unhon ne Asma RadiAllahu Anhuma se ek haar ariya liya, aur wo kho gaya, Nabi Akram Sallallahu Alaihi wasallam ne usay dhundhane ke liye kuch logon ko bheja, itnay mein namaz ka waqt ho gaya, logon ne baghair wudu ke namaz parhi, jab log Nabi Akram Sallallahu Alaihi wasallam ke paas wapas aaye to Aap se is ki shikayat ki, to is waqt tayamum ki aayat nazil huwi, Asayed bin Huzairi RadiAllahu Anhu ne Aisha RadiAllahu Anhuma se kaha Allah Subhanahu ta’ala aap ko jazaye khair de, Allah ki qasam! Jab bhi aap ko koi mushkil paish aayi, Allah Subhanahu ta’ala ne aap ke liye is se nijaat ka rasta paida farma diya, aur musalmanoon ke liye is mein barket rakh di
-------------
It was narrated from 'Aishah that: She borrowed a necklace from Asma', and she lost it. The Prophet sent some people to look for it, and the time for prayer came so they prayed without ablution. When they came to the Prophet they complained to him about that, then the Verse of dry ablution was revealed. Usaid bin Hudair said: "May Allah reward you with good, for by Allah, nothing ever happens to you but Allah grants you a way out and blesses the Muslims thereby."
----------------
Sahih Hadees
Sunnan e Ibn e Maja Hadees # 568
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
La Ilaha IllAllah
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirrahmanirrahim Hadith: Har farz namaz ke baad Aayat Al-kursi padhne ki fazilat ------- Abu Umamah RadiAllahu Anhu se rivayat hain ...
-
Bismillahirrahmanirrahim Jannat kahti hai ki YA ALLAH isko jannat mein dakhil farma ----------------- Rasool-Al...
-
Bismillahirrahamnnirrahim Hadith: Quran ki sabse badi aayat hain Aayat Al Kursi ----- Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya All...
-
Bismillahirahmanirrahim Hadith: Allah ki Qasam Wo Momeen Nahi jiske Shar se uska padosi Mehfuz Nahi ------- Rasool-e-Kareem Sallallahu Alah...
-
Bismillahirrahmannirrahim وَهُوَ مَعَكُمْ أَيْنَ مَا كُنتُمْ ---- "Aur jahan kahin tum ho wo (ALLAH) tumharay saath h...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Jawab ek se ziada hain Sawal: Inmein se kya kya Nabuwat ka hissa hai? A: achcha chaal challan B: achcha akhl...
-
Bismillahirahmanirrahim اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّد Allahumma Salli Ala Muhammed ---- Eh Allah Rahmat nazil farma ...
-
Bismillahirrahmannirrahim فَاصْبِرْ لِحُكْمِ رَبِّكَ ------- Tum apne RABB ke hukum per sabr karo ------- تم اپنے رب کے حکم پر صبر کرو -----...
No comments:
Post a Comment