Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 9 February 2020

Mahfuhm e hadith ke mutabiq inmein se kaunse shaqs ko roye zameen wale bhi maqbool smajhne lagte hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Mahfuhm e hadith ke mutabiq inmein se kaunse shaqs ko roye zameen wale bhi maqbool smajhne lagte hain?

A: Tahajjud guzar shaqs
B: Waledain ka kidmat guzar shaqs
C: pacho namazo ko bajamat adda karne wala shaqs 
D: Hajj karne wala shaqs
E: Bewa miskeen ki maddat karne wala shaqs
F: Quran ko samajh kar padne wala shaqs
G: Ilm sheekne wala shaqs 
H: Inmein se koi nahi

I: Sahi Jawab ka intezaar

************

Sahi Jawab - H✅ (Jis shaqs se Allah Subnahu ta'ala Mohabbat karta hai)

Reference📚:
-------------
Abu Huraira Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Nabi Kareem Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya ke jab Allah Subhanahu ta’ala kisi bande se Mohabbat karta hai to Jibraiel Alaihi Salam se farmata hai ke Allah Subahnahu ta’ala falan shakhs se mohabbat karta hai tum bhi is se mohabbat rakho, chunancha Jibraiel Alaihi Salam bhi is se Mohabbat rakhe lagtay hain phir Jibraiel Alaihi Salam tamam ahal aasman ko pukaar dete hain ke Allah Subanahu ta’ala falan shakhs se Mohabbat rakhta hai is liye tum sab log is se Mohabbat rakho, chunancha tamam aasman walay is se Mohabbat rakhne lagtay hain is ke baad roye zameen walay bhi is ko maqbool samajte hain.
-------------
ابوہریرہ رضی اللہ عنہ نے بیان کیا کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ جب اللہ تعالیٰ کسی بندے سے محبت کرتا ہے تو جبرائیل علیہ السلام سے فرماتا ہے کہ اللہ تعالیٰ فلاں شخص سے محبت کرتا ہے۔ تم بھی اس سے محبت رکھو، چنانچہ جبرائیل علیہ السلام بھی اس سے محبت رکھنے لگتے ہیں۔ پھر جبرائیل علیہ السلام تمام اہل آسمان کو پکار دیتے ہیں کہ اللہ تعالیٰ فلاں شخص سے محبت رکھتا ہے۔ اس لیے تم سب لوگ اس سے محبت رکھو، چنانچہ تمام آسمان والے اس سے محبت رکھنے لگتے ہیں۔ اس کے بعد روئے زمین والے بھی اس کو مقبول سمجھتے ہیں۔ 
-----------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 3209

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...