Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday, 9 February 2020

Ek martaba Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne fitne ke zikr par farmaya ke jab tum logo ko dekho ke wo apne wado ki paasdari nahi kar rahe hai amanato ke bojh halka samjha jane laga to us waqt ek sahabai aap se pocha k mein uss waqt kya karo..

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do sawal hain! aur dusre sawal mein jawab ek se ziada hain!

Ek martaba Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne fitne ke zikr par farmaya ke jab tum logo ko dekho ke wo apne wado ki paasdari nahi kar rahe hai amanato ke bojh halka samjha jane laga to us waqt ek sahabai aap se pocha k mein uss waqt kya karo..

Sawal 1: Wo Sahabi kaun thy?

A: Saad Bin Abi Waqqas Radi Allahu Anhu
B: Zubair Bin Talha Radi Allahu Anhu
C: Abdullah Bin Amro Radi Allahu Anhu
D: Salman Farsi Radi Allahu Anhu
E: Umar Bin Khattab Radi Allahu Anhu
F: Khaled Bin Walid Radi Allahu Anhu
G: Inmein se koi nahi

Sawal 2: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne unse kya irshad farmaya?

A: Apne ghar ko lazim karlo
B: Apni bakriyo ko lekar pahad par chale jao
C: Waqt ke imam ka hukm mano
D: Apni zaban ko roke rakho
E: Naiki ko ikhtiyar karo aur buraye ko chod do
F: Apne khud ka mamla zaroori samjho aur aam logo ke mamlat chod do
G: Gareebo aur kamzoro par Reham karna 

H: Sahi Jawab ka Intezaar?

**************

Sahi Jawab - C/ADEF✅

Reference📚:
-------------------
Abdulah Bin Amro Radi Allahu Anhu se riwayat hai kehte hain ke hum Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ke ird gird baithy huwe thy, achanak log fitne ka zikr karne ya Aap Sallallahu Alahih Wasallam ke paas fitne ka Zikr huwa to Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jab tum logon ko dehko ke wo apne wadon ki paasdari nahi kar rahe aur amanaton ke boojh ko halka samjha jaaney laga hai, aur wo is terhan ho Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne ungelian ek dosray mein daakhil kiye Mein Aap Sallallahu Alahih Wasallam ki taraf aaya aur Aap se kaha is waqt mein kiya karu? Allah mujhe Aap par qurbaan kare Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya apne ghar ko lazim karlo, apni zabaan roke rakho Naiki ko ikhtiyar karo aur buraiee ko chore doh, apna khaas maamla ( zaroori ) samjhoo aur aam logon ke mamlaat chordo.
---------------
عبداللہ بن عمرو رضی اللہ عنہما سے مروی ہے كہتے ہیں كہ ہم رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم كے ارد گرد بیٹھے ہوئے تھے ،اچانك لوگ فتنے كا ذكركرنے لگے۔ یا آپ كے پاس فتنے كا ذكر ہوا تو آپ نے فرمایا: جب تم لوگوں كو دیكھو كہ وہ اپنے وعدوں كی پاسداری نہیں كر رہے، اور امانتوں كے بوجھ كو ہلكا سمجھا جانے لگا ہے، اور وہ اس طرح ہوں : آپ نے انگلیاں ایك دوسرے میں داخل كیں، میں آپ كی طرف آیا اور آپ سے كہا: اس وقت میں كیا كروں؟ اللہ مجھے آپ پر قربان كرے۔ آپ نے فرمایا: اپنے گھر كو لازم كرلو، اپنی زبان روكے ركھو، نیكی كو اختیار كرو اور برائی كو چھوڑ دو، اپنا خاص معاملہ (ضروری)سمجھو اور عام لوگوں کے معاملات چھوڑدو۔
---------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1325

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...